- Kanch Ki Duniya -

by Meena on July 13, 2005, 05:21:20 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3334 times)
Meena
Guest
Some feelings.....

Kanch ki hoti hai sapno ki duniya, jo pal bar me toot jati hai,
Jab kadam rakh hi liya is raha me aab, to aab gabrane se kya?

Koshish agar karoge, sheeshe me haqiqat ke rang dhalne ki,
Toot kar chubne lagega ankhon me sapna, phir ashk bahane se kya?

Dil pe jo chot lagegi to koon-e-arman bahega,
Bhar na sakhe jo zakhm unpe marham lagane se kya?

Phenk de in tukdon ko “Meena”, jo bikre hai tere daman me aab,
Toote kanch ki is dhul ko aab seene se lagane se kye?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kanch ki deewar hu by taheer_khaja in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tute kanch ki tarah by injured.warrior in Shayeri for Dard -e- Bewafai
kanch ka tohfa.. by roushan in Shayri for Dard -e- Judai
Log Bhi Kanch Ke Hain, Rah Bhi Pathrili Hai by suman59 in Urdu Poets « 1 2  All »
ager kanch par chalna pade to chal jayenge, by jeet jainam in Shayri for Khumar -e- Ishq
jeetufor_u
Guest
«Reply #1 on: July 13, 2005, 05:28:14 PM »
wah meena ji kya baat hai

Kuch phool hum pe gire kuch phool unpe gire!
fark sirf intana tha ki woh duniya basa rahe thae,
aur hum duniya se ja rahe thae!!!!!!
Logged
jeetufor_u
Guest
«Reply #2 on: July 13, 2005, 05:28:46 PM »
wah meena ji kya baat hai

Chup chaap akele bethe rahe tanhai me, andheron me...
Yaadon ko ankhon me chupaaye saari duniya se bachaaye,
Woh khushiyon ke pal, woh bechaini,
Woh teri aankhon me khil-khilaati roshni
woh pyaar bhare salaam, woh meethi duaein
ek adhuri mulakaat aur zindagi bhar saath nibhaane wali yaadein...
Sirf Yaadein...
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: July 13, 2005, 05:32:58 PM »
shukriya jeetu ji........................................
Logged
jeetufor_u
Guest
«Reply #4 on: July 13, 2005, 05:35:01 PM »
ur welcome

SPACE
Space seems like an empty word, but it’s full of
pecial,

eople,
round,
aring,
ndlessly.
Thank u 4 being a part of my S.P.A.C.E.
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: July 13, 2005, 06:24:43 PM »
gud............................!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: July 13, 2005, 06:48:57 PM »
Quote from: "Meena"
Some feelings.....

Kanch ki hoti hai sapno ki duniya, jo pal bar me toot jati hai,
Jab kadam rakh hi liya is raha me aab, to aab gabrane se kya?

Koshish agar karoge, sheeshe me haqiqat ke rang dhalne ki,
Toot kar chubne lagega ankhon me sapna, phir ashk bahane se kya?

Dil pe jo chot lagegi to koon-e-arman bahega,
Bhar na sakhe jo zakhm unpe marham lagane se kya?

Phenk de in tukdon ko “Meena”, jo bikre hai tere daman me aab,
Toote kanch ki is dhul ko aab seene se lagane se kye?

Kya baat hai Meena aapki....Bohat khoob....
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #7 on: July 13, 2005, 06:54:50 PM »
"Phenk de in tukdon ko “Meena”, jo bikre hai tere daman me aab, Toote kanch ki is dhul ko aab seene se lagane se kye"...kya lines hai meena ji.....VERY NICE......aap bhi kam nahi jeetu ji......good good!!!!!!!1
Logged
Tosha
Guest
«Reply #8 on: July 13, 2005, 07:20:41 PM »
bahut khoob likha hai meena aap ne...!!!
...
just as good as ever...!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #9 on: July 14, 2005, 03:18:32 PM »
aryaan ji..ishu....toshu.... bohot bohot shukriya meri poems pasand karne ka!

 :D
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #10 on: July 14, 2005, 03:24:12 PM »
nice one meenu sis.......................gr88888888888.......... .....................!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #11 on: July 14, 2005, 03:33:12 PM »
thank u salma sis...................................... sad5
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: July 15, 2005, 01:54:28 PM »
Quote from: "Meena"
Some feelings.....

Kanch ki hoti hai sapno ki duniya, jo pal bar me toot jati hai,
Jab kadam rakh hi liya is raha me aab, to aab gabrane se kya?

Koshish agar karoge, sheeshe me haqiqat ke rang dhalne ki,
Toot kar chubne lagega ankhon me sapna, phir ashk bahane se kya?

Dil pe jo chot lagegi to koon-e-arman bahega,
Bhar na sakhe jo zakhm unpe marham lagane se kya?

Phenk de in tukdon ko “Meena”, jo bikre hai tere daman me aab,
Toote kanch ki is dhul ko aab seene se lagane se kye?


waah waah .. bhoot khoob likha hai Meena ji !!!

Dil pe jo chot lagegi to koon-e-arman bahega,
Bhar na sakhe jo zakhm unpe marham lagane se kya


waseey to sari ki sari gazal bahut achi hai lein,yeh do lines humey bhoot achi lagi !!!

duniya ka dastoor hai asisa, karta hai jo pyaar zakhm khata hai
log chaltey hai hathoon mein namak leke, zakhmi dil dhikane se kya ?

kuch arz hai Meena ji , mulaiza farmaiye !!!


dabi hui hai jo mere dil mai woh baat baki hai
keh na saka jo kabhi tum se woh baat baki hai

keh liya sun liya tamam umar bahut kuch hamne
zikar jiska kitaabon mai hua ho woh baat baki hai

ja chuke hain is anjuman se uth kar kab ke sabhi
na chiraaghon ko bujhao tum abhi ki raat baki hai

*waabasta the jo meri barbadiyon ko anjaam dene mai
aisi hazaaron aandhiyon se mera hisaab baki hai

na uthaana naqaab mere rukhsaar se tum zaraa abhi
`HumTum`ki ankhon mai abhi ashq-o-ghubaar baki hai

waabasta = kasoorwar !!

:D

Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #13 on: July 15, 2005, 04:47:28 PM »
Quote from: "Meena"
Some feelings.....

Kanch ki hoti hai sapno ki duniya, jo pal bar me toot jati hai,
Jab kadam rakh hi liya is raha me aab, to aab gabrane se kya?

Koshish agar karoge, sheeshe me haqiqat ke rang dhalne ki,
Toot kar chubne lagega ankhon me sapna, phir ashk bahane se kya?

Dil pe jo chot lagegi to koon-e-arman bahega,
Bhar na sakhe jo zakhm unpe marham lagane se kya?

Phenk de in tukdon ko “Meena”, jo bikre hai tere daman me aab,
Toote kanch ki is dhul ko aab seene se lagane se kye?


wah meena,bohat dard bhara,bohat khoob likha hai.
Logged
Meena
Guest
«Reply #14 on: July 15, 2005, 04:59:46 PM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Meena"

waah waah .. bhoot khoob likha hai Meena ji !!!

Dil pe jo chot lagegi to koon-e-arman bahega,
Bhar na sakhe jo zakhm unpe marham lagane se kya


waseey to sari ki sari gazal bahut achi hai lein,yeh do lines humey bhoot achi lagi !!!

duniya ka dastoor hai asisa, karta hai jo pyaar zakhm khata hai
log chaltey hai hathoon mein namak leke, zakhmi dil dhikane se kya ?

kuch arz hai Meena ji , mulaiza farmaiye !!!


dabi hui hai jo mere dil mai woh baat baki hai
keh na saka jo kabhi tum se woh baat baki hai

keh liya sun liya tamam umar bahut kuch hamne
zikar jiska kitaabon mai hua ho woh baat baki hai

ja chuke hain is anjuman se uth kar kab ke sabhi
na chiraaghon ko bujhao tum abhi ki raat baki hai

*waabasta the jo meri barbadiyon ko anjaam dene mai
aisi hazaaron aandhiyon se mera hisaab baki hai

na uthaana naqaab mere rukhsaar se tum zaraa abhi
`HumTum`ki ankhon mai abhi ashq-o-ghubaar baki hai

waabasta = kasoorwar !!

:D



shukriya ji shukriya!!!

mere shayari pe wah wah karne wale zara rukho tum,
hal-e-dil bayan karne ke liye likhni abhi kitab baki hai!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:34:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer