****Kaise insaan hai aaj****

by baadal102 on January 29, 2008, 11:25:10 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2141 times)
baadal102
Guest
Samjhte nahi dard-e-dil ko,
Kaise insaan hai aaj,

Koi roke na mujh ko,
Kisi ko dard nahi hai aaj,

Risne do zakhmo ko,
Behne do ashko ko aaj,

Samjho na KHUDA kisi ko,
Wo KHUDA kehlane ke layak nahi hai aaj,

Jhoot, Fareb bhaata hai jin ko,
Kaise sitamgar hai aaj,

Kaatil ban baithe hai jo,
Kaise dildaar hai aaj,

Samjhte nahi dard-e-dil ko,
Kaise insaan hai aaj!!!



Baadal
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:: insaan :: by myheart_ursonly in SMS , mobile & JOKES
~*~*AaJ kA iNsAaN~*~* by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard
Insaan.. by Pundreek in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Insaan by Deepak Subi in Shairi - E - Zindagi
Badalta rang ye insaaN kaise kaise.......PWFS by pankajwfs in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #1 on: January 29, 2008, 11:27:55 AM »
bahut ache badal
Logged
mehhekkk
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2008, 12:42:01 PM »
bahut khub

aaj wo zamana na raha
khuda ki khudai pe bharosa na raha
baat baat pe nikal aati hai talware
pyar jis dil mein rehta tha
ab wo insaan hi na raha.
Logged
naina_panu
Guest
«Reply #3 on: January 29, 2008, 01:16:13 PM »
insaan tu aaj ka kab ka badal gaya
tha jo kabi shajar daita tha wo saya
baadal ban k aasman say lipat gaya
insano ki basty mai hay cough and flu
wo zalim baadal tu jungle mai baras gaya


hey baadal ab hay shikwa insano say?
Logged
baadal102
Guest
«Reply #4 on: January 29, 2008, 02:23:45 PM »
thanx a lot samnoj,mehak & naina ji
good lines mehak ji & naina ji Usual Smile

Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2008, 03:45:37 PM »
bahoot khoob baadal ji!! nice one mehekk and naina!!!


Samjhate hai sab magar batlaate nahi
Na jaane kyun pyar apna jatlaate nahi

Kuch to rahi hogi jamane ki majbooria
Kuch wo apne halaat bhi batlaate nahi

Pyar hota hai ya nahi hota mere dost
Bich mai to aor koi raah jaate nahi

Khuda usko khud ke pyar ne hi to banaya hai
Khud ko hi samjha lo, un bewafa, pyar ko batlaate nahi
Logged
baadal102
Guest
«Reply #6 on: January 29, 2008, 03:51:00 PM »
Bahoot aache pooja ji

Nazar mila ke nazar chura lete hai,
Kaise insaan hai aaj,

Yakeen tod ke haste hai,
kaise insaan hai aaj,

Dil mai jo hai batate nahi,
kaise insaan hai aaj,

Har zakhm ko kuredte hai,
Kaise insaan hai aaj!!!


Baadal

Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 29, 2008, 04:01:23 PM »
Ajj ke insaan ko dete ho dosh kyun
Aise insaano ko app dil hi dete ho kayun

Jo hansta hai apne hi pyar per
Aise insaan per dhayan dete ho kyun

Yakeen toot.ta hai sirf apno se hi to
Phir apno ko yah dosh tum dete ho kayun

Zakham ko paala hai bade pyar se tumne
Phir uske kurdne ka dosh, kisi ko dete ho kayun..

Zazbaat hai apne, dil bhi hai apna
Kisi ko is main atte dete ho tum kyun...
Logged
baadal102
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2008, 04:08:45 PM »
bahut aacha reply hai pooja ji
iss ka jawab soch ke dena hoga Usual Smile

Baadal
Logged
punam
Guest
«Reply #9 on: January 29, 2008, 04:10:36 PM »
Nice going pooja di and baadal ji..ek se badh ke ek likhe aap dono ne..

dard deke poochte hain hua hai kya  aise insaan hain aaj
samajhte huye sab anjaan bante aise insaan hain aaj..

apna samjho jab bhi jisko wahi bhonkta hai khanjar aaj..
dil ko khilona samajh ke khelte hain aise insaan hain aaj

Dikhawat ki duniya hai koi apna nahi hai aaj...
zakhmo se chur dil ko dard-e-tamasha bana dete hain
aise insaan hain aaj...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2008, 04:12:26 PM »
wah punam kaya baat hai, bahoot khoob !! bahoot hi acha likha hai..

baadal ji apke jawab ka intzaar rahega!!!
Logged
baadal102
Guest
«Reply #11 on: January 31, 2008, 07:55:50 AM »
pooja ji aap ka reply

Dil to hamesha tut jaate hai,
Dosh bhi apno ko sahne padte hai,

Kya kahne insaani fitrat ke,
Ye hai ki fir bhi dil laga baithte hai,

Ye zarorrat zindgee ki hai,
Akele safar nahi kaate jaate hai,

Wo haste hai apne hi pyar pe,
Fir bhi hum dil lagate jaate hai,

Samajte hai koi to milega raahe humsafer,
Use dhooke mai jindgee jiye jaate hai,

Dil toot ke jab ashoo girte hai,
Dil ke aawaz sun ke yahi kahte jaate hai,

Samjhte nahi dard-e-dil ko,Kaise insaan hai aaj,
Samjho na KHUDA kisi ko,Wo KHUDA kehlane ke layak nahi hai aaj!!!



Baadal




Logged
baadal102
Guest
«Reply #12 on: January 31, 2008, 08:10:10 AM »
Punam ji choti se kosish

Zakhm de ke tamashai hai,
kaise insaan hai aaj,

Khilona hai dil jin ke liye,
Kaise insaan hai aaj,

Zazbaato ki koi kadar nahi,
Kaise insaan hai aaj,

Gunaho ko apne chipate hai,
Kaise insaan hai aaj,

Saramsaar hai jin se sab,
Kaise insaan hai aaj!!!!


Baadal

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: January 31, 2008, 08:11:01 AM »
Bohat acha likha hai pooja,punam aur baadal ji.. Usual Smile
Logged
baadal102
Guest
«Reply #14 on: January 31, 2008, 08:19:26 AM »
Naina ji thora late sahi lakin
kuch lines aap ke liye


 
Lipat gaye aasma se chahe,
Nazar abhi bhi zami pe hai,
Tareste hai jo ek boond ke liye,
Baadal un pe baraste jaroor hai.....



Baadal
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:21:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer