Kaisa batao tum mara leya kiya hoon (personal)

by muneeb on September 13, 2004, 11:08:49 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1020 times)
muneeb
Guest
Chalo mein bataoon kya ho tum,
Mere liye meri duniyaan ho tum.
Chu kar jo guzri woh hawa ho tum,
Mein ne jo mangi woh dua ho tum.

Karey mujh ko jo roshan woh diya ho tum,
Dil yeh kahey mera jiya ho tum.
Kiya mein ney mehsoos woh ehsaas ho tum,
Mere honto ki pyaas ho tum.

Mere baahon ki aas ho tum,
Meri nazar ki talaash ho tum.
Meri zameen ka akaash ho tum,
Mere chehrey ki kashish ho tum.

Mere sitaron ki gardish ho tum,
Meri zindagi ka karaar ho tum.
Mein ney jo chaha woh pyaar ho tum,
Meray intizaar ki raahat ho tum.

Mere dil ki chaahat ho tum,
Tum ho to yeh duniya hai meri,
kaisey kahoo key meri jaan ho tum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MAra dost ya tara leya by muneeb in Shayri-E-Dard
Tara leya is likh raha hoon (personal) by muneeb in Shayri-E-Dard
Kiya tum mujh ko yaad karti hoon(personal) by muneeb in Shayri for Dard -e- Judai
mara KHowaab(personal) by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khuda Ne Mere Saath Yeh Kaisa Insaaf Kiya by Devdas_online in Shayri-E-Dard
muneeb
Guest
«Reply #1 on: September 15, 2004, 07:49:02 PM »
NAHI UDAAS KAB HOON MEIN..

NA JANAY KYON MERA KAJAL
JAB BHI DAALO AAKHON MAIN
AB AKSAR PHAIL JATA HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON

TUM TO JANTAY HO IN DINO
BUHAT HI THAND HOTI HAI
TAB HI HAI SURKH MERI NAAK
MEIN ROI TO NAHI HOON

KAHA TO HAI KAY YUN HI BUS
BHEEGA HAI AANCHAL KA KONA
CHHORO TUM FIKAR MAT KARO
MEIN ROI TO NAHI HOON

NAHI, UDAAS KAB HOON MEIN
ZIYADA KAM KAY BAES
THAKAWAT HO HI JATI HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON

BAHAAR AEI HAI, WOH AB BHI
NAHI AATA TO NA AYE
AB US KI YAAD MEIN DEKHO
MEIN ROI TO NAHI HOON

BATA DAYNA US KO JA KAR
KOI KHUSH-FEHMI NA PAALAY
WAISAY HI SURKH HAIN AANKHAIN
MEIN ROI TO NAHI HOON...!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2004, 08:09:43 PM »
Bahoot khoob Muneeb apki dono hi poems bahoot achi hai.
Logged
muneeb
Guest
«Reply #3 on: September 15, 2004, 08:15:05 PM »
bohat bohat shukriya Pooja jee
Tumhari yaad arahi hai, pal pal roola rahi hai
meri tanhie bhi aj bohat sata rahi hai

rastay bhi hain ab sunay,der bhi hain veran
khamoshi bhi aj tum ko khud hi pokar rahi hai

tumhari har baat say mehsoos kuch un hota hai
jasay kisi phool ki khushboo sara alam mehka rahi hai

tumhari yaadoon kay saharay din raat ghuzartay hain
jasay andehray main kahin roshni jagmaga rahi hai

qadam qadam par muj ko ehsas yeh hota hai
jasay koi manzil khud mujay bola rahi hai

"RUKH" ab to aksar mujay ghoman kuch un hota hai
Hawa bhi jasay us say mil kar pegham wafa kay la rahi hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: September 15, 2004, 08:38:00 PM »
nice.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:14:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer