Kaisi Ye Daastan ______________ {Angel}

by angel4u on June 24, 2009, 03:07:17 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2882 times)
angel4u
Guest
Ye ek aise insaan ki kahani hai, jisne hamesha har mod par galtiyan ki, thokarein khane ke bawajood wohi ki wohi galtiyaan ki, phir bhi uske kareeb ek shakhs tha jo hamesha uske saath raha, har mod pe, har imtehaan ke samay uska haath thaame chalta raha... par jab us insaanko ye ehsaas hua ke zindagi ka sabse ahem hissa uske liye wo shakhs ban gaya hai tab tak bahut bahut der ho chuki thi...



Ek Din Chalte Chalte Mila Ajnabi Banke Yunhi Raahon Mein,
Bhatak Raha Tha Wo Bhi Tanha Sa Gumnaam Si Kuch Chaahon Mein,

Bhola Sa Tha, Jiski Palkein Shararat Se Uthti Thi Har Baar,
Thi Ek Masoomiyat Jhalakti Hui Uski Alhad Si Baaton Mein,

Dekhte Dekhte Ban Gaya Wo Kab Na Jaane Aadat Hamare Jeene Ki,
Dosti Hai Ya Kuch Aur Doob Jaate The Hum Inhi Sochon Mein,

Jab Rahu Udaas To Khoob Manata, Mujhe Kuch Is Tarah Samjhata Tha,
Kehta Tha Har Gam Chura Lunga Jo Hai Teri Aankhon Ki Namiyon Mein,

Kuch Kehti Thi Uski Nazrein Shayad Par Samajh Nai Pate The Hum,
Kya Kehna Tha Use Kyon Laata Tha Wo Khalish Iqraaron Mein,

Isike Darmiyaan Ghulte Milte Rahe Hum Matlabi Logon Se,
Jinhone Dhoka Deke Bas Chhoda Hamein Ashqon Ki Dhaaron Mein,

Tab Bhi Kehta Raha Wo Ke Gam Na Kar Is Bedard Duniya Ka,
Main Sath Hoon Tere Chaand Ki Chaadni Aur Suraj Ki Tapishon Mein,

Mere Har Dard Ko Sehla Kar Usne Apni Chahat Ka Marham Diya,
Dekh Nahi Paayi Meri Bojhal Aankhein Wo Dard Uski Aankhon Mein,

Deke Gulaab Keha Usne Ek Din "Tu Rahi Mere Liye Bas Is Jaisi,
Waada Raha Iske Kaante Saja Lunga Main Apni Qismaton Mein",

Kyon Ye Shakhs Raha Mere Qareeb Itna Kya Rishta Raha Usse,
Sama Gaya Kyon Wohi Chehra Mere Dilke Hare Ek Jawabon Mein,

Ek Din Dheere Se Kaha Usne Ke Ho Chala Hoon Main Ab Kisi Aur Ka,
Meri Amanat Thi Jo Teri Muskurahat, Na Sonpna Ise Matlabi Haathon Mein,

Ye Sunke Bas Jaise Sehem Sa Gaya Mere Wajood Ki Ye Qaayenaat,
Tab Pata Chala Kya Ehmiyat Hoti Hia Shabdon Ki Iqraaron Mein,

Lafz Bhi The Bezubaan Kaise Puchte Uske Jaane Ki Wajah Usse,
Mehsoos Hua Ke Kho Diya Ek Anmol Heera Pattharon Ki Bheedon Mein,

Ab Bhi Hai Ummeed Na Jaane Kyon Uski Khamosh Si Mohabbat Ki,
Meri Rooh Bhi Sona Chahe Bas Uske Paak Daaman Ki Panahon Mein,

Yaqeen Hai Us Khuda Pe, Likha Hia Wo Meri Qismaton Mein Zaroor,
Ye Sochke Dhundti Hun Ab Bhiuska Saath Apne Haathon Ki Laqeeron Mein,

Naseebon Ki Bewafaiyon Ki Khatir Agar Chal Na Sake Wo Mere Saath,
Dua Karte Hai Har Pal Ke Maut Aaye Bas Uski Mehfooz Baahon Mein,

Ya Khuda! Meri Kuch Achhaiyon Ka Sila Kuch Is Tarha Se Dena Mujhe,
Mujhe Qafan Odhaye Wo, Mere Qabr Ki Pehli Mitti Ho Uske Haathon Mein,

Diya Jo Phool Tha Us Waqt Usne, Sonp Dein Use Bas Itni Mohlat Dena,
Khuda Ya! Phir Chahe Har Ek Dard Likh Dena Mere Aakhri Azaabon Mein...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: June 24, 2009, 03:21:02 PM »
Waah Huzaina Sis, Koot Koot Ke Bhara Hai Aapne Ek Aisi Kahaani Ko, Jo Dil Tak Utarti Hai,.
Bohat Achche JI,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: June 24, 2009, 04:12:48 PM »
Hmmm sahi hai... Ekdam bhari mann se likha hia...

Thanks for liking bro...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: June 24, 2009, 05:02:06 PM »
No word left for me to comment on your creation.. its Simply Mind blowing.. full of pain and emotions.. Good Work Sweetheart!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: June 24, 2009, 05:14:08 PM »
Oh... THank you so much Sweets...

Thanks for liking and appreciating... mujhe laga itna lamba hia kaun padhega... sad5
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 24, 2009, 08:51:27 PM »
Ye ek aise insaan ki kahani hai, jisne hamesha har mod par galtiyan ki, thokarein khane ke bawajood wohi ki wohi galtiyaan ki, phir bhi uske kareeb ek shakhs tha jo hamesha uske saath raha, har mod pe, har imtehaan ke samay uska haath thaame chalta raha... par jab us insaanko ye ehsaas hua ke zindagi ka sabse ahem hissa uske liye wo shakhs ban gaya hai tab tak bahut bahut der ho chuki thi...



Ek Din Chalte Chalte Mila Ajnabi Banke Yunhi Raahon Mein,
Bhatak Raha Tha Wo Bhi Tanha Sa Gumnaam Si Kuch Chaahon Mein,

Bhola Sa Tha, Jiski Palkein Shararat Se Uthti Thi Har Baar,
Thi Ek Masoomiyat Jhalakti Hui Uski Alhad Si Baaton Mein,

Dekhte Dekhte Ban Gaya Wo Kab Na Jaane Aadat Hamare Jeene Ki,
Dosti Hai Ya Kuch Aur Doob Jaate The Hum Inhi Sochon Mein,

Jab Rahu Udaas To Khoob Manata, Mujhe Kuch Is Tarah Samjhata Tha,
Kehta Tha Har Gam Chura Lunga Jo Hai Teri Aankhon Ki Namiyon Mein,

Kuch Kehti Thi Uski Nazrein Shayad Par Samajh Nai Pate The Hum,
Kya Kehna Tha Use Kyon Laata Tha Wo Khalish Iqraaron Mein,

Isike Darmiyaan Ghulte Milte Rahe Hum Matlabi Logon Se,
Jinhone Dhoka Deke Bas Chhoda Hamein Ashqon Ki Dhaaron Mein,

Tab Bhi Kehta Raha Wo Ke Gam Na Kar Is Bedard Duniya Ka,
Main Sath Hoon Tere Chaand Ki Chaadni Aur Suraj Ki Tapishon Mein,

Mere Har Dard Ko Sehla Kar Usne Apni Chahat Ka Marham Diya,
Dekh Nahi Paayi Meri Bojhal Aankhein Wo Dard Uski Aankhon Mein,

Deke Gulaab Keha Usne Ek Din "Tu Rahi Mere Liye Bas Is Jaisi,
Waada Raha Iske Kaante Saja Lunga Main Apni Qismaton Mein",

Kyon Ye Shakhs Raha Mere Qareeb Itna Kya Rishta Raha Usse,
Sama Gaya Kyon Wohi Chehra Mere Dilke Hare Ek Jawabon Mein,

Ek Din Dheere Se Kaha Usne Ke Ho Chala Hoon Main Ab Kisi Aur Ka,
Meri Amanat Thi Jo Teri Muskurahat, Na Sonpna Ise Matlabi Haathon Mein,

Ye Sunke Bas Jaise Sehem Sa Gaya Mere Wajood Ki Ye Qaayenaat,
Tab Pata Chala Kya Ehmiyat Hoti Hia Shabdon Ki Iqraaron Mein,

Lafz Bhi The Bezubaan Kaise Puchte Uske Jaane Ki Wajah Usse,
Mehsoos Hua Ke Kho Diya Ek Anmol Heera Pattharon Ki Bheedon Mein,

Ab Bhi Hai Ummeed Na Jaane Kyon Uski Khamosh Si Mohabbat Ki,
Meri Rooh Bhi Sona Chahe Bas Uske Paak Daaman Ki Panahon Mein,

Yaqeen Hai Us Khuda Pe, Likha Hia Wo Meri Qismaton Mein Zaroor,
Ye Sochke Dhundti Hun Ab Bhiuska Saath Apne Haathon Ki Laqeeron Mein,

Naseebon Ki Bewafaiyon Ki Khatir Agar Chal Na Sake Wo Mere Saath,
Dua Karte Hai Har Pal Ke Maut Aaye Bas Uski Mehfooz Baahon Mein,

Ya Khuda! Meri Kuch Achhaiyon Ka Sila Kuch Is Tarha Se Dena Mujhe,
Mujhe Qafan Odhaye Wo, Mere Qabr Ki Pehli Mitti Ho Uske Haathon Mein,

Diya Jo Phool Tha Us Waqt Usne, Sonp Dein Use Bas Itni Mohlat Dena,
Khuda Ya! Phir Chahe Har Ek Dard Likh Dena Mere Aakhri Azaabon Mein...


Angel.Iss Nazm Ki tareef Mein Kuch Keh paau,Itne Lafz Nahi Mere Paas...Par har Ek Lafz Mein Dard Ki Ek Pukaar Si thi...Bahut Dard Aur Gehre Jazbaton Se Bhari Nazm Hai Yeh ,Bas Shart Yeh hai Ke Iss Nazm Ko Uss Ehsaas Se Padha Jaaye,Jis Ehsaas Ke Saath Aapne Yeh Likha Hai..

Bahut Bahut Bhaut Khoob Mere Dost!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Simply Beautiful.. icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: June 24, 2009, 09:15:12 PM »
Huzena,Aapne Itna Acha Likha Hai Ke Bin kuch Likhe Yaha Se Jaana Namumkin Sa Ho Gaya Hai...Kuch Instant Sa Jawaab Dene Ki Koshish Kar Raha Hoon..Umeed Hai Aapko Aur sabko Yeh Pasand Aaye...

Zubaan Khamosh Bhi Ho To,
Nazrein Bahut Kuch Keh Sakti Hai..

Sirf Dard Mein Aankhein Nam Nahi Hoti Eh Dost!!!
Teri Khushi Ke Sadke Bhi,Aankhein Meri Beh Sakti Hai....


Sirf Dooriyon Mein Insaan Door Nahi Hota "Huzena"
Kabhi-Kabhi Bahut Nazdikiyan Bhi,Do Dilon Mein Dooriyan Ban Ke Reh Sakti Hai...

Dekhte-Dekhte Woh Ajnabi Kyon Apna Sa Ban Gaya "Khwaish"??
Uski Judai Yeh Dhadkane, Ab Nahi Seh Sakti hai....

Tumne Kabhi Suune Ki Koshish Hi Na Ki,
Khamoshiyan Bhi Bahut Kuch Keh Sakti Hai.....
Logged
MHussain
Guest
«Reply #7 on: June 24, 2009, 11:34:55 PM »
Well done Ms Angel, bravo!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #8 on: June 25, 2009, 12:42:43 AM »
Wah wah Angel ji and Khwaish ji,very very nice and beautiful creation. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley excellent.
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: June 25, 2009, 11:02:41 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Very beautiful indeed..har lafz main dard aur chahat ka ehsaas...bohot bohot achcha likha hai...par bohot dard se bhara.......Bohot Bohot Khoob Sweetie
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: June 25, 2009, 11:03:17 AM »
Khwaish, aapne bhi bohot achcha reply likha hai  icon_thumleft

Bohot khoob Dost !

 Applause Applause Applause
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #11 on: June 25, 2009, 11:08:18 AM »
Ye ek aise insaan ki kahani hai, jisne hamesha har mod par galtiyan ki, thokarein khane ke bawajood wohi ki wohi galtiyaan ki, phir bhi uske kareeb ek shakhs tha jo hamesha uske saath raha, har mod pe, har imtehaan ke samay uska haath thaame chalta raha... par jab us insaanko ye ehsaas hua ke zindagi ka sabse ahem hissa uske liye wo shakhs ban gaya hai tab tak bahut bahut der ho chuki thi...



Ek Din Chalte Chalte Mila Ajnabi Banke Yunhi Raahon Mein,
Bhatak Raha Tha Wo Bhi Tanha Sa Gumnaam Si Kuch Chaahon Mein,

Bhola Sa Tha, Jiski Palkein Shararat Se Uthti Thi Har Baar,
Thi Ek Masoomiyat Jhalakti Hui Uski Alhad Si Baaton Mein,

Dekhte Dekhte Ban Gaya Wo Kab Na Jaane Aadat Hamare Jeene Ki,
Dosti Hai Ya Kuch Aur Doob Jaate The Hum Inhi Sochon Mein,

Jab Rahu Udaas To Khoob Manata, Mujhe Kuch Is Tarah Samjhata Tha,
Kehta Tha Har Gam Chura Lunga Jo Hai Teri Aankhon Ki Namiyon Mein,

Kuch Kehti Thi Uski Nazrein Shayad Par Samajh Nai Pate The Hum,
Kya Kehna Tha Use Kyon Laata Tha Wo Khalish Iqraaron Mein,

Isike Darmiyaan Ghulte Milte Rahe Hum Matlabi Logon Se,
Jinhone Dhoka Deke Bas Chhoda Hamein Ashqon Ki Dhaaron Mein,

Tab Bhi Kehta Raha Wo Ke Gam Na Kar Is Bedard Duniya Ka,
Main Sath Hoon Tere Chaand Ki Chaadni Aur Suraj Ki Tapishon Mein,

Mere Har Dard Ko Sehla Kar Usne Apni Chahat Ka Marham Diya,
Dekh Nahi Paayi Meri Bojhal Aankhein Wo Dard Uski Aankhon Mein,

Deke Gulaab Keha Usne Ek Din "Tu Rahi Mere Liye Bas Is Jaisi,
Waada Raha Iske Kaante Saja Lunga Main Apni Qismaton Mein",

Kyon Ye Shakhs Raha Mere Qareeb Itna Kya Rishta Raha Usse,
Sama Gaya Kyon Wohi Chehra Mere Dilke Hare Ek Jawabon Mein,

Ek Din Dheere Se Kaha Usne Ke Ho Chala Hoon Main Ab Kisi Aur Ka,
Meri Amanat Thi Jo Teri Muskurahat, Na Sonpna Ise Matlabi Haathon Mein,

Ye Sunke Bas Jaise Sehem Sa Gaya Mere Wajood Ki Ye Qaayenaat,
Tab Pata Chala Kya Ehmiyat Hoti Hia Shabdon Ki Iqraaron Mein,

Lafz Bhi The Bezubaan Kaise Puchte Uske Jaane Ki Wajah Usse,
Mehsoos Hua Ke Kho Diya Ek Anmol Heera Pattharon Ki Bheedon Mein,

Ab Bhi Hai Ummeed Na Jaane Kyon Uski Khamosh Si Mohabbat Ki,
Meri Rooh Bhi Sona Chahe Bas Uske Paak Daaman Ki Panahon Mein,

Yaqeen Hai Us Khuda Pe, Likha Hia Wo Meri Qismaton Mein Zaroor,
Ye Sochke Dhundti Hun Ab Bhiuska Saath Apne Haathon Ki Laqeeron Mein,

Naseebon Ki Bewafaiyon Ki Khatir Agar Chal Na Sake Wo Mere Saath,
Dua Karte Hai Har Pal Ke Maut Aaye Bas Uski Mehfooz Baahon Mein,

Ya Khuda! Meri Kuch Achhaiyon Ka Sila Kuch Is Tarha Se Dena Mujhe,
Mujhe Qafan Odhaye Wo, Mere Qabr Ki Pehli Mitti Ho Uske Haathon Mein,

Diya Jo Phool Tha Us Waqt Usne, Sonp Dein Use Bas Itni Mohlat Dena,
Khuda Ya! Phir Chahe Har Ek Dard Likh Dena Mere Aakhri Azaabon Mein...

Kya kahe aapse Angel ji......kisi ka is tarah se hmari zindagi me aana aur ek pal me hame tanha chod kar chale jana...aur dil ka usi ki baaho me zindagi ki aankhiri saans ki ummid.....bahut pyara,bahut khubsurti se har lafj piroya h aapne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
                       icon_salut icon_salut
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: June 25, 2009, 11:18:26 AM »
Waaaaaahhh... Bahut bahut accha likha hai tumne sweetu... daastan lambi thi... magar dard bara tha.. God bless you my angel. Bahut umda likha hai tumne... Thumbs UP
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #13 on: June 25, 2009, 12:25:04 PM »
Huzena,Aapne Itna Acha Likha Hai Ke Bin kuch Likhe Yaha Se Jaana Namumkin Sa Ho Gaya Hai...Kuch Instant Sa Jawaab Dene Ki Koshish Kar Raha Hoon..Umeed Hai Aapko Aur sabko Yeh Pasand Aaye...

Zubaan Khamosh Bhi Ho To,
Nazrein Bahut Kuch Keh Sakti Hai..

Sirf Dard Mein Aankhein Nam Nahi Hoti Eh Dost!!!
Teri Khushi Ke Sadke Bhi,Aankhein Meri Beh Sakti Hai....


Sirf Dooriyon Mein Insaan Door Nahi Hota "Huzena"
Kabhi-Kabhi Bahut Nazdikiyan Bhi,Do Dilon Mein Dooriyan Ban Ke Reh Sakti Hai...

Dekhte-Dekhte Woh Ajnabi Kyon Apna Sa Ban Gaya "Khwaish"??
Uski Judai Yeh Dhadkane, Ab Nahi Seh Sakti hai....

Tumne Kabhi Suune Ki Koshish Hi Na Ki,
Khamoshiyan Bhi Bahut Kuch Keh Sakti Hai.....

bahut pyara jwab diya h aapne Khwaish ji.....
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
           kabhi-kabhi bahut nazdikiyan bhi dooriyan ban k reh skti h....

           Khamoshiyan bhi bahut khuch keh skti h........bahut khub kha aapne Khwaish ji.....
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #14 on: June 25, 2009, 02:47:08 PM »
Kya Kahun Angel Dear.. Lafz Nahi hain mere paas is Nazm ki Tareef ke liye.. Dil ko Chhoo jane Wale aur Dil tak utar jane wali Alfaaz likhe hain dear... Dard Ko Lafzon me Behad Khubsoorati se Piroya hai aapne.. daad Kubool Karen dost....!! Applause Applause


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:12:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer