kabhi mujhe tanaha...............

by ranjana on May 12, 2006, 01:16:25 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1631 times)
ranjana
Guest
kabhi mujhe tanha ,kabhi mujhe khamosh rehne do,
dil ki gehrayion se  jo kehnna chahati hun woh kehne do
yun aa kar raaton ko jagaya na karo.................
aaker yun khawabo mein sataya na karo.......
khawab buntti in ankho ko kuch,
haseen khawabo mein khone toh do..........
kabhi mujhe tanha, kabhi khamosh bhi rahne do.......

pyar ke do pal jo tune diye hain mujhe,..............
in palo ko jee toh lene do............
janti hun ki praaye hai yeh sab khawab,
aur meri khushiyan adhuri hai...........
par jeene ke liye kuch galat fehmaiya bhi jaruri hain...........
unhi galat fehmiyon se hi bas ek pal hi khush toh ho lene do..........
kabhi mujhe tanha , kabhi mujhe khamosh bhi reh lene do..........................


------------
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe Tum Kabhi Bhi Bhula Na Sako Ge... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
kabhi mujhe... by vidhya in Shayri-E-Dard
MAHSUS KAR MUJHE TU, KABHI PAAS AA KE DEKH by sweet suh in Shayeri for Dard -e- Bewafai
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: May 12, 2006, 03:51:25 AM »
nice ranju bahut hi aaccha
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: May 12, 2006, 05:13:36 AM »
shukriya vikas...............
Logged
dardhai
Guest
«Reply #3 on: May 12, 2006, 03:47:46 PM »
BAHUT  KHUUUB.....
Aisa kyun lagta hai har kisi ka PYAAR KI BEWAFAI ek jaisi  hai.

(Aap ne jo lines quote kiye hain ......)
janti hun ki praaye hai yeh sab khawab,
aur meri khushiyan adhuri hai...........
par jeene ke liye kuch galat fehmaiya bhi jaruri hain...........
unhi galat fehmiyon se hi bas ek pal hi khush toh ho lene do..........
kabhi mujhe tanha , kabhi mujhe khamosh bhi reh lene do..........................
------------[/quote]

(Akhir 5lines mein  todi si correction karta hun....)

JAANTI HUN PYAARE KWAAB HAIN YEH SIRF...............
UNHI GALAT FAHMIYON MAIN KUSH TOH HO LENE DO........
KABHI MUJHE TANHA, KABHI MUJHE KHAMOSH BHI REH LENE DO............


4m : DARDHAI
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: May 13, 2006, 02:20:03 AM »
Quote from: "dardhai"
BAHUT  KHUUUB.....
Aisa kyun lagta hai har kisi ka PYAAR KI BEWAFAI ek jaisi  hai.

(Aap ne jo lines quote kiye hain ......)
janti hun ki praaye hai yeh sab khawab,
aur meri khushiyan adhuri hai...........
par jeene ke liye kuch galat fehmaiya bhi jaruri hain...........
unhi galat fehmiyon se hi bas ek pal hi khush toh ho lene do..........
kabhi mujhe tanha , kabhi mujhe khamosh bhi reh lene do..........................
------------


(Akhir 5lines mein  todi si correction karta hun....)

JAANTI HUN PYAARE KWAAB HAIN YEH SIRF...............
UNHI GALAT FAHMIYON MAIN KUSH TOH HO LENE DO........
KABHI MUJHE TANHA, KABHI MUJHE KHAMOSH BHI REH LENE DO............


4m : DARDHAI[/quote]

bahut khub ji.............aapki likhi lines bahut acchi lagi....
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #5 on: May 13, 2006, 02:29:13 AM »
ranjana dard mein... hmmm... kuch hain?? GM

kuch aur nahin chahiye mujhe
bas tu meri ban ja priya...

phool se likhna tha jo ek kavitha
main kaanton se likh diya...

na jane kya hua tha mujhe
us pal bahut zid kar diya...

khushi dena tha tujhe magar
dukh de diya na jane kyon...

