*****kahin koi udaas betha hai*****

by kaushikbhawna008 on July 10, 2008, 05:40:34 AM
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Author  (Read 3185 times)
kaushikbhawna008
Guest
hawaaon ka rukh ye kehta hai
kahin koi udaas betha hai

gar nahi hai hasi mere labon pe to
kahin koi aur bhi khamosh beta hai

hawaaon ka rukh ..................

ye jo tez tufaan sa uth raha hai
lagta hai kahin koi tadap raha hai

be-waqt ye jo barsaat ho rahi hai
lag raha hai kahin koi ro raha hai

hawaaon ka rukh ..................

kisi ka ehsaas karati hain hawaayein
shayad koi hai jo mujhse bichad gaya hai

lagi hoon sochne fir aaj "bhawna"
kaun hai jo mujhse kuch juda hai

hawaaon ka rukh ...................

kuch chand sawaal jo meine khud se hain puche
kyu kar rahi hoon yaad use jo bewafaa hai?

kya wo aaj sach mei nibhayega mujhse wafaa
jo aaj har lamha mere liye tadap raha hai?

hawaaon ka rukh .....................


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Duur Kahin Rehtay Ho kahin by Dewana_Badal in Ghazals
udaas udaas sa manzar dikhai deta hai by nadanashiq in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Aas Lagaye betha hun by Zaraab Khan in Shayri for Dard -e- Judai
DIL UNKA HAM TOD BETHA by haroon_shaikh in Shayri for Dard -e- Judai
bhool betha hay (by vb) by vb in Ghazals « 1 2  All »
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 10, 2008, 05:47:49 AM »
kisi ka ehsaas karati hain hawaayein
shayad koi hai jo mujhse bichad gaya hai

lagi hoon sochne fir aaj "bhawna"
kaun hai jo mujhse kuch juda hai


Waah..Bahot Khoob Bhawnaji..
Badhiya Nazam..Hammesha KI Tarha......hawaaon ka rukh
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: July 10, 2008, 05:51:54 AM »
Bhawna

Beautiful poem ! Applause

hawaaon ka rukh ....
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: July 10, 2008, 05:56:48 AM »
shukriya muhammed ji and rajbir ji

jab bhi ham kuch tanha hue
in hawaaon ne ehsaas unka kara dia
lage the sochne ki kaise jiyenge unse hokar juda
in hawaaon ne hamei unka sparsh bhi kara dia
Logged
punam
Guest
«Reply #4 on: July 10, 2008, 06:15:20 AM »
Bahot khoob kaushikbhawna ji simply beautiful...
Logged
kiiller_1
Guest
«Reply #5 on: July 10, 2008, 06:16:15 AM »
gar nahi hai hasi mere labon pe to
kahin koi aur bhi khamosh beta hai


ye jo tez tufaan sa uth raha hai
lagta hai kahin koi tadap raha hai

be-waqt ye jo barsaat ho rahi hai
lag raha hai kahin koi ro raha hai

aise sayri na kbhi padhi he
nahi sayad kabhi samne aayegi
gr8 job  Applause
jeise dil ne sine meise bahar aake apni halat batai ho Clapping Smiley
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #6 on: July 10, 2008, 06:20:09 AM »
shukriya killer_1 ji and punam ji
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: July 10, 2008, 06:38:38 AM »
NICE KALAM AGAIN Applause
KAUSHIK,
KEEP GOING....
BY. K.SHAEL
Logged
unlock ali
Guest
«Reply #8 on: July 10, 2008, 08:44:27 AM »
be-waqt ye jo barsaat ho rahi hai
lag raha hai kahin koi ro raha hai

hawaaon ka rukh ..................

kisi ka ehsaas karati hain hawaayein
shayad koi hai jo mujhse bichad gaya hai,

bahut khoob bhawnaji. kya sanjeeda likhti hai aap.... dil ko ek tadpati hui khushi milti hai, aapka likha padhkar
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #9 on: July 11, 2008, 06:51:51 AM »
thnks ali ji
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: July 11, 2008, 06:59:24 AM »
hawaaon ka rukh ye kehta hai
kahin koi udaas betha hai

gar nahi hai hasi mere labon pe to
kahin koi aur bhi khamosh beta hai

hawaaon ka rukh ..................

ye jo tez tufaan sa uth raha hai
lagta hai kahin koi tadap raha hai

be-waqt ye jo barsaat ho rahi hai
lag raha hai kahin koi ro raha hai

hawaaon ka rukh ..................

kisi ka ehsaas karati hain hawaayein
shayad koi hai jo mujhse bichad gaya hai

lagi hoon sochne fir aaj "bhawna"
kaun hai jo mujhse kuch juda hai

hawaaon ka rukh ...................

kuch chand sawaal jo meine khud se hain puche
kyu kar rahi hoon yaad use jo bewafaa hai?

kya wo aaj sach mei nibhayega mujhse wafaa
jo aaj har lamha mere liye tadap raha hai?

hawaaon ka rukh .....................




Very Nice Work KaushikBhawna.. Applause
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #11 on: July 11, 2008, 07:14:48 AM »
bahoot khoob bhawna........... Applause Applause

lakh chipaya duniya se....par chip nahi paaya,
kabhi hawaon ne kah diya, kabhi maousam ne bataya,
dono ne ek doosare se ashqon ko yun chipaya
tumne nazar churai aur mai bhi muskaraya
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #12 on: July 11, 2008, 07:16:48 AM »
bahoot khoob bhawna........... Applause Applause

lakh chipaya duniya se....par chip nahi paaya,
kabhi hawaon ne kah diya, kabhi maousam ne bataya,
dono ne ek doosare se ashqon ko yun chipaya
tumne nazar churai aur mai bhi muskaraya


Waah... Too Good Reply.. Applause Sanjeev..
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #13 on: July 11, 2008, 08:17:21 AM »
bahoot khoob bhawna........... Applause Applause

lakh chipaya duniya se....par chip nahi paaya,
kabhi hawaon ne kah diya, kabhi maousam ne bataya,
dono ne ek doosare se ashqon ko yun chipaya
tumne nazar churai aur mai bhi muskaraya


shukriya bekarar ji

yu dard mei muskurana ka andaaz apna apna hai
wo ho jaayein kabhi mere bas khwab yahi adhura hai
nahi hai khwahish k wo dekh ansu mere khud bhi rone lagein
bas wo dard apna na chupayein bas yahi unse kehna hai
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #14 on: July 11, 2008, 08:19:52 AM »
shukriya mahiya ji
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:15:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer