zarraa
|
kabhi aate huwe dekha kabhi jaate huwe dekha bahaut dekha hai khushiyoN ko magar hai door se dekha
zamaane bhar ne dekha hai humeiN haNste huwe lekin humeiN rote faqat ghar ke dar-o-deewaar ne dekha
suna tha haal-e-dil tera zubaaN se maine duniya ki zamaane ki nazar se toone jazboN ko mere dekha
huwa wo sar-giraaN hum se karam do-chaar hi kar ke sitam jab laakh dhaaye the pashemaaN kab use dekha
meree zinda-dilee ke jab sunaate log haiN kisse kareebee mere un se poochhte tum ne kise dekha
gile jab had se zyaada hoN zubaaN par aa n paate haiN ke bas muNh taakte un ka rahe jab saamne dekha
adaa jis ki banee thi mere khoon-e-dil se hi jalwa usee ki bazm meiN khud ko bahaut ruswa huwe dekha
tumheiN bhi thokarein khaane ki zid hai kis qadar “zarraa” ke har pat’thar se tum ko dostee-yaaree kiye dekha
- ZARRAA
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
sushilbansal
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 07, 2012, 12:35:16 AM » |
|
Zarraa ji tarif kay kabil hai rachna aapki.sach hai aaj ka smey hi aisa hai kewal aate jaate huay hi dekhai deyte hai . Mubarik Sheel didi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #2 on: October 07, 2012, 01:20:37 AM » |
|
speechless zaraa bhaai dheron daad aur mubarakbaad aur ek rau qubool karen
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #3 on: October 07, 2012, 02:42:50 AM » |
|
Behatreen peshkash wah wah wah 2nd sher... zamaane bhar ne dekha hai hame haste hue lekin hame rote faqat ghar ki dar o deewaar ne dekha.. Bahut wazn hai..bahut khoob dil daad kubool farmaayen
|
|
|
Logged
|
|
|
|
suman59
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 07, 2012, 03:09:10 AM » |
|
kabhi aate huwe dekha kabhi jaate huwe dekha bahaut dekha hai khushiyoN ko magar hai door se dekha
zamaane bhar ne dekha hai humeiN haNste huwe lekin humeiN rote faqat ghar ki dar-o-deewaar ne dekha
suna tha haal-e-dil tera zubaaN se maine duniya ki zamaane ki nazar se toone jazboN ko mere dekha
huwa wo sar-giraaN hum se karam do-chaar hi kar ke sitam jab laakh dhaaye the pashemaaN kab use dekha
meree zinda-dilee ke jab sunaate log haiN kisse kareebee mere un se poochhte tum ne kise dekha
gile jab had se zyaada hoN zubaaN par aa n paate haiN ke bas muNh taakte un ka rahe jab saamne dekha
adaa jis ki banee thi mere khoon-e-dil se hi jalwa usee ki bazm meiN khud ko bahaut ruswa huwe dekha
tumheiN bhi thokarein khaane ki zid hai kis qadar “zarraa” ke har pat’thar se tum ko dostee-yaaree kiye dekha
- ZARRAA Bahut khoob zarraa jee
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
adil bechain
Umda Shayar
Rau: 161
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:31 days, 18 hours and 24 minutes.
Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
|
|
«Reply #6 on: October 07, 2012, 05:55:19 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sanjeev kash
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 07, 2012, 06:07:04 AM » |
|
wah wah Zarra Ji Bahut Khub
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
«Reply #8 on: October 07, 2012, 06:45:00 AM » |
|
Bohat Hi Achchi Ghazal Likhi Hai Aapne, Yunhi Likhte Rahein,. Aate Rahe,.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
aqsh
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 07, 2012, 12:59:53 PM » |
|
bahut hi khoob likha hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
zarraa
|
|
«Reply #10 on: October 07, 2012, 04:20:47 PM » |
|
Zarraa ji tarif kay kabil hai rachna aapki.sach hai aaj ka smey hi aisa hai kewal aate jaate huay hi dekhai deyte hai . Mubarik Sheel didi
Ise pasand karne ka aur hauslafzaaee karne ka bahaut bahaut shukriya didi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
zarraa
|
|
«Reply #11 on: October 07, 2012, 04:21:59 PM » |
|
speechless zaraa bhaai dheron daad aur mubarakbaad aur ek rau qubool karen
Saini sahab .... Apka tah e dil se shukrguzaar hoon
|
|
|
Logged
|
|
|
|
zarraa
|
|
«Reply #12 on: October 07, 2012, 04:37:34 PM » |
|
Behatreen peshkash wah wah wah 2nd sher... zamaane bhar ne dekha hai hame haste hue lekin hame rote faqat ghar ki dar o deewaar ne dekha.. Bahut wazn hai..bahut khoob dil daad kubool farmaayen
Apki daad sar ankhon par MKV ji. Apne itni gehraaee se is qalaam ko dekha uske liye apka shukrguzaar hoon.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
zarraa
|
|
«Reply #13 on: October 07, 2012, 04:38:57 PM » |
|
Bahut khoob zarraa jee Suman ji ... Apka bahaut bahaut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
zarraa
|
|
«Reply #14 on: October 07, 2012, 04:47:56 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|