yun na samjho ke main khush thi
andar dil ke kone dard thi mujhe bhi

gaa rahi thi bahut hi sushravya premgaan
na jane kaise hua us mein apasvar

maaf kar do mujhe is pal ke liye
har pal ke liye... zindagi ke liye...

pyar hain tumse.... zindagi bhar...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: May 13, 2006, 04:04:52 AM »
Quote from: "mrkotians"
ranjana dard mein... hmmm... kuch hain?? GM

kuch aur nahin chahiye mujhe
bas tu meri ban ja priya...

phool se likhna tha jo ek kavitha
main kaanton se likh diya...

na jane kya hua tha mujhe
us pal bahut zid kar diya...

khushi dena tha tujhe magar
dukh de diya na jane kyon...

yun na samjho ke main khush thi


andar dil ke kone dard thi mujhe bhi

gaa rahi thi bahut hi sushravya premgaan
na jane kaise hua us mein apasvar

maaf kar do mujhe is pal ke liye
har pal ke liye... zindagi ke liye...

pyar hain tumse.... zindagi bhar...



bahut khub MK JI.........
ranjana dard mein .bhi hai ji...... Usual Smile GM
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: May 13, 2006, 04:10:01 AM »
meri aankho ko  yeh kiska intzar hai
uska khyalo mein aana beshumaar hai
boond-boond rista hai mera ghaav
loot ke le gaya hai koi mere ka chaav
virah ka yeh kaisa uphaar hai........
meri aankho ko yeh kiska intzar hai...........
Logged
gumnam
Guest
«Reply #8 on: May 13, 2006, 08:49:54 AM »
Quote from: "ranjana"
meri aankho ko  yeh kiska intzar hai
uska khyalo mein aana beshumaar hai
boond-boond rista hai mera ghaav
loot ke le gaya hai koi mere ka chaav
virah ka yeh kaisa uphaar hai........
meri aankho ko yeh kiska intzar hai...........

BAHUT KHUB LEKIN

EK TU HI HAI JISKI AANKHEIN ITNI JALDI BHOOL GAI,
VARNA YAHA KA ZARRA-ZARRA SHAKAL MERI PEHCHAANE HAI.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: May 13, 2006, 09:07:43 AM »
Quote from: "ranjana"
kabhi mujhe tanha ,kabhi mujhe khamosh rehne do,
dil ki gehrayion se  jo kehnna chahati hun woh kehne do
yun aa kar raaton ko jagaya na karo.................
aaker yun khawabo mein sataya na karo.......
khawab buntti in ankho ko kuch,
haseen khawabo mein khone toh do..........
kabhi mujhe tanha, kabhi khamosh bhi rahne do.......

pyar ke do pal jo tune diye hain mujhe,..............
in palo ko jee toh lene do............
janti hun ki praaye hai yeh sab khawab,
aur meri khushiyan adhuri hai...........
par jeene ke liye kuch galat fehmaiya bhi jaruri hain...........
unhi galat fehmiyon se hi bas ek pal hi khush toh ho lene do..........
kabhi mujhe tanha , kabhi mujhe khamosh bhi reh lene do..........................


------------


bahot  khoob    Ranjana...........  dard........  mark........
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #10 on: May 13, 2006, 06:33:34 PM »
bahut khoob ranju ji aap ka ye kalaam pahle bhi padha hai aaj fir padha mazaa aa gaya
aise hi likhte rahiyega
regards
manu
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: May 14, 2006, 03:04:56 PM »
shukriya Manu ji.....................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: May 15, 2006, 01:58:25 AM »
Quote from: "gum"
Is ehte drd ko mammaat roko,
Yeh toh saza hai kisi ke intezaar ke,
Log inhe ansu kahe ya deewangi,
yeh to nishani hai kisi ke pyaar ke


nice...................

aankho mein hamne dard ko chipaa rakha hai
unke intazaar mein duniya ko bhula rakha hai
woh laut ke aaye ya na aaye ......
hamne toh apni akhari saanso per bhi sirf unaka naam likha hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: May 15, 2006, 02:04:54 AM »
Nice gum and ranju!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: May 15, 2006, 06:44:44 AM »
shukriya POOJA JI................ Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:54:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer