kaha kisine zindagi ko jalaate huyee~ Abhi

by AbhiTamrakar on November 30, 2010, 06:57:44 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2687 times)
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #15 on: December 01, 2010, 06:46:57 AM »
bahut mast type reply he anu ji..

bahut bahut khoob...

sabse pehle dher saari daad ..

ek baat batau maine yahan sabhi ko ye poem jis ladki ke liye likhi wo ladki itni achhi nahi he..she used many for her good and then said good bye ..hahah

baki ladko ko shayad koi fark nahi pada ho par ek ladka jo fasa wo bechara bada sachche dil se use chahta tha is bat ka mujhe gam hai~

aise log meri nazar me kisi ki nafrat tak ke kaabil nhai hote~khair chhodiye ..

pyaar bhi kitna ajeeb he na kabhi kabhi unke naseeb me sachcha pyar hota he jinhe uski parwaah hi nhai hoti, or jo uski parwaah karte he unhe saalon dhoondne par bhi pyaar ka pata nahi milta~
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #16 on: December 01, 2010, 06:51:13 AM »
beautifully written ...Very Very Nice work with loads of emotions... Good Job Abhi !!

sophi ji namaskar,

sabse pehle to bada achha laga kai din bad apko dekhkar..

shukriya bahut sara ki apko pasand aayi ye koshish..

isi tarah sath rahiye..~
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #17 on: December 01, 2010, 06:52:02 AM »
hmmm.........sahi kaha abhi tumne...life me jo milta h uski kadr uske khone k baad hoti h
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #18 on: December 01, 2010, 06:57:52 AM »
bahut khoob Abhi ji... too gud

Intezar !
bahut shukriya intzar ji..

yunhi sath rahiye..

Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #19 on: December 01, 2010, 06:59:22 AM »
Bahut khoob Abhi Ji

shukriya rajesh ji..

yunhi sath rahiye~
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #20 on: December 01, 2010, 11:16:32 AM »
dard ko kalam se kaise jataya jata hai ye aap bakhubi jante hain abhi ji..bht umda peshkash.....
dil me jo feel aaye ye padhkar ..wo yahan likhi hai..

Kismet ka likha main mita paai nahin
Teri hoke bhi kabhi teri kehlai nahin

Chin k khudko zamane k hathon se main
Khudko tujhe kabhi saump pai nahin

Bas isisly dar k apne aap se main ee dost
Tujhse rishta apna umra bhar ka  jod pai nhin

Samjhle mujhe bewafa aur ho jaye dur mujhse
Ye chahti thi isly tujhse nazar mila paai nahin

Kar diya tujhe bhi shamil main gairon ki fehrist me
Sirf teri hun main ye ehsaas tujhe kabhi dila pai nahin….!!!!

Arre waah kasak ji bahut bahut khoob likha hai..merre dil k kuch dabe ehsaso ko lafz dene ka bahut bahut shukriya...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #21 on: December 01, 2010, 11:39:48 AM »
thnx geet..hamare shabd aur ehsaas kafi kuch milte julte hain har bar hum ek duje ki feelings hi likh dete hain anjane me
Logged
dead heart
Guest
«Reply #22 on: December 02, 2010, 09:37:08 AM »
Abhi mere bhai,

bahaut sahi kaha..kabhi kabhi kuch wakye sunkar apna apna lagta hai..
yeh kalam mujhe bahaut pasand aya..
dard ko bakhubi bayan kiya hai..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
khush rahiye aur likte rahiye!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #23 on: December 02, 2010, 09:42:37 AM »
Anamika di,

bahaut bahaut khubsoorat..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #24 on: December 02, 2010, 09:49:03 AM »
Abhi bhai,

Apne kitni khubsoorat baat kahi hai jo main aksar kehta rehta hoon..
Jinhe pyaar milta hai unhe uski qadr nahin aur jinhe tadap hoti hai pyaar ki, unhe pyaar ka saya tak nahin milta..
Zindagi main ab tak kayi lamhein, kayi ehsaas paye hai mager sabse pyaara daur woh tha jab woh mere saath tha..mager sabse chota daur bhi wohi tha..
Najane kaisa morr aya, zindagi ek ajnabi tanha raah par nikal gayi..
Khair, jo agey barr jaye wohi zindagi hai mager sach kahun..aj bhi koi gana, koi nazm, koi fiza uski yaad le ati hai..


"Itni roshan toh uski zindagi ko main kar hi gaya tha Rahim,
Aj bhi yaad karke mujhe woh tadap kar rota hoga.."
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #25 on: December 02, 2010, 10:26:23 AM »
Rahim bhaii bilkul sahi kaha yaara..

eisa hota hai aksar pyar karne walon ke sath..

apne pasanad kiya..bahut bahut shukriya..

yunhi sath rahiyega~
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #26 on: December 02, 2010, 01:35:14 PM »
aray baba itni aachi post maine aaj padhi sry... abhi ji bahut aacha likha hai aapne aur kasak ji aapka jawab bhi bahut tagra tha...

shabd khamosh ho jaate hai ye batate hue,
jo chali gayi zindgi ko jalate hue.
hum rok na paaye usko dil mein aate hue,
khush thay hum khud mein uska kehlate hue.
muskurati thi wo humko aksar satatay hue,
ab reh gayi ye muflisi batate hue,
wo chali gayi zindgi ko jalate hue.
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #27 on: December 03, 2010, 06:07:28 AM »
aray baba itni aachi post maine aaj padhi sry... abhi ji bahut aacha likha hai aapne aur kasak ji aapka jawab bhi bahut tagra tha...

shabd khamosh ho jaate hai ye batate hue,
jo chali gayi zindgi ko jalate hue.
hum rok na paaye usko dil mein aate hue,
khush thay hum khud mein uska kehlate hue.
muskurati thi wo humko aksar satatay hue,
ab reh gayi ye muflisi batate hue,
wo chali gayi zindgi ko jalate hue.

shukriya bhondu ji...sarahne ke lye..

apne bhi bahut khoob kaha ...dher saari daad~

yunhi sath rahiyega~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #28 on: December 03, 2010, 07:15:36 AM »
Dosto..kai bar halaat ham se jude nahi hote..par fir bhi unke bare me sunkar ya padhkar ham utna hi dard mehsoos karte he jitna ki jis par beeti ho..kuchh aisa hi mere samne aya ek waqya kar gaya...mujhe anhi pata kis hadd tak is baat ko keh pauga, par kehen ki ek chhoti si koshish kar raha hun..shayad aapko pasand aaye..




sunoo hai mohabbat bada pyaara sa tohfa zindagi ka
kaha hai kisine apne zindagi ko har lamha jalaate huyee~

mujhe mohabbat ki ek nayab saugat dene aaye he woh
apni shaadi par mujhe has has kar bulaate huyee~

woh kehete hai umra lambee ho tumhari meri dua se
zeher ke pyaale mujhe har roz pilaate huyee~

unka kehena hai maine nahi nibhai mohabbat yaron
apne to din nikle armaano ko pairon tale dabate huyee~

or yun mujhse dard ki baat karte he woh "Abhi"
mujhe dekh ke apne rukh ko bar bar chhupaate huyee~

Waah Waah Waah!!!

Kya Kehne Abhi Ji..Bahut Khoob!!!yeh Rachna Ko padhte waqt vakaai Aisa Hi koi Manzar Aankhon Ke Saamne Khada Ho Gaya..Bahut Ache

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #29 on: December 03, 2010, 07:24:04 AM »
bahut bahut shukriya khwaish bhaii..

apne waqt dekar padha or saraha..

yunhi sath rahiye~
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:59:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer