ParwaaZ
Guest
|
Dil jalta hai magar rota nahi huN AshkoN se gham apne dhota nahi huN
Tujhe naaz hai tune thukra diyaa Mujhe naaz hai maiN khota nahi huN
Karta huN tijarat e yaad jaise Jaagta rahta huN sota nahi huN
FasleN yaadoN ki fir se khadi na ho Khawaab naye ab maiN bota nahi huN
Teri yaadoN meiN hota huN jab jab maiN Hota huN aksar maiN hota nahi huN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
yasmeen khan
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 12, 2010, 05:33:56 PM » |
|
dher sari daad kabool kijia parwaz sb
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Anshumali
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 13, 2010, 02:44:56 PM » |
|
Sameer Ji ... Aadaab ! aapki Ghazal ke sabhi ashaar bahut khoob lage mujhe ... khaaskar matalaa aur maqtaa meri pehli pasand bane ... Dil jalta hai magar rota nahi huN AshkoN se gham apne dhota nahi huN
Teri yaadoN meiN hota huN jab jab maiN Hota huN aksar maiN hota nahi huN Very Impressive ........ tahe dil se daad hazir hai ... qubuul farmaayeN...
aise hi umdaa ehsaason ke saath aate rahen aage bhi ... khush rahen ...
duaaon ke saath ....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 115
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:101 days, 3 hours and 51 minutes.
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.
Posts: 16243 Member Since: Feb 2010
|
|
«Reply #5 on: October 14, 2010, 10:59:57 AM » |
|
Kasak ji aapne bhi bahut pyaara jawaab diya hai....!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Yaash
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 14, 2010, 05:43:24 PM » |
|
Kam Lafzon Mein Badi Bata Kaise Kahi Jati Hai Yeh Koi Aapse Sikha Parwaaz Ji.Behad Khoobsurat Andaaz Mein Aapne Ehsaasaat Ko Lafzon Mein Bandha Hai Waqai Mein Padke Bohat Hi Maza Aaya...
Shaad o Aabad Rahen.
Yaash.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 17, 2010, 12:49:36 PM » |
|
dher sari daad kabool kijia parwaz sb
Yasmeen Sahibaa Aadaab!
Kalaam ko pasand karne aur hounsla afzai ka tahe dil se shukriaa....
Aage bhi apna saath banaye rakhiye.... Khush O aabaad rahiye...... Khuda Hafez.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 17, 2010, 01:17:33 PM » |
|
Kam Lafzon Mein Badi Bata Kaise Kahi Jati Hai Yeh Koi Aapse Sikha Parwaaz Ji.Behad Khoobsurat Andaaz Mein Aapne Ehsaasaat Ko Lafzon Mein Bandha Hai Waqai Mein Padke Bohat Hi Maza Aaya...
Shaad o Aabad Rahen.
Yaash.
Janab Yaash Sahab Aadaab
Yeh kam lafz to nahi thi janab koshish kareNge aur bhi kam lafz meiN behtar kahne ki ... par aapko pasand aye iske liye tahe dil se shukr guzaar hai.. Ummid hai aage bhi aap apna waqt aur saath deNge... Aate rahiye...... Khush O aabaad rahiye...... Khuda Hafez......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|