kaash

by sweet suh on March 06, 2008, 07:50:43 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 704 times)
sweet suh
Guest
aapke khaton ke saath hathon ko bhi jala lia
kaise kah den humne dil se aapko bhula dia

khidki ke pardon ko khamosh dekhkar
badi mushkil se aaj phir se unhe hata dia

masroof rahte hain ashkon ko rokne me
ek dariya me kitne samundaron ko baha dia

hanske milta hun ab apne aap se main
dard ne khushi se khushi ko gale laga lia

insaniyat ka lahu se sana chehra dekhkar
humne masjid me ghar apna bana lia

bata do jisne paayi hai manzil sahar'e'rahguzar ki
humne rahguzar'o'sahar ko naam tumhara dia

khawish'e'khayalat'e'khwaab jab tadapne lage
humne kasam jhoothi deke tumhari inhe mana lia

jab chhod gaye tum hume apne haal par
humne khud ko apne saaye se bhi hata lia

jism ki khamoshi'e'sabab jab rooh poochhne lagi
humne rooh ko pyaar se seene se laga lia

tere ishk me humne khuda ko bhulaya tha
teri firaak ne mujhe khud se roobaru kara dia

furasat na mili unhe hamare dil ko dekhne ki
humne aaj phir ek aur taajmahal banva dia

tere sitamo se achhe sitamo ke sitam hain
hamari tanhai ko aapki yaadon ne hansa dia

is kadar na ro dekhkar noor'e'taaj ko tu "kaash"
anjaam'e'ishk ne aaghaaz'e'junoon ko kya dia.......{N/M}
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaash................!!! by Neelam in Shayri for Khumar -e- Ishq
KAASH...... by sabreena in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3  All »
KAASH by isha_verma7 in Shayri-E-Dard
...~~Kaash~~... by HumTum in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kaash by jindagi in Shayri for Dard -e- Judai
sweet suh
Guest
«Reply #1 on: March 06, 2008, 07:59:00 AM »
KyuN bAr bAr tuJh kO MoHoBBaT JAtAon mAin,
BeHtAr hAi aB yEhi K TuJhE BHOOL jaOn mAin..

WaqiF tErE sAluq sE SArA jAhAn hAi,
PhiR Kyu ziNdAgE kO oR TAMASHA bAnAo mAin..

NaFrAt kA eK bAr iZhAr To kArEn sAri umAr Jo uN kO SURAT diKhOn MÄiN..

HaSrAt bhAri nigAh kA KOi sAbAb tO hAi,
Tu hAaLe diL tO pUch KAhiN MAR nA jAoN mAin..

GhAm kA mErE iLaAj jAb tU bHi nA kAr sAkA,
PhiR kYu nA iS JAHAN sE piChA CHURAON mAin... {N/M}
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: March 06, 2008, 08:01:41 AM »
Lovely poems... Very nice sharing...
Logged
sweet suh
Guest
«Reply #3 on: March 06, 2008, 08:16:00 AM »
Aik baat kehni thi tujhsay
jo khudh say bhi na keh paayi
teri mohabbat aik saaza hai
yeh aaj samajh main aaya
Kyun main tujhay khudhsay
juda nahi kar paati
kyun teri yaadein ab
dil say dorr nahi jaati
Kyun meri haansi ab
laboon pay khatum ho jaati
kyun har umeed mujhay
teri orr kheench laati
Pyar ke yeh kaisi keemat
tu mujh say lay raha hai
kya mujh say itni nafraat
jo har lamha gham day raha hai
Ab tuu he baata
keh maira kasoor kya hai
tujh say mohabbat kar kay
mainay kiya jurm kiya hai
Kya main teri mohabbat kay
kisi haal main laiq nahi
kya mujhay iss ki saaza
aansoun main milay gi
Teri saari baatein
ab jhooth lagnay lagi hain
phir bhi teri hansi ko
na bhula paon gi main
Tunay ab aisay
kyun kaid kar rakha hai mujhay
ab jhooth lagnay lagi hain
phir bhi teri hansi ko
na bhula paon ga main
Tunay ab aisay
kyun kaid kar rakha hai mujhay
Logged
sweet suh
Guest
«Reply #4 on: March 06, 2008, 08:35:35 AM »
har khushi har gham mein jeekar zindagi dekh li,
ek nadi ke do kinaron ki haqeeqat dekh li,

dekh li shahil par aakar humsafar ki bakasi,
bass yahin tak ussko meri thi zarurat dekh li,

ek nayi duniya ka manzar chhuu gaya tha aankhon ko,
phir khudaya, dilchasp mazhab ki shararat dekh li,

waqt ke haanthon mein uljhe dor ka anjaam kya,
har aagaz waqt ki hai ek kayamat dekh li,

iss hawa ka dosh kya tanha bhatakti har jagah,
taas ke patton si dhahati eik imaarat dekh li,

janta hoon,dard beshaq dil ko tere chal diya,
par teri khud se hi acchi ye bagawat dekh li,

zindagi ek safar hai aur hain bahot rahi yahan,
"Sagar" tune na chah kar bhi,kyon mohabbat dekh li?Huh??
Logged
sweet suh
Guest
«Reply #5 on: March 06, 2008, 08:43:07 AM »
teri yaadon ke sahare duniya me rah lete hai
teri juddai ka gam chupchap sah lete hai
samjhaya dilko yeh raaz chupana
par aansu banke wo sab kah dete hai



Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:59:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer