Karbala {The Battle Of Humanity}

by Jaanasheen on January 20, 2008, 11:08:53 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3156 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
As Salaam Walaikum Doston,.
Hai Ye Shahadat Ka Din,.
Jahan Hussain {RA} Aur Unke Saathiyon Ko Shaheed Hona Padaa,.
Aur Ye Islaam Ki Bahoot Badi Qurbaani Me Se Ek Hai,.
Allah Hume Sab Maaf Kare Aur Neak Banaaye,.
Ameen,.

Doston Mere Karbala Ki Wo Kahaani Na Bhoolo,.
Naujawaan-e-Islaam Ki Wo Mardaani Na Bhoolo,.

Lehraaya Jhanda Islaam Ka Mohammed {SWAS} Ke Ladlo Ne,.
Bhoole Se Bhi, Kabhi Na In Shahedon Ki Khurbaani Bhoolo,.

Pyaase The, Ghayal The Teeron Se,Phir Bhi Hausla Buland Tha,.
Hazaaron Ke Beech Akele Ne Jo Fateh Paayi Takhat Wo Imaani Na Bhoolo,.

_____________________________________________-Azeem-

Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: January 20, 2008, 02:06:10 PM »
Bohot khoob Azeem...Shahadat-e-Hussain pe aapne bohot dil chu jane wali poetry likhi hai..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: January 20, 2008, 02:11:12 PM »
Shukriya Talat Ji,.
Waise Inki Khurbaaniyon Ke Baare Me Jitna Likhaa Jaaye Kam hai,.


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 20, 2008, 02:18:17 PM »
Syed Ne Karbala Mein, Waade Nibhaa Diye Hain,.
Deene Mohammadi Ke Gulshan Khilaa Diye Hain,.

Bole Hussain Maula, Teri Razaa Ki Khateer,.
Ek Ek Karke Maine Heere Lootaa Diye Hain,.

Deen-e-Nabi Pe Waari, Akbar Ne Bhi Jawaani,.
Abbas Ne Bhi Apne Baazu Kataa Diye Hain,.

Zainab Ke Baagh Me Bhi, Do Phool The Mehakte,.
Zainab Ne Wo Bhi Dono Raahe Khudaa Diye Hain,.

Zahra Ke Naaz Faale, Phoolon Pe Sone Waale,.
Karbal Ki Khaak Me Wo Heere Rulaa Diye Hain,.

Bakhshish Hai Uski Laazim, Syed Ke Gham Me "Haafiz,.
Do Chaar Aansoon Rokar Jisne Bahaa Diye Hain,.

_________________________________-Haafiz-
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: January 21, 2008, 10:03:40 AM »
Azeem,

I am moving this back to Dard on your special request !

Talat
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 25, 2008, 10:07:57 AM »
Shukriya Request Accept Karne Ke liye,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: January 25, 2008, 10:15:11 AM »
Laaj Bajaai Islaam Ki Sar Apna Kataa Kar,.
Pyase Shaheed Hue Karbala Me, Pyass Sab Ki Bujhaa Kar,.

Khurbaani Kis Ko Kehte Hain Batlaa Gaye Sab,.
Maidaan-e-Karbaal Me Sab Kuch Lootaa Kar,.

Bhoole Se Bhi Nahi Bhulaai Jaayegi Daastaan-e-Karbala,.
Jahaan Shaheed Hue Bachche Bhi Maut Ko Gale Lagaa Kar,.

________________________________________-Azeem-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: May 22, 2008, 10:00:30 PM »
wah wah wah.. bahoot khoob lil bro..
ho sake to is dastaan ko jahan main pard saku wo link dena!!!

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: May 29, 2008, 12:09:30 PM »
Aap Agar is Link Par Jaayenge To Aap Ko Karbala Ke Wafakiye Ka Pata Chalega,.
www.islamicinformationcentre.co.uk/karbala.htm
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: November 30, 2011, 04:13:24 AM »
Ye Baat Sikhaai Hai, Hussain Ibn-e-Ali Ne,.

Jab Sajdon Mein Ho, To Teeron Ko Dekha Nahi Karte,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:04:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer