Kabhi Tum Laut Aaoge

by Roja on April 05, 2009, 02:10:22 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3671 times)
Roja
Guest
Kabhi tum laut aaoge bas itni aas ho jaye
Mere ujhde huwe upvan mein fir madhumas ho jaye

Jisse tum pyar se bas dekh lo ban jaye vo meera
Zara dikkar do jisko vo udaas ho jaye

Tumare mukh se jo nikle wohi bann jaye sacchayi
Kahani jo bi tum likh do vohi itihas ho jaye

Jo meri aankh ko de do tum apni aankh ka aansoo,
Vo aansoo sare jeevan ke liye ullas ho jaye

Kisi ko bhi pata kyu ho ki tumko poojthi hu mai,
Na mere aasta ka bhi kahi uphaas ho jaye

Hawa bhi cheen lega mujhse yeh keh-keh darate ho,
Bina iske bhi reh loongi tanik abyaas ho jaye

Koyi toh chinha dikhlao tum aisa ek bhi jisse
Mai jeevit hu mujhe is baat ka vishvas ho jaye.

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: April 05, 2009, 02:17:58 PM »
wah wah kya baat hai Roja.. Too gud!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: April 05, 2009, 02:18:41 PM »
Chod ab in bato me kya rak_kha hain
Jo tere kabil nahi, us GHAYEL ka swargwaas ho jaye
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: April 05, 2009, 02:21:19 PM »
Kya pata woh hi sacha yaar ho mera
Kyun bechare ko marna chahte ho

Mohabaat ki thi maine usse eh Dost
Kyun meri yaado ko mitana chate ho

Kya pata laut aaye woh meri raaho mea fir
fir kyun meri kismat ki lakir mitana chahte ho
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: April 05, 2009, 02:26:51 PM »
Har koi kehta hain mehfil me
Tera yaar GHAYEL bura hain

Tu jisko samjhti hain apne mathe ka taj
Sab kehte hain woh ek zarra hain

Q main apni pehchaan se teri pehchaan bigadu
Meri badnamiya meri hain ispe na haq tera hain

-SG-
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: April 05, 2009, 02:37:21 PM »
kya baat hai sajid ji bahoot khoob!

Kaun hoti hun main kisi ko bura kehne wali
Meri Kismat ka mujhko bhi nahi pata hai

kaun agar kasoorwaar agar mein tujhko eh dost
Fir main samjungi mere gunagao pe parda pada hai

main tho is asmanjas mein hun , kya karun eh dost
raah mein ak taraf yaar , duji taraf tu kad ahai


Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: April 05, 2009, 02:47:10 PM »
Tere hatho ki lakiro me
Ban ke kismat main teri rehta hu

Jo agar tu kare gunaah bhi koi
Unki saza main sehta hu

Na do rah hain na do wajood hain
Har raah pe GHAYEL hain, har mod par main khada hu
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: April 05, 2009, 02:52:28 PM »
Cool!

Hmm .. let me try...Usual Smile

Kismat na ban jana tu meri
yea kabhi mera saath nahi deti

Jab tak jaan hai, chalna mera haath tham
Kyunki Zingagi kisi ka saath nahi deti

Tu bhale hi chala jaaye mera saath chod.
Par DIVYA itni asani se kisi ko jane nahi deti



Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: April 05, 2009, 03:05:56 PM »
Teri kismat na sahi, main tera sarmaya hu
Q bhoolti hain pagli, main tera saya hu

Teri jaan hu main teri dhadkan hu
Main tere liye duniya me aaya hu

Chala jaye tujhe chod kar GHAYEL yeh ab mumkin kaha
Tujhe paker main khud ko dhoond paya hu

-SG-
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #9 on: April 05, 2009, 03:17:36 PM »
superb Sajid ji...

Try karun kya? ...hmmm

Kar lun agar tujh par vishwaas
yea duniyan mujh par taumat laga degi

saja lu agar tujhe mein apne mathe pe
kahe log mujhe raah mea sirf tanhai milegi

chalo agar na manu agar mein logo ki tho
kya teri Dosti se mujhe khushiya sajegi

Khuda se aasha karti hun GAYAL ki dosti
Iss DIVYA ko kabhi bhi mehengi na padegi
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: April 05, 2009, 03:26:52 PM »
Kab tak na jaana, tu humpe aitbaar karegi
Bhool ke duniya ki tohmat, tu ek din humse pyaar karegi

Ek baar saja ke dekh, mujhe apne mathe par
Main rahu na rahu, meri yadein tere sath chalegi

Jo ek baar tu man le apne dil ki
Teri khushiyo ki khatir, meri khushiya bikegi

Tujhe kya maloom GHAYEL ki keemat DIVYA
Jiska koi mol nahi, woh mohabbat tujhe muft milegi

-SG-
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: April 05, 2009, 03:50:02 PM »
Tum kabghi na merne ki baat karna
Na mujhse kabhi zamane ki baat karna

Hausla rakho waqt her zakham ko barega
Na gamse tum gabrane ki baat karna.

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:26:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer