'kaise tujhko bhula du.n"

by aaina on June 09, 2009, 11:57:24 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 4385 times)
aaina
Guest
is section se bhut kam aashna hu.n, lakin kabhi kabhi dil yaa hallat wabstagi badhane ko majboor kar daite hain...ek choti si koshish pasnd aaye to duwaao.n se nawaaziyega, shukriya




Kaise tujhko bhula du.n bata de zara
Apni hasti mita du.n? bata de zara

Meine tujhko duwao.n mai nahi manga tha
Us ka tohfa lota du.n? bata de zara

Teri saanso se wabasta hain sanse meri
Inko sooli chdha du.n? bata de zara

Ye adhoore se khabo.n ki parchaaiyaa.n
Inse daamn Chura lu.n? bata de zara

Mein tujhko talatum mai lai aaya hu.n
Ab ye kashti duba du.n? bata de zara



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kaun kheata hai tujhko bhula rakha hai, by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hum Dil Se Bhula Dete Tujhko............. by Raj_tanha in Shayri-E-Dard
"Ghazal tujhko kehne" by aaina in Ghazals « 1 2  All »
Ja Tujhko Yaar Bhula Baithe....... by vipul kumar in Ghazals
Chicha kaise kaise kahaniyaa suna raiN " ParwaaZ by ParwaaZ in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: June 09, 2009, 12:50:54 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot hi khoob Aslam Ji....Bohot dard hai aap ki is ghazal main......Bohot pasand aayi....Khuda aap ko khush rakhe........yunhi likhte rahiyega..!!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #2 on: June 09, 2009, 01:12:19 PM »
kya baat h Aaina ji.......bahut bdhiya.......har laf
j me dard Applause Applause Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: June 09, 2009, 04:25:19 PM »
Bahut hi dard hai aapki ye chhoti si koshish mein Usual Smile

Allah aapko khush rakhein hamesha.

Too good Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: June 09, 2009, 04:27:21 PM »
Bahut Khoob Aslam Ji..

Bahut Acha Likhte Hai Aap Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: June 09, 2009, 04:30:49 PM »
Waah Waah. bahoot bahoot khoob Aslam ji.. keep writing.......Usual Smile
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #6 on: June 09, 2009, 05:21:02 PM »
Bahut khoob Aaina Ji
Achchha hua ki dard ne chauka diye mujhe
kuchh neend aa chali thi shab-e-intazar me
SARVESH RASTOGI
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: June 09, 2009, 08:51:51 PM »
is section se bhut kam aashna hu.n, lakin kabhi kabhi dil yaa hallat wabstagi badhane ko majboor kar daite hain...ek choti si koshish pasnd aaye to duwaao.n se nawaaziyega, shukriya

Kaise tujhko bhula du.n bata de zara
Apni hasti mita du.n? bata de zara

Meine tujhko duwao.n mai nahi manga tha
Us ka tohfa lota du.n? bata de zara

Teri saanso se wabasta hain sanse meri
Inko sooli chdha du.n? bata de zara

Ye adhoore se khabo.n ki parchaaiyaa.n
Inse daamn Chura lu.n? bata de zara

Mein tujhko talatum mai lai aaya hu.n
Ab ye kashti duba du.n? bata de zara



Aslam Ji, aap bohot achcha likhte hain...aap ke saamne kuch likhne ki himmat nahin hoti...par aap ki iss ghazal ne kuch likhne ko majboor kar diya.....aap ke har sher ko nazar main rakhte hue jawab likhne ki koshish ki hai.....!!

Bhoolne Ke Siwa Raasta Aur Kya
Dil Dukhaane Ka Ab Faaida Aur Kya

Ye Milna Humara Tumhara Sanam
Kahen Ge Ise Haadsa Aur Kya

Rasta Bhi Nahin, Koi Manzil Nahin
Badhega Phir Ab Silsila Aur Kya

Khwaab To Khwaab Hain, Haqeeqat Nahin
Jagah Inki Band Aankhon Ke Siwa Aur Kya

Dubo De Ye Kashti, Mere Na-Khuda
Karun Ab Main Tujhse Gila Aur Kya !
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #8 on: June 09, 2009, 11:02:31 PM »
Wah wah Aslam ji,very very nice and touching.
Bahut acha likha aapne. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: June 10, 2009, 08:05:22 AM »
Subham_allah Aslam jitni tareef ki jaye kam hain aur Talat ke jawab ne aur bhi sama bandh diya.  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: June 10, 2009, 08:07:53 AM »
is section se bhut kam aashna hu.n, lakin kabhi kabhi dil yaa hallat wabstagi badhane ko majboor kar daite hain...ek choti si koshish pasnd aaye to duwaao.n se nawaaziyega, shukriya




Kaise tujhko bhula du.n bata de zara
Apni hasti mita du.n? bata de zara

Meine tujhko duwao.n mai nahi manga tha
Us ka tohfa lota du.n? bata de zara

Teri saanso se wabasta hain sanse meri
Inko sooli chdha du.n? bata de zara

Ye adhoore se khabo.n ki parchaaiyaa.n
Inse daamn Chura lu.n? bata de zara

Mein tujhko talatum mai lai aaya hu.n
Ab ye kashti duba du.n? bata de zara

Bahut bahut khoob Aslam ji  Applause Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: June 10, 2009, 08:09:06 AM »

Aslam Ji, aap bohot achcha likhte hain...aap ke saamne kuch likhne ki himmat nahin hoti...par aap ki iss ghazal ne kuch likhne ko majboor kar diya.....aap ke har sher ko nazar main rakhte hue jawab likhne ki koshish ki hai.....!!

Bhoolne Ke Siwa Raasta Aur Kya
Dil Dukhaane Ka Ab Faaida Aur Kya

Ye Milna Humara Tumhara Sanam
Kahen Ge Ise Haadsa Aur Kya

Rasta Bhi Nahin, Koi Manzil Nahin
Badhega Phir Ab Silsila Aur Kya

Khwaab To Khwaab Hain, Haqeeqat Nahin
Jagah Inki Band Aankhon Ke Siwa Aur Kya

Dubo De Ye Kashti, Mere Na-Khuda
Karun Ab Main Tujhse Gila Aur Kya !

Wah wah Talat sis equally Nice reply  Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: June 10, 2009, 08:11:25 AM »
Waah, Bohat Achcha Likha Hai Aapne Aslam Bhai, Bohat Achche,.

And Nice One Talat Sis, Achcha Jawaab Diya Hai.,
Logged
diya786
Guest
«Reply #13 on: June 10, 2009, 10:50:00 AM »
Bahut umda likha hai Aslam Bhai Applause Applause Applause
very nice...

aur Talat ji aapne bhi kamaal likha hai....

 Applause Applause Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #14 on: June 12, 2009, 07:59:01 AM »
kya baat h Aaina ji.......bahut bdhiya.......har laf
j me dard Applause Applause Applause

thnxxxxx so much poppoetry
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:54:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer