KASH****

by Pooja on May 11, 2006, 05:57:13 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2501 times)
Pooja
Guest
Pa hi jaate kinara, jo uljhaya na hota
Humko aor khud ko, tadpaya na hota

Milla kaya tuje yah tu aor tera rub hi jaane
Insaan ki hasti ko najro se giraya na hota

Karu kis per bharosa, tere jaane ke baad
Kash mujko kabhi, tujh per payaar ayya na hota!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
A kash by FArah in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kash-m-kash by Pooja in Miscellaneous Shayri
Kash ! by sunilastin in Shayri for Khumar -e- Ishq
kash-ma-kash by sjid hadayat in Ghazals
KASH HO JAYEGA KASH by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: May 11, 2006, 06:15:50 PM »
haila  meri  sis .........aaj kal  bahot   sad sad  likhti  hai.........   nice sis......  mujhe  bhool  hi  gayee.. :sad:

mat kaho  kuch, dard  waise  hi  bahot hai
har  shaks ko dekho  tanha bhi bahot hai
tum  aao   kabhi dekho  mere  aangan mein  
tere bina yeh shaks  akela bhi  bahot  hai ....
Logged
manu1979
Guest
«Reply #2 on: May 11, 2006, 07:06:27 PM »
Quote from: "Pooja"
]

Pa hi jaate kinara, jo uljhaya na hota
Humko aor khud ko, tadpaya na hota

Milla kaya tuje yah tu aor tera rub hi jaane
Insaan ki hasti ko najro se giraya na hota

Karu kis per bharosa, tere jaane ke baad
Kash mujko kabhi, tujh per payaar ayya na hota!!!


hey pooja ji aap to yar kamal hi kar deti hai,aur aage

Tere aane ki aahat se, karvat badalate rahe
hamne raat raat bhar khud ko jagaaya na hota

Bepanaah mahobbat tumse ,harsu teri hi surat
Na dekhye tumhe to ye aksh apna paraaya na hota

regards
manu
take care
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: May 11, 2006, 07:15:27 PM »
dard ka na ho ahsaas tuko kabhi
per tera dil,
rub ne pathar ka banaya na hota
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: June 15, 2006, 07:29:00 PM »
Badya tha jo tune hath, kash wo na badaya hota
Tham liya kayun maine, khud se dhoka na khaya hota

Gumo