kabhi kisi ko mukammal jaha nahi milta

by clicksahil on May 14, 2005, 11:38:03 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 28133 times)
clicksahil
Guest
kabhi kisi ko mukammal jaha nahi milta
kahi zameen to kahi aasman nahi milta

jise bhi dekhhiye wo apne aap mai goom hai
zuban mili hai magar hum zuban nahi milta

bujha saka hai bhala kaun waqt ke sholey
ye aisi aag hai jisme dhuaan nahi milta

tere jahaan mai aisa nahi ke pyaar na ho
jaha umeed ho iski waha nahi milta

kabhi kisi ko mukammal jaha nahi milta
kahi zameen to kahi aasman nahi milta
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #1 on: May 14, 2005, 11:43:19 AM »
tumhare saath hi hai zindagi ki har khusi meri
tum aa jao tuh hume jannat nasib ho jaye
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #2 on: May 14, 2005, 11:53:32 AM »
thnx sandhya ... u were 2 gud

but in real... its hard to say and find

neways 4 u

Koi to dilaasa de mujhe koi to mujhse baat kare
Koi to mera humraaz bane koi to meri baat sune
Koi aisa hai jo yahan apni baton kii bouty se
Mere dil ke zakhmon ko apne hathon se wo bhare
Koi to mere maazi kii yaad mujhe na aane de
Wo kuch apni kahe aur kuch meri sune
Nikalti hai aisi lakhon saada har ek tute dil se
Na hoge barbad ye tute dil GaR ye sadaa koi sune
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #3 on: May 14, 2005, 12:06:54 PM »
sukhriya Sahil ji ..........

Dost tuh hote hai dard ko bhaatne ke liye
tu apne dil ka haal jara keh ke tuh dekh
mil jayega tuffan main kashti ko "Sahil"
tu dost ki bhaah pakadke tuh dekh
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #4 on: May 14, 2005, 12:15:34 PM »
kuch baatein aisi hoti hai jo hum sirf apne dilse kehte hain..
aankhon se ikraar bhi karte hain..
honthon kii mushkaan se uska istaqbal bhi karte hain..
apne khayalon mei sirf uski taswir ko sajate hain..
apni yaadon mei sirf uski hasti ko basate hain..
dil kii dhadkan uss ke naam se tez dhadakne lagti hai..
apni har soch par wo he hukm sadar kartii hai..
aur itna sab kuch hone par bhi..
kitni ajeeb baat hai..
ke ye sab hum usse he kehne se darte hain..
par kyun?? kis liye??



NAHI JAANTE .... shayad aitbaar karna asaan nahi ... kaise dil yakeen kar le ke woh apna hai kis waqt mazak na banne dega ... or kahi wo khud hi mazak banane laga hamara to... yahi darrr shayad
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: May 15, 2005, 02:03:59 PM »
"bujha saka hai bhala kaun waqt ke sholey
ye aisi aag hai jisme dhuaan nahi milta "


yeh lines apki sahil ji bohot achi lagi mujhe!!!!

 :D
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #6 on: May 16, 2005, 06:09:36 AM »
thnx meena ....

yun bhi kabhi gamon ka pyala chalak pade
ras ban ke phool phool se khushbu tapak pade
kitna he main chupaun ghazal ke libas mein
tera wajood kahi na kahi se jhalak pade
iss roshni ko qaid kare bhi to koi kya,
jis roshni ke deep bahot dur tak pade
main chup khada raha jo khyalon ki gunj mein
meri taraf sadaaon ke patthar lapak pade
kis ped se tha rishta ab zikr kya karein
andhi chali to phool gire phal tapak pade
Samait lei humne umeed ki jhoothi yaadein
Jaante hai takdeer ke haatho majboor hai!
Gham sirf is baat ka hai ki
Kaash is dil ko samjhana humare bas mei hota!
Uljhaa hai dil uljhe hue sawaloon mei
Ki bankar reh gayee har shaam e zindagi
Tanhayee ki mehfil!
Logged
Meena
Guest
«Reply #7 on: May 16, 2005, 09:19:15 AM »
wah!!!!!! yuh to puri kavita achi hai par yeh lines

"kitna he main chupaun ghazal ke libas mein
tera wajood kahi na kahi se jhalak pade
iss roshni ko qaid kare bhi to koi kya,
jis roshni ke deep bahot dur tak pade "


apke bohot hi ache lage!!! keep it up!!

 :D
Logged
tajinder
Guest
«Reply #8 on: May 16, 2005, 01:20:32 PM »
Zindagi se badi saza hi nahin
aur kya jurm hai pata hi nahin,
iten hisson mein bant gaya hun main
mere hisse main kuch bacha hi  nahin,
sach ghate yaa badhe to sach na rahe
jhoot ki koi inteha hi nahin,
jad do chandi main ya sone main
aaina jhooth bolta hi nahi.
Logged
tajinder
Guest
«Reply #9 on: May 16, 2005, 01:23:23 PM »
ek bekasi hai hijr ke marron ke saath saath
tuta hai mera dil bhi saharoon ke saath saath,
jee bhar ke dekh bhi na paya tha ke chup gaya
armaan bhai hain udaas nazaroon ke saath saath,
dil mein gumon ka tufan liye hue
khamos jagta hun main sitaron ke saath saath,
ye aag ishq ki fhir bhi na bujh saki
hai dil mein ashq-e-gum bhi shararron ke saath saath.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #10 on: May 16, 2005, 08:34:39 PM »
KYA JAAWAB DONGE TUM SANAM
KHUDAAH KE DARBAR MEIN
JUB PUCHHEGA WO KYA KYA
GUL KHILAYE PYAAR MEIN
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #11 on: May 17, 2005, 06:42:10 AM »
kya jawab denge ....


Sitamgar to sitam dhaye chaley gaye,
Hum hi ki sab kuch bhulaye chaley gaye,
Na din dekha, Na raat dekhi,
teri ibadaat main sar ko jhukaye chaley gaye
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #12 on: May 17, 2005, 10:44:45 AM »
sar jukane wale ke sar ko kat diya karte hai
zamane vale aankhen band karke insaaf kiya karte hai

inki tuh  fitrat hi hoti hai kuch aisi ae dosto
ye dete hai dard humko aur naam dua ka dekar khush hua karte hai
Logged
suman59
Guest
«Reply #13 on: December 13, 2012, 02:47:04 PM »
kabhi kisi ko mukammal jaha nahi milta
kahi zameen to kahi aasman nahi milta

jise bhi dekhhiye wo apne aap mai goom hai
zuban mili hai magar hum zuban nahi milta

bujha saka hai bhala kaun waqt ke sholey
ye aisi aag hai jisme dhuaan nahi milta

tere jahaan mai aisa nahi ke pyaar na ho
jaha umeed ho iski waha nahi milta

kabhi kisi ko mukammal jaha nahi milta
kahi zameen to kahi aasman nahi milta


vry nice sharing.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:48:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer