Karta huN tijarat " ParwaaZ"

by ParwaaZ on October 12, 2010, 04:40:18 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2193 times)
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #15 on: October 18, 2010, 08:34:02 AM »

Tujhe naaz hai tune thukra diyaa
Mujhe naaz hai maiN khota nahi huN

Teri yaadoN meiN hota huN jab jab maiN
Hota huN aksar maiN hota nahi huN 


parwaaz sahab namskaar..

ye do sher bade izzatdaar gharane ke maloom huye hame..khud par naaz ho to eisa ho....

akhiri sher me haay keher dah diya janab..hota hun magar hota nahi hun...kya baat hai..bahut khoob...

kuchh arz karna chahuga gustaakhi maaf~

tere aane se pehle har pal har saans par khushi hoti thi,
or hazar tukde hokar bhi hasta he kambakhta aaj bhi tere aane se~


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aansu......... " ParwaaZ" by ParwaaZ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Tumhe mere naam se "ParwaaZ" nafrat thi by ParwaaZ in Shayri-E-Dard
Kuch tukde dil ke dil ko hi zakhami " ParwaaZ" by ParwaaZ in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Aaj kal ka yeH dour hai...... " ParwaaZ" by ParwaaZ in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Bewaafa toH "ParwaaZ" tere hi sanam nilkle by ParwaaZ in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
ParwaaZ
Guest
«Reply #16 on: October 24, 2010, 05:32:09 PM »
Janaab Parwaaz Sahab Aadab
Umeed Karta Hun Aap Khairiyat Se Hone
Aur Derri Se Parhne Ke Liye Mafi Chahta Hun
Aur Janaab Kya Kahun Tareef Mein Samajh Nahi Aa Raha
Aapka Andaaz o Bayaan To Hota Hi Lajaawb Hain
Aagaz Se Anjaam Tak Behatreen Ashaar Rahe
Ek Bahut Hi Khoobsurat Aur Muqammal Peshkash
Bahut Mubaarq Ho Janaab...Hazaron Dad...

Khush Rahiye...

~Shihab~


Janab Shihab Sahab Aadaab!

Alhamdullilah Janab hum khairiyat se hai..
Aur ummid aap bhi hoNge... Usual Smile

Jee janab tareef ke liye aapke kadam hi yahaaN
pade yehi kafi hai.. Usual Smile Lafzi tareef se jyada
behtar hoti hai dil ki mutmaini jo kuch aik lafz
bhi kar jate hai....

kalaam ko pasand karne ke liye behad hum dil se
mashkoor o mamnoon hai..

Aage bhi apna saath banaye rakhiye...
Khush O aabad rahiye..
Khuda Hafez.... Usual Smile         

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #17 on: October 24, 2010, 05:38:40 PM »
parwaaz sahab namskaar..

ye do sher bade izzatdaar gharane ke maloom huye hame..khud par naaz ho to eisa ho....

akhiri sher me haay keher dah diya janab..hota hun magar hota nahi hun...kya baat hai..bahut khoob...

kuchh arz karna chahuga gustaakhi maaf~

tere aane se pehle har pal har saans par khushi hoti thi,
or hazar tukde hokar bhi hasta he kambakhta aaj bhi tere aane se~




Abhi jee Aadaab!

Aapke is dilkash andaaz ne to dil jeet liya janab..
AshaaroN ki Pasandeedgi ko zahir karne ke aapke
is andaaz ka bahut bahut shukriyaa janab.. Usual Smile

Aage bhi apna saath banaye rakhiye...
Khush O aabad rahiye....
Khuda hafez...... Usual Smile         

Logged
apriya
Guest
«Reply #18 on: December 13, 2010, 04:43:52 PM »
sahi mayno me aapne bahut khub likha hai aapne....shayad ye kavita aapne mere liye likhi hai......
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #19 on: December 13, 2010, 06:10:03 PM »
Bahut umda Shihab Ji
Logged
HumTum
Guest
«Reply #20 on: January 14, 2011, 01:43:10 PM »
Aadaab! Parwaaz Saahib... bai waah ... kya khoob kha hai ... dil ke armaan hai .... mushkil mein jaan hai ...jise dundti ahi nazarien.... woh qatil kha hai. ji YaqeenaN ussi ki yadooN ka shara hai ke jiye ja rhe hai .. waGrna .. baaqi kucch nai hai iss butkhaane mein ... khayaal acche lage .. daad hazir hai .. aate rhiye .. aur yun hi likhte rhiye....

Shayaad TufaanooN Ko hai RanjishieN Mujse
Mein Jaan Kar KhastiyaN Dubota NahiN HooN !!

Aadaab!


HT

Logged
sbechain
Guest
«Reply #21 on: January 14, 2011, 04:14:24 PM »
Dil jalta hai magar rota nahi huN
AshkoN se gham apne dhota nahi huN

Tujhe naaz hai tune thukra diyaa
Mujhe naaz hai maiN khota nahi huN

Karta huN tijarat e yaad jaise
Jaagta rahta huN sota nahi huN

FasleN yaadoN ki fir se khadi na ho
Khawaab naye ab maiN bota nahi huN

Teri yaadoN meiN hota huN jab jab maiN
Hota huN aksar maiN hota nahi huN 






acha hai par makta miss kar gaya hai parwaaz sahab phir se aakhiri line sajaa len
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #22 on: January 14, 2011, 05:55:20 PM »
Apriye Jee aadaab!

Takheer se jawaab ke liye mazarrat chahte hai..
Aapki hounsla afzai ka behad shukriyaa janab...

Har ishq ki yehi dastaaN hai
Bolne wala hi yaha bezubaaN hai           


Aage bhi apna saath banae rakhiye....
Khush O aabaad rahiye....
Khuda Hafez.... Usual Smile         




sahi mayno me aapne bahut khub likha hai aapne....shayad ye kavita aapne mere liye likhi hai......
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #23 on: January 14, 2011, 06:02:45 PM »
Bahut umda Shihab Ji

Rajesh Jee Aadaaab!

Shayad aapne naam likhane meiN galti kar di Usual Smile...

Aapka bhi bahut bahut shukriyaa kalaam par aane aur
sarahne ka...

Aate rahiye...
Khush o aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile         

Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:16:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer