Kah naheen saktey!

by abdbundeli on September 11, 2008, 03:17:23 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 1974 times)
abdbundeli
Guest
"Ham, tumhaarey hain!" kah naheen saktey!
"Gam key maarey hain!" kah naheen saktey!
Raah par hai nazar, magar, ya Rab!
Binaa 'abd' key, rah naheen saktey!!
                          - abd bundeli
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: September 12, 2008, 03:01:43 PM »
Nice One Abd Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: September 12, 2008, 03:08:36 PM »
"Ham, tumhaarey hain!" kah naheen saktey!
"Gam key maarey hain!" kah naheen saktey!
Raah par hai nazar, magar, ya Rab!
Binaa 'abd' key, rah naheen saktey!!
                          - abd bundeli


Keh Dete Agar Tum, Ke Tum Hamaare Ho,.
To Aaj Hum Bhi Tanhaa Na Hote Tum Bhi Na Hote,.

Rehte Hum Ek Dusre Ke Dil Mein maut Tak "ABD",.
Khush Rehte Hum Bhi, Aur Chain-o-Sukoon Na Khote,.

Khamoshi Tumhaari Hum Dono Par kehar Barsaa Gayi,.
Gar Tum Paas Hote, To Hum Is Kadar Na Rote,.

_____________________________-Azeem-



Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: September 13, 2008, 05:39:13 AM »
"Keh Dete Agar Tum, Ke Tum Hamaare Ho,.
 To Aaj Hum Bhi Tanhaa Na Hote Tum Bhi Na Hote,.

 Rehte Hum Ek Dusre Ke Dil Mein maut Tak "ABD",.
 Khush Rehte Hum Bhi, Aur Chain-o-Sukoon Na Khote,.

 Khamoshi Tumhaari Hum Dono Par kehar Barsaa Gayi,.
 Gar Tum Paas Hote, To Hum Is Kadar Na Rote,.

_____________________________-Azeem-"



Jaanasheen ji,
Waah! Kyaa baat kahee hai, ki, nam huyeen aankheyn!
Kaash, ham saath-saath houn kabhi: yahaan, ki, wahaan!!
Qaarwaan-e-jahaan mein, yoon to, saath hain ham sab;
Qareeb pahluoun mein houn, 'abd' wo baat kahaan?
                                  - abd bundeli

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: September 13, 2008, 05:44:08 AM »
"Keh Dete Agar Tum, Ke Tum Hamaare Ho,.
 To Aaj Hum Bhi Tanhaa Na Hote Tum Bhi Na Hote,.

 Rehte Hum Ek Dusre Ke Dil Mein maut Tak "ABD",.
 Khush Rehte Hum Bhi, Aur Chain-o-Sukoon Na Khote,.

 Khamoshi Tumhaari Hum Dono Par kehar Barsaa Gayi,.
 Gar Tum Paas Hote, To Hum Is Kadar Na Rote,.

_____________________________-Azeem-"



Jaanasheen ji,
Waah! Kyaa baat kahee hai, ki, nam huyeen aankheyn!
Kaash, ham saath-saath houn kabhi: yahaan, ki, wahaan!!
Qaarwaan-e-jahaan mein, yoon to, saath hain ham sab;
Qareeb pahluoun mein houn, 'abd' wo baat kahaan?
                                  - abd bundeli


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: September 14, 2008, 08:34:35 AM »
Shukriya Abd Ji,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: September 14, 2008, 12:14:08 PM »
Bahut khoob abd ji and janasheen ji...

Kehne ko to keh de hum dil ki sabhi baatein,
nazron ki baat par aye sanam kyon samajh nahi paate,
chahte hai tumhe aur bas tumhe hi chahte rahenge,
Ye baat mere ashqon mein kyon padh nahi paate...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: September 14, 2008, 01:32:45 PM »
angel4u ji,
Woh tumhaaraa naheen hai, fir bhi, WOH tumhaaraa hai!
WOH wahee hai, ki jo, pyaaraa bhi hai, dulaaraa hai!!
Us ko mahsoos karogey, to, saath paaougey:
Wahee  sanam hai tumhaaraa: wahee sahaaraa hai!!
                              - abd bundeli
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: September 15, 2008, 02:44:11 AM »
Abd ji,

Tha wo kabhi is zindagi ka sahara,
Usi ki wajahse zakhm lage hai mujhe,
kehta tha har qadam saath chalunga tere,
usine chod diya veeran raaston mein mujhe...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: September 15, 2008, 11:06:56 AM »
angel4u ji,
Hotaa hai bahr-e-zeest mein aisaa bhi jab-kabhi,
Khud naakhudaa, aabaad safeeney ko chhorh kar,
Hotaa hai jaa sawaar kisee doosrey mein yon,
Jaisey, sawaariyoun sey us kaa waasitaa na ho!!
                                  - abd bundeli
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: September 16, 2008, 02:52:24 PM »
Abd ji,

Wo ho to chuka hia kisi aur ka bas itna na socha usne,
tanha chhodte waqt raaste mein mud ke na dekha usne,
har pal jiske naam se chalta tha saanson ka kaarvan,
kaise satayegi wo saansein jism ko na puchha usne...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #11 on: September 17, 2008, 04:51:04 AM »
abd ji..

angel sis...

Tanhai kat rahe hain koi nahi hai mera
sirf ek sahara tha woh bhi dard de gaya
Jinke liye jeena chahate the woh ruswa kar gaya
Zindagi se kya anjaam hoga humen kisi na poocha..

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: September 17, 2008, 05:04:12 AM »
angel4u ji / honeyrose ji,
Jo doosrey kaa thaa, woh doosrey kaa huaa hai!
Woh jaa chukaa hai chhorh rah jis pai leek thee!
Yeh ishq-e-eik-tarfaa hai: beyhtar hai bhool jaayen!
Gaarhee wo, saath thaa sahee, tab tak hi theek thee!!
                                 - abd bundeli








Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: September 19, 2008, 02:19:17 PM »
Nice One,.Abd Ji,.
Jaya Ji,.
And Husnaian Ji,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: September 20, 2008, 02:48:16 AM »
Abd ji,
wo sirf ghadiyan nahi zindagi ke haseen lamhe the,
jinhe har pal dilse lagaya tha ek aise ehsaas the,
Bhulein bhi to kaise us khaamosh mohabbat ko,
Us khamoshi mein meri zindagi ke saare alfaaz the...
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:30:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer