~~"KAISE FAKIROON WALA HAAL HUA"~~

by k.shael on April 06, 2009, 10:06:21 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1159 times)
k.shael
Guest
Sun ke uski madmast bhari baatoon ko dil mar mitne ko
Tayaar hua, maine uske deewanepan me har pal bitaya aur
Wo ta-umar ke liye kisi aur ka shingaar hua.

Nazar-e-yaar itni katil thi ki dil saans ke hote hue bhi dil
bejaar Hua, kadmo ko rokne ki koshish bahut ki par har koshish
pe khud hi mein nakam hua,

Jaakar beth gaye uske darr pe iss tarah ki wo khud bhi dekh ke
Hairaan hua, Hasta hai aur kehta hai janaab kaise ye aapka
Fakiro wala haal hua,

Do mulaqatein bhi na ki unse aur kehta hai dil beshumaar pyaar
Hua, koi batlaye to zara naadan-e-dil ko ki ishq me tera bhi
Deewano jaisa haal hua,
 
uske ki beruqi ne bhi kya jadoo kiya hai "Shally"
kal tak jise zindagi ki hasrath thi aaj maut ka talabgaar hua !!

Shally.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
/////////"""HAAL-E-BAYAAN"""/////////////// by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
"jaadu nagri wala koi" by aaina in Ghazals « 1 2  All »
"haal e dil tumko sunaya" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq
"Haal kisko raqam karte ho" by aaina in Ghazals
"Saza Dene Wala, Jaza Dene Wala" -SKY- by SkykiTears in Shayari-e-Parastish
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: April 06, 2009, 10:09:17 AM »
Wah wah kya baat hai shally
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: April 06, 2009, 10:13:50 AM »
Nice Work Shally...
Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: April 06, 2009, 10:29:20 AM »
Wah wah kya baat hai shally

Shukriya Sophi Dear,

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: April 06, 2009, 10:29:51 AM »
Nice Work Shally...

Shukriya Sajid Ji,

Shally.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #5 on: April 06, 2009, 10:50:56 AM »
Sun ke uski madmast bhari baatoon ko dil mar mitne ko
Tayaar hua, maine uske deewanepan me har pal bitaya aur
Wo ta-umar ke liye kisi aur ka shingaar hua.

Nazar-e-yaar itni katil thi ki dil saans ke hote hue bhi dil
bejaar Hua, kadmo ko rokne ki koshish bahut ki par har koshish
pe khud hi mein nakam hua,

Jaakar beth gaye uske darr pe iss tarah ki wo khud bhi dekh ke
Hairaan hua, Hasta hai aur kehta hai janaab kaise ye aapka
Fakiro wala haal hua,

Do mulaqatein bhi na ki unse aur kehta hai dil beshumaar pyaar
Hua, koi batlaye to zara naadan-e-dil ko ki ishq me tera bhi
Deewano jaisa haal hua,
 
Zikar-e-mohabbat karma bura to nahi par kiya jo hamne to
zara-zara parehshaan hua, hamne mohabbat ki bhi to iss shidatt
se ki lamha-lamha karjdaar hua.

Shally.


Bass,,Oye Shally Tu Likhti Jaa,,Main Taarif karta Chalun...
Kamaal Ismein Yeh Hai ki Jo Lafzon ko Tarteeb diya Hai,,waqaee bahot hi Mushqeel Kaam hota Hai Taweel Nazm ko Likhne Me..Lekin Asaan Hota Hai ik Saahib e Fann k Liye...Bahot badhiya..khoob

Waise Urdu to Mujhse Kafi achi aati Hai Tumhe
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #6 on: April 06, 2009, 10:53:16 AM »
Bahut Khoob Shally Ji
Logged
diya786
Guest
«Reply #7 on: April 06, 2009, 11:46:37 AM »
really nice post Shally dear
bahut accha likha hai aapne Clapping Smiley Clapping Smiley

Tere ishq mein yehi mera haal hai
ajeeb bechaini ka dil mein shor hua
tumko yaad dila sakoon apni
aisi nakaam si koshish ka bhi zor hua
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: April 06, 2009, 09:22:31 PM »
Applause Applause Bahaut khoob Shally jee..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: April 08, 2009, 08:10:35 AM »
Bohart Achche Shally Behan,.
And Nice One,.
Kashish JI,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:28:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer