Kahan kho gaye hain hum.......!!!

by Talat on October 25, 2006, 04:02:25 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 4138 times)
Talat
Guest
Hawa hai madhdham, phoolon main khushbu nahin
Jo tu saath nahin mere, chamakte ab jugnu nahin

Raatain bhi syaah chaadar ki tarah bikhar jaati hain
Sanwaaren inko kya ki ab taaron main roshni nahin

Dhadkanen zinda hone ka ehsaas nahin dilati humko
Aankhon main kabhi dikhti thi, ab lab par hansi nahin

Kahan bhool aayen hain khud ko, kya batayen hum
Yaadain ho gayi dhundli, aur raha kuch baaqi nahin

Ye zindagi bhi "zindagi" ko sharminda kar rahi hai
Zinda hain hum aur zinda hone ka ehsaas nahin !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Tum gaye kahan~ by honeyrose in Shayri for Dard -e- Judai
Tum jane kahan kho gaye ho by javedarshad in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aa gaye hain sanam: dard key din gaye! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
<>*Kahan kho gaye tum*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Kahan tak hain akelapan, kahan tak yeh judayee hain by livingbytheday in Ghazals
angel4u
Guest
«Reply #1 on: October 25, 2006, 05:26:33 PM »

Kitni Mushkilon Se Usne Mujhe Bhulaya Hoga,
Meri Yaadon Ne Use Bhi Khoob Rulaya Hoga,

Baat Be Baat Aankh Uski Jo Chhalki Hogi,
Usne Chehre Ko Haathon Mein Chupaya Hoga,

Socha Hoga Usne Din Mein Kitni Baar Mujhe,
NaaM Hatheli Par Likh Likh Ke Mitaya Hoga,

Jahan Usne Mera Zikar Suna Hoga Kisise,
Uski Aankhon Mein Koi Aansu To Aaya Hoga,

Raat Ke Bheegne Tak Neend Na Aayi Hogi,
Usne Takiye Ko To Seene Se Lagaya Hoga,

HO Ke Majboor Meri Yaadon Se Usne Kabhi
Meri Tasveer Par Apna Sar Tikaya Hoga...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: October 26, 2006, 12:10:59 AM »
Excellent Talat & Angel...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: October 26, 2006, 04:07:27 AM »
bahut bahut khoob TALAT JI... behad khubsoorat
kalaam likha hai aapne.....

and nice one ANGEL.........
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #4 on: October 26, 2006, 07:55:39 AM »
Talat, Angel

Excellent --> as Aryaan said !

Rajbir
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #5 on: October 26, 2006, 09:18:24 AM »
Quote from: "Talat"


Dhadkanen zinda hone ka ehsaas nahin dilati humko
Aankhon main kabhi dikhti thi, ab lab par hansi nahin




Kitni sadhgi se likh gaye aap dard ko...  bahoot gehri feelings ka ehsaas hua aapki inn do lines mein ....

aor angel ... bahoot khoobsurat likha aapne bhi


khilatey hain phool kahan dil ke viraane mein
Do pal ki sehar bhi na milli mujhe anjaane se
 
Roshan hai jaag sara,khushiyon ke taraane mein
shaak se girr gaye paatey sare,mere khaazane se

mittTe ja rahe hain terre hathon se meri kismat ke nishan
kahan kho gaye hain hum,dhoondhe khudko JEET ab kahan...
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: October 26, 2006, 10:47:32 AM »
Quote from: "Aryaan"
Excellent Talat...


Thanks Aryaan Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: October 26, 2006, 10:48:11 AM »
Quote from: "vicky AKELA"
bahut bahut khoob TALAT JI... behad khubsoorat
kalaam likha hai aapne.....



Thanks so much Vicky for your appreciation ! Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: October 26, 2006, 10:48:34 AM »
Quote from: "Rajbir"
Talat

Excellent --> as Aryaan said !

Rajbir


Thanks Rajbir Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: October 26, 2006, 10:50:20 AM »
Quote from: "burniing_desiires"
Quote from: "Talat"

Dhadkanen zinda hone ka ehsaas nahin dilati humko
Aankhon main kabhi dikhti thi, ab lab par hansi nahin


Kitni sadhgi se likh gaye aap dard ko...  bahoot gehri feelings ka ehsaas hua aapki inn do lines mein ....

khilatey hain phool kahan dil ke viraane mein
Do pal ki sehar bhi na milli mujhe anjaane se
 
Roshan hai jaag sara,khushiyon ke taraane mein
shaak se girr gaye paatey sare,mere khaazane se

mittTe ja rahe hain terre hathon se meri kismat ke nishan
kahan kho gaye hain hum,dhoondhe khudko JEET ab kahan...


Thanks a lot Jeet, itni gehraai se ise mehsoos karne ke liye.....aur aapne bhi bohot achcha likha hai ! Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: October 26, 2006, 11:44:36 AM »

Talat... This really is an excellent work... =D> =D>
I Liked each and every line... :D

Also Beautiful work Jeet... Bahut achha likha hai aapne...
=D> =D>
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: October 26, 2006, 11:51:16 AM »


I think I should also try something over here...

Just a Try from my side...



Mere dil ki sar zameen par,
Teri yaadon ka karvaan…
Udaas Udaas aasmaan par,
Jaisey chand ka deraa….

Zindagi phisal rahii,
Aur paanv uthtey nahin…
Muhabbat ney dekh teri,
Kya haal kar diya mera….

Hoth toh khule magar,
Pukaar niklii nahin….
Bebasi ka nakab kaise,
Bann gaya mera chehra…

Waqt ki maar sey magar,
Hauslaa toota nahin…
Beshak hume pyaar tera,
Zakhm de gaya gehra….

Jaane se kisi ke kabhi,
Waqt to thehrtaa nahin…
Phir lage yeh aaj kyon,
Tere jaane sey thera thera….
[/b]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #12 on: October 26, 2006, 01:30:41 PM »
Jeet, Shikha

Very very nice by both of you.

Shikha tum aise he try karti raha karo :D

Rajbir
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #13 on: October 26, 2006, 03:31:19 PM »
Good One Shikha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: October 26, 2006, 05:15:57 PM »
very nice all..


Zindagi Mein Meri Ye Ajab Mod Hai Aaya,
Wo Shakhs Bhi Kho Gaya Jise Tha Muddaton Mein Paya,

Uska MasooM Sa Chehre Meri Nigahon Ko Bhaya,
Is Chehre Ne Hi To Ishq Ka Hai Rog Lagwaya,

Kabhi Jo Hans Hans Ke Baat Karta Tha Mujhse,
Aaj Uski Narazgi Ne Mujhe Betahasha Rulaya,

Wo Na Mana To Pal Mein Bikhar Jaungi Main,
Dil Hota Hai Wo Ghar Jo Ujda To Kisine Na Basaya,

Uski Udasi Par Dilko Na Kyon Udas Karun,
Dil Ne Mere Bhi To Hai Use Shiddat Se Chaha,

Is Qadar Aadat Hogayi Hai Mujhe Uski,
Kaano Mein Aahat Ati Hai, Nazar Aata Hai Deewar Par Saya,

Khayalon Mein Khauf, Baaton Mein Zeher Aa Gaya Hai,
Darr Lagta Hai Mann Ko Kahin Wo Ho Jaye Na Paraya,

SaMne Labb Uske KhaMosh Ho Jate Hai Mere,
Warna Tasavvur Mein Tha Maine Use Khoob Manaya...
* * * * *
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 05:57:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.215 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer