Kami Is Hai.....Quateel

by Quateel Ahmad on April 08, 2012, 10:22:03 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1565 times)
Quateel Ahmad
Guest
Khamoshi hi lab par thami si hai,
Bistar par silvaton ki kami si hai,

Hairat mein hai aaj saara maikhana
hosh aur nashe mein thani si hai

Koi shajar dikhaayi nahin deta
Bas dhoop hi dhoop ghani si hai

Roya tha koi raat bhar kya yahaan
Phoolon ke chehron par nami si hai

Kya dhoondhte ho mere chehre par
Hansee hai bas haalat mein sanii si hai

Khamoshi se uski bewafai sehte hain
Ab wo soorat hum par bani si hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jo Zinda Ho........Quateel by Quateel Ahmad in Shairi - E - Zindagi
Jo tum humaare hote....Quateel by Quateel Ahmad in Shayri-E-Dard
Tum Aa Gaye....Quateel by Quateel Ahmad in Shayri-E-Dard
Aaj bhi hai.....Quateel by Quateel Ahmad in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Maujon ka rukna baki hai.....Quateel by Quateel Ahmad in Shairi - E - Zindagi
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: April 08, 2012, 10:44:24 AM »
Bahut Bahut Khoob Quateel Ji..

"Khamoshi Hi lab Par Thami Si Hai
 Bistar Par Silvaton Ki Kami Si Hai"

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: April 08, 2012, 11:12:36 AM »
Khamoshi hi lab par thami si hai,
Bistar par silvaton ki kami si hai,

Hairat mein hai aaj saara maikhana
hosh aur nashe mein thani si hai

Koi shajar dikhaayi nahin deta
Bas dhoop hi dhoop ghani si hai

Roya tha koi raat bhar kya yahaan
Phoolon ke chehron par nami si hai

Kya dhoondhte ho mere chehre par
Hansee hai bas haalat mein sanii si hai

Khamoshi se uski bewafai sehte hain
Ab wo soorat hum par bani si hai


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: April 08, 2012, 11:15:30 AM »
Ahmad Sahaab Aadaab!

Masha Allah janab bahut khoob aur behad achchi kalaam
kahi hai aapne... Usual Smile
Sabhi ashaar aik se badhkar aik rahe... Usual Smile

Humari dil daad o mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

likhte rahiye... aate rahiye...
shaad o aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #4 on: April 08, 2012, 11:35:23 AM »
Bahut shukriya Khwaishji, Qalbji aur Parwaazji!
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #5 on: April 08, 2012, 11:51:02 AM »
Khamoshi hi lab par thami si hai,
Bistar par silvaton ki kami si hai,

Hairat mein hai aaj saara maikhana
hosh aur nashe mein thani si hai

Koi shajar dikhaayi nahin deta
Bas dhoop hi dhoop ghani si hai

Roya tha koi raat bhar kya yahaan
Phoolon ke chehron par nami si hai

Kya dhoondhte ho mere chehre par
Hansee hai bas haalat mein sanii si hai

Khamoshi se uski bewafai sehte hain
Ab wo soorat hum par bani si hai
bahut umda khayalaat qateel ji bahut badhiyaan daad kabool karien
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #6 on: April 08, 2012, 11:55:36 AM »
Shukriya Pankajbhai!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: April 08, 2012, 04:39:01 PM »
bahut khoob qaateel bhaai dheron daad
Logged
sarfira
Guest
«Reply #8 on: April 08, 2012, 06:39:47 PM »
bht khoooooooob Qateel sahab Usual Smile
daad daad daad
!
kya dhoondte ho mere chehre par
hansee hai bas haalaat me sani si hai--
!
kamaal ka aashaar hai bhai
Logged
sbechain
Guest
«Reply #9 on: April 08, 2012, 08:12:13 PM »
Khamoshi hi lab par thami si hai,
Bistar par silvaton ki kami si hai,
matla samjh nahin aaya mujhe Embarrased Embarrased
Hairat mein hai aaj saara maikhana
hosh aur nashe mein thani si hai
zahid aur rind ki ladaai aakhir ho hi gayi Applause Applause Applause Applause
Koi shajar dikhaayi nahin deta
Bas dhoop hi dhoop ghani si hai
jungle kaato per ek naya darakht to lagaane ki peshkash rakho. govt ab kita kare gi. ye hamaara bhi farz hai warna dhoop hi dhoop . garmi hi garmi ALLAHkhair kare Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Roya tha koi raat bhar kya yahaan
Phoolon ke chehron par nami si hai
wah wah wah Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Kya dhoondhte ho mere chehre par
Hansee hai bas haalat mein sanii si hai
iss muskurahat ke peeche chupaa hua dard nazar aa rahaa hai crybaby2 crybaby2 crybaby2 Applause Applause Applause Applause Applause
Khamoshi se uski bewafai sehte hain
Ab wo soorat hum par bani si hai
 kisi ke pyaar mein khud ko kyon mitaana kahaan ki aqalmandi hai ji

nice...!
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #10 on: April 09, 2012, 03:22:58 PM »
Bahut shukriya...Saini bhai, Sardiraji, aur Shebaji.
Logged
soudagar
Guest
«Reply #11 on: April 09, 2012, 03:37:16 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #12 on: April 10, 2012, 05:53:40 AM »
Shukriya Soudagarji!
Logged
dolly
Guest
«Reply #13 on: April 10, 2012, 02:04:10 PM »
wah wah...bahut hi badiyaa...daad...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: April 10, 2012, 03:20:02 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause badi khoobsurat peshkash hai Quateel ji... bahut bahut khoob likha hai aapne....!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:33:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer