doston yeh ek aise ladke kii kahaani jo marne wala hai oose faansi kii saza huyi hai........magar kya sach main woh ek mujrim tha yeh woh apni mehbooba se keh raha hai bataiye ga kaisi lagi
bada majboor tha mein dil k haathon warna yeh kadam na oothata
na todta khud hi apne sapno ka mahal na salakhon k peechhe aata
tumse milne kii khatir chala aaya tha ghar tumhaare
kya maloom tha garibon k haathon mein shabd mohabbat ka nahin aata
bahut dutkaara tumhaare abba ne , meri mohabbat ko zaleel kiya
bahut roya mera dil , kyun maine tera ishq kabool kiya
kaha oonhone banao haisiyat apni mere jaisi phir aana
oonki inhi baaton ne mujhe kucch karne ko majboor kiya
bahut bhataka mein lekar digriyaan apni
har jagah rishwat ko darwaaje par khada paaya
thi nahin haisiyat meri kar deta oonki zeb garam
isliye jurm kii daldal mein ootar aaya
socha kii kucch din reh kar nikal jaunga is dal dal se
magar doobta hi gaya waqt k saath main
jab hosh aaya bahut der ho chuki thi
chad chuka tha daldal sar se paanv main
aaj jab in jail kii salaakhon se sar takaraata hoon
din mein pathron ko todta aur oothata hoon
tab mujhe teri hansi tera chehra yaad aata hai
magar main apne khwabon ko salaakhon main bandha paata hoon
saza di hai adalat ne mujhe maut kii is liye tumhe bulwaaya hai
kaahin tum bhi mujhe na mujrim samjho isliye sab sach keh sunaaya hai
chala jaayega kucch palon main azaad hokar "Saahil" is duniya se
chahta tha kii tu jaane , maine ISHQ main kaise khud ko mitaaya hai
Bohot Khoob
Salil..Taareef ke qaabil......Very nice work indeed !!