kabhi aate huwe dekha kabhi jaate huwe dekha (zarraa)

by zarraa on October 06, 2012, 10:52:31 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2304 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #15 on: October 07, 2012, 04:50:41 PM »

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah aur waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaah
 ek-ek sher lajawaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaab
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley rau ka chalan hai to deta hoon rau iss nayaab kavish ko


Adil bhai ... Apne itne dil se pasand kiya ki apka shukriya ada ke liye alfaaz hi naheen mere paas Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kya kabhi dekha hai????? by ranjana in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Aate jaate lamhon ko dekha hai ... by diya786 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khud Ko Kabhi Jeete, Kabhi Marte Dekha Hamne by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kya kabhi dekha hai mujhe by ripan dev in Share: Poetry of Pain
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #16 on: October 07, 2012, 05:09:45 PM »
wah wah Zarra Ji Bahut Khub

Shukriya Sanjeev ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #17 on: October 07, 2012, 05:15:59 PM »
Bohat Hi Achchi Ghazal Likhi Hai Aapne, Yunhi Likhte Rahein,.
Aate Rahe,.

Shukriya Azeem ji. Ji koshish jaaree rahegee Usual Smile
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 7 hours and 12 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #18 on: October 07, 2012, 05:44:40 PM »
kabhi aate huwe dekha kabhi jaate huwe dekha
bahaut dekha hai khushiyoN ko magar hai door se dekha


zamaane bhar ne dekha hai humeiN haNste huwe lekin
humeiN rote faqat ghar ke dar-o-deewaar ne dekha


suna tha haal-e-dil tera zubaaN se maine duniya ki
zamaane ki nazar se toone jazboN ko mere dekha


huwa wo sar-giraaN hum se karam do-chaar hi kar ke
sitam jab laakh dhaaye the pashemaaN kab use dekha


meree zinda-dilee ke jab sunaate log haiN kisse
kareebee mere un se poochhte tum ne kise dekha


gile jab had se zyaada hoN zubaaN par aa n paate haiN
ke bas muNh taakte un ka rahe jab saamne dekha


adaa jis ki banee thi mere khoon-e-dil se hi jalwa
usee ki bazm meiN khud ko bahaut ruswa huwe dekha


tumheiN bhi thokarein khaane ki zid hai kis qadar “zarraa”
ke har pat’thar se tum ko dostee-yaaree kiye dekha


- ZARRAA

Bahut hi khoobsurat ghazal, Mubarak.   
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #19 on: October 07, 2012, 06:04:31 PM »
bahut hi khoob likha hai

Shukriya aqsh ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #20 on: October 07, 2012, 06:05:16 PM »
Bahut hi khoobsurat ghazal, Mubarak.   

Shukriya Ram ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #21 on: October 07, 2012, 06:40:35 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob Zarraa ji... bahut umda ....!!!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #22 on: October 07, 2012, 08:12:21 PM »
Zarra Sahaab Aadaab!


WaaH janab waaH bakamaal gazab ki kalaam ka inteqaab kiya
hai .. bade hi umdaa khayaalaat ko pur asar lafzoN ka jama
pahnaya hai janab... Usual Smile

Sabhi ashaar qabil e daad ke mushtahiq haiN... Humari hazaaroN
dili daad O mubbarakbad is umda kalaam par qabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile                 

Logged
sushilbansal
Guest
«Reply #23 on: October 08, 2012, 12:28:39 AM »
 Applause :clap:Zarra ji umda rachana rachi hai apney. Mubarik.
mujeh lagta hai Inssan rotey huey paida hota hai phir ampni marji say kam karta hai.us ka maksad pura na honey par dusrey ko rolaney mey bilkul nahi hich hichata. aisey kiyu hai insan?
Sheel didi
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:40:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer