kaisa ye faasla... Intezar !

by Intezar on April 08, 2012, 01:02:43 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1176 times)
Intezar
Guest


aashiyan banaaya dil me, phir viraaN kar diya
kaisa ye ajab faasla, tumne darmayaaN kar diya

jaane kis adaa se nibhaayi hai tumne rasme ulfat
shahar muhabbat ka jalaakar sab dhuaaN kar diya

muhabbat me karke faisla tark ka mujhse aye jaan
meri saari hasratoN ko tumne raa’egaaN kar diya

sochte the kahin to panaah mil jaayegi aansuo ko
lagaa kar ilzaam, gunaahon ka kaarwaaN kar diya

bade khamosh the kabhi tum mere har sawal par
aaj bin puchhe sab ek khanjar se bayaaN kar diya

aaj fursat mili hai lahad me aakar to sochta hun
kiske Intezar me humne kisko rehnumaaN kar diya…!


Shukriya
Intezar !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chand Kadmon Ka Faasla by daljeet_faqeer in Shayri for Dard -e- Judai
Faasla Nahi Ghatta by angel4u in Shayri-E-Dard
Faasla.... by daljeet_faqeer in Shairi - E - Zindagi
kuch aur faasla de mujhe... Intezar ! by Intezar in Miscellaneous Shayri
Faasla...... mann by mann.mann in Shayri-E-Dard
khujli
Guest
«Reply #1 on: April 08, 2012, 01:05:53 PM »


aashiyan banaaya dil me, phir viraaN kar diya
kaisa ye ajab faasla, tumne darmayaaN kar diya

jaane kis adaa se nibhaayi hai tumne rasme ulfat
shahar muhabbat ka jalaakar sab dhuaaN kar diya

muhabbat me karke faisla tark ka mujhse aye jaan
meri saari hasratoN ko tumne raa’egaaN kar diya

sochte the kahin to panaah mil jaayegi aansuo ko
lagaa kar ilzaam, gunaahon ka kaarwaaN kar diya

bade khamosh the kabhi tum mere har sawal par
aaj bin puchhe sab ek khanjar se bayaaN kar diya

aaj fursat mili hai lahad me aakar to sochta hun
kiske Intezar me humne kisko rehnumaaN kar diya…! icon_scratch icon_scratch


Shukriya
Intezar !

 Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower
Logged
theyash
Guest
«Reply #2 on: April 08, 2012, 02:11:18 PM »
bahut khoob intezaarji... Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: April 08, 2012, 02:16:10 PM »
Sitaab Sahaab Aadaab!

Janaab bade lambe arse baad aapne bazm meiN
waapsi ki khairiyat toH hai naa ?

Aapki kalaam behad khoob hai janaab... aapke ahsaas o
khayaaloN meiN pinaaH dard khoob ayaaN huaa hai... Usual Smile

Behad khoob janab behad achchi kalaam rahi yeH...
Sabhi ashaar behad khoob aur umda rahe...

Humari dili daad o mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile
Likhte rahiye... aate rahiye...
Shaad o aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile









aashiyan banaaya dil me, phir viraaN kar diya
kaisa ye ajab faasla, tumne darmayaaN kar diya

jaane kis adaa se nibhaayi hai tumne rasme ulfat
shahar muhabbat ka jalaakar sab dhuaaN kar diya

muhabbat me karke faisla tark ka mujhse aye jaan
meri saari hasratoN ko tumne raa’egaaN kar diya

sochte the kahin to panaah mil jaayegi aansuo ko
lagaa kar ilzaam, gunaahon ka kaarwaaN kar diya

bade khamosh the kabhi tum mere har sawal par
aaj bin puchhe sab ek khanjar se bayaaN kar diya

aaj fursat mili hai lahad me aakar to sochta hun
kiske Intezar me humne kisko rehnumaaN kar diya…!


Shukriya
Intezar !
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: April 08, 2012, 04:57:54 PM »
bahut bahut khoob daad haazir hai janaab
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #5 on: April 08, 2012, 05:03:12 PM »
bohut khub janab
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #6 on: April 08, 2012, 06:55:08 PM »
Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #7 on: April 08, 2012, 07:36:07 PM »


aashiyan banaaya dil me, phir viraaN kar diya
kaisa ye ajab faasla, tumne darmayaaN kar diya
koi to majboori hogi.tumne samajhne aur daryaaft karne ki koshish bhi to na ki icon_flower icon_flower icon_flower
jaane kis adaa se nibhaayi hai tumne rasme ulfat
shahar muhabbat ka jalaakar sab dhuaaN kar diya
kya ye sirf meri hi khata sehua. zara apne girebaan mein jhaank kar deko . Embarrased Embarrased Embarrased Applause Applause Applause Applause
muhabbat me karke faisla tark ka mujhse aye jaan
meri saari hasratoN ko tumne raa’egaaN kar diya
hasrat meri bhi to thi. per kahaan tumne unka dhyaan rakha.equal respect aur concern ki main bhi haqdaar hoon ji Is it SO! Is it SO! Is it SO! Applause Applause Applause Applause Applause Applause
sochte the kahin to panaah mil jaayegi aansuo ko
lagaa kar ilzaam, gunaahon ka kaarwaaN kar diya
dekho ji, mujh pe ye tohmat mat hi lagaao. khud chalna aataa nahin aur raaste ko badnaam karte ho. icon_scratch icon_scratch Applause Applause Applause
bade khamosh the kabhi tum mere har sawal par
aaj bin puchhe sab ek khanjar se bayaaN kar diya
tumhaari shakki mizaaj se main to pareshaan ho chuki hoon. isi liye aisa hua sad10 sad10 Applause Applause Applause Applause
aaj fursat mili hai lahad me aakar to sochta hun
kiske Intezar me humne kisko rehnumaaN kar diya…!
kisi ke intezaar mein hamne nazar ko pareshaan kar diya..! Applause Applause Applause Applause

Shukriya
Intezar !

nice intezar...........!
Logged
dolly
Guest
«Reply #8 on: April 09, 2012, 10:08:43 AM »
bahut khoob.....achi peshkash....
Logged
Intezar
Guest
«Reply #9 on: April 10, 2012, 12:11:42 PM »
Shukriya Qalb ji aur theyash ji aapne pasand kiya bahut bahut shukriya !

Intezar !
Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: April 10, 2012, 12:13:23 PM »
Sksaini ji, saahill ji aur atish ji aapka shukriya bahut bahut shukriya aap sabhi ne pasand kiya meri koshish ko... !

Intezar !
Logged
Intezar
Guest
«Reply #11 on: April 10, 2012, 12:15:39 PM »
aadaab parwaaz sahab
hum bilkul khairiyat se hain aur yahi dua karte hai ki aap bhi khush honge...
hamari koshish ko pasand farmaya aapne bahut bahut shukriya... aur aap to ab milte hi nahi kya bataayen... bas isi tarah saath dete rahiye yahi chahte hain... apna khayal rakhiyega..

Intezar !
Sitaab Sahaab Aadaab!

Janaab bade lambe arse baad aapne bazm meiN
waapsi ki khairiyat toH hai naa ?

Aapki kalaam behad khoob hai janaab... aapke ahsaas o
khayaaloN meiN pinaaH dard khoob ayaaN huaa hai... Usual Smile

Behad khoob janab behad achchi kalaam rahi yeH...
Sabhi ashaar behad khoob aur umda rahe...

Humari dili daad o mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile
Likhte rahiye... aate rahiye...
Shaad o aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile







Logged
Intezar
Guest
«Reply #12 on: April 10, 2012, 12:19:44 PM »
Sheba ji Shukriya for your nice reply aur bahut bahut shukriya aapne pasand kiya aur khubsurat jawab diya... bas yuhi saath rahiyega... apna khayal rakhiyega... !

Intezar !

nice intezar...........!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 10, 2012, 12:32:36 PM »
Intezar Ji beautiful Poetic Expressions..

Bahuttttttt bahuttttt Khooob!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #14 on: April 11, 2012, 10:30:57 AM »
aadaab parwaaz sahab
hum bilkul khairiyat se hain aur yahi dua karte hai ki aap bhi khush honge...
hamari koshish ko pasand farmaya aapne bahut bahut shukriya... aur aap to ab milte hi nahi kya bataayen... bas isi tarah saath dete rahiye yahi chahte hain... apna khayal rakhiyega..

Intezar !

Bhai Allaah ka raham O karam hai... Usual Smile

HaaN waqt nahi miltaa so Yahoo aur FB par login bhi nahi karte...
Shayad is saal ki shuruaat se humne FB aur Yahoo par login nahi ki
hai ... Jab totaly free ho jayeNge toH aa jayeNge... Usual Smile

Khair par janab Hum yahaaN to roz hi haazri lagaate haiN...
Aap bhi apna waqt diyaa kijiye... Mulakhat hoti raheNgi.. Usual Smile

Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:46:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer