kahin dur chala jaun

by phoenix on July 21, 2006, 06:43:49 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 6864 times)
phoenix
Guest
sochta hun mein kahin dur chala jaun
na khabar ho unko kabhi bhi meri
ek oss ki bund ki tarah in fizaon mein kho jaun
har sham ek aarzo bankar sabke khayalo.n me aaun
sochta hun mein bhi kahin dur chala jaun

ho gayi hai aadat dono ko akele rehne ki
bas ho gayi hai sham ab mein apni tanhai se mil aaun
wo kahin ho na jaayen badnaam mere saaye mein rehkar
isliye chod dun ye duniya parayi
aur khokle rishto.n se dur chala jaun

guzare the kuch lamhe maine apne liye
aab jeene dun lamho ko apne haal par
mein bhi lamho k bina apna ek mukaam banau.n
sochta hun mein kahin dur chala jaun
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: July 21, 2006, 06:51:47 PM »
Quote from: "phoenix"
sochta hun mein kahin dur chala jaun
na khabar ho unko kabhi bhi meri
ek oss ki bund ki tarah in fizaon mein kho jaun
har sham ek aarzo bankar sabke khayalo.n me aaun
sochta hun mein bhi kahin dur chala jaun

ho gayi hai aadat dono ko akele rehne ki
bas ho gayi hai sham ab mein apni tanhai se mil aaun
wo kahin ho na jaayen badnaam mere saaye mein rehkar
isliye chod dun ye duniya parayi
aur khokle rishto.n se dur chala jaun

guzare the kuch lamhe maine apne liye
aab jeene dun lamho ko apne haal par
mein bhi lamho k bina apna ek mukaam banau.n
sochta hun mein kahin dur chala jaun


Gud one Nittu

Kaash ke Parchayi mere peecha chor de......
Door jaa ke Manzil meri Raah maud de.....

Kar loon sab se Nafrat aur apne me bas kho jaon......
Sochta hoon ke man ab door chala jaon......

Par Dil nahi manta Zehem me bas ek baat aati hai......
Guzar toh gayi Shaam jaise taise par abhi toh poori Raat baaki hai.....

Phir mann karta ki yeh Sheher ke saath harr Yaadon ka Sheesha tod jaon......
Sochta hoon ki kahin door Chala jaon........!!!!!!!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #2 on: July 21, 2006, 06:54:42 PM »
gud goin guarav

inn jhoote riwazo.n se kahin dur ho jaun
agar bas chale toh apna ek jahan basaun
ho sake to wahan tanhai ko bulaun
ek jaam lun hatho.n mein
aur mein bhi kahin kho jaun
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: July 21, 2006, 06:57:50 PM »
bahut khhob Nitiesh and Gaurav........


jahan na ho mere aatet ke kaale saaye
na hi beete dino ki mujhe yaad aaye
ek pal bhi yadi unki yaado se furasat mile toh
darate hain unke khayalo ke saaye
aise mein kab tak apne dil ko behlaun
socti hun main ki kahi ab dur chali jaun

jahan per bas ek sakun saath ho
na koi dard ho na koi yaad pass ho
de sake na jahan dil per dastak koi
ab aisa jahan mein bhi toh paun
sochti hun kahi dur ja ke ab chein paun
ab is bedard jahan se kahi dur chali jaun...............
yahan se kahi mein dur chali jaun
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: July 21, 2006, 07:06:01 PM »
Uffff...haye re rabba le jaa indono ko kahin door :wink:

Gud goiing both of u......yeh thread IShQ me hota toh maza ata....

Door kahin AShiana hamari Mahobbat ka main Sajaonga......
Rakhunga wahan harr Khushi or Dard se bhi Dil lagaonga......

Sanam na sahi toh unki Tasveer rakh ke hum pooja karenge.....
Hogi Jannat ki Shakl Ashiane me bas wahi jeeyenge or marenge......

Na hoga Heera na hee Moti Chamkega......
Hogi Roshni hamari Mahobbat ki aur teri Payal ka ghungro khankhega.....

Dil na kare toh Ashiana tod jana......
Na banna Bewafa bas hume Inkar ka khat de jana.....

Hum hai SaYe tere tum kabhi na hume jaan paogi.....
Jo khayi hai Chot zamane se kya uspar kabhi marham lagana Chahogi......Huh?Huh???
Logged
phoenix
Guest
«Reply #5 on: July 21, 2006, 07:12:49 PM »
bahut khoob ranjana ji

aey muqaddar kahin le chal apne sath mujhe
na jaanta ho koi mujhe na pehchanta ho koi mujhe

aey muqaddar mujhe tu le chal kahin
jahan na mohabbat mile na kaanto ka daaman mile

aey meri kismat tu mujhe le chal kahin
jahan na diye jalte hon na dil

aey mere muqaddar tu le chal kahin
jahan na suraj uge na parchai khone ka gum ho

bas le chal mujhe yahan se kahin dur bahut dur
bas ab le hi chal!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: July 21, 2006, 07:17:56 PM »
sahi kaha gauarv and nitiesh  ..........likhna aasan hai jaana bahut mushkil.........

iska duasra pehlu yeh bhi hai..........

dur jaake hum chein kahan paayenge
woh dard ke saye fir hame tanaha kar jayenge

mil jaata agar qarar dur jaane se sanam
toh hum toh bas kabar mein apni so jayenge

nahi milta hai jab sakun saath rehane se kisi ko
toh dur ho ke bhi  yeh rishte aur tadpayenge

kash ke  jaan sakata hamare is dard ki dawa koi
woh dawa to hum bas tere daaman ke saaye mein hi paayenge
Logged
phoenix
Guest
«Reply #7 on: July 21, 2006, 07:34:07 PM »
har ek panna apni kahani kehta hai
zindagi ka har lamha apni rawani kehta hai
sun sako to sunkar dekh lo
ek tuta hua dil bhi aansu ki zubani kehta hai

tum toh nikal jaate ho dilon ko todkar
par woh tuta hua dil bhi sitamgar ki kahani kehta hai
jo yakin na ho toh mud kar dekhna meri saans ka har katra ek yaad purani kehta hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: July 22, 2006, 09:21:41 AM »
tum mere kitne pass ho main tumse kitni dur hun
fir is zindagi ki jalti si dhup mein jalane ko majbur hun

fir se koi mera khawab salona tut gaya hai
fir koi hamare dil ke pass aa ke dur gaya hai

fir se dil ke kone mein koi ek adhuri si tamana hai
aaj fir se ek dard ka saaya dil mein jam sa gaya hai

is zindagi ki saazisho se main hui chaknachur hun
tum kitne paas ho mere aur main tumse kitni dur hun!!!!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #9 on: July 27, 2006, 04:45:25 AM »
kuch iss kadar se apni zindagi ko nibhaun
na pata chale kisi ko aur kahin dur chala jaun
apne saayon se bhi apna wajood ab chipaun
agar ho sake toh mein kahin dur chala jaun

tum bhi mujhe bhul jao ek kisse ki tarah
kuch iss kadar mein apni hasti mitaun
na parwah ho mujhe apni badnaami ki kabhi
isliye aaj zamaane se kahin dur chala jaun
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: July 27, 2006, 05:13:38 AM »
jo  bhulana hota itna aasaan toh kab ke hum tujhe bhul jaate
na karte tujhe fariyaad milne ki na tujhe kabhi yaad aate

mita diya hamne apna saara vajood tak tujhe paane mein
kash ki tum bhi mere pyaar ki gehrayi ko kabhi  samjh paate

kiya thaa tumne vaada hamse dosti ka a dost
toh us dosti ke kuch rasmo riwaz toh tum nibhaate

mitaane chale ho aaj apni hasti badnaami ke dar se
kash ki zindagi ke is khel mein kahi toh apna ek mukaam banaate
Logged
phoenix
Guest
«Reply #11 on: August 29, 2006, 06:12:22 PM »
tere jalave ab mujhe har suu nazar aane lage
kaash ye bhii ho ke mujh me.n tuu nazar aane lage

ibtadaa ye thii ke dekhii thii Khushii kii ek jhalak
intahaa ye hai ke Gam har suu nazar aane lage

beqaraarii ba.Dhate ba.Dhate dil kii fitarat ban gaii
shaayad ab taskiin kaa pahaluu nazar aane lage

Khatm karade ae 'Sabaa' ab shaam-e-Gam kii daastaa.N
dekh un aa.Nkho.n me.n bhii aa.Nsuu nazar aane lage
{saba afghani}
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: August 30, 2006, 02:08:44 AM »
Very Nice Phoenix & All...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: August 30, 2006, 09:13:47 AM »
tujse juda ho kar mera haal bhalla kya hota
mujhse mat puch ki dil dard se kitna bhara hota

mil gaya sakoon mujhe apni diwaangi se ab
warana yahan abhi bhi ashqo ka dariya hota

sach toh  yeh  hai ki agar tu na todata mera dil
toh is dil ko kab  dil ke dardo ka pata hota

chal rahi hain hain meri saanse ya nahi
kya fark padta hai zamaane ko gar yeh dil aaj bhi dharak raah hota
Logged
phoenix
Guest
«Reply #14 on: September 12, 2006, 06:22:08 PM »
darkinar karke inn yaado.n ko
mein bhi kahin raaho.n me kho jaun

dhoond na paaye chirag e mohaabat mujhe
aise gum k baadalo.n me so jaun

jism tadapta hai pyaar k ek sparsh k liye
isko kisi maikhane mein tadapta chood aaun

gulshan k gul ko gunahgar bana diya hai tumne
kyun na is sheher mein kahin wafa ka ilzaam ban jaun

gunaah kar k agar mili hoti saaza toh fir baat hi kya thi
jo ho gayi hai saaza toh fir gunaah mein deri bhali nahi

rukne se rukte agar badkismati k toofan
toh hum bhi lakeeron k iss khel ko khiladi ban chuke hote

jab lakeere.n hi na barte aehtraam toh fir khata kis ki hai
jab aajye toofan toh kya fark padta hai kashti kis ki hai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:12:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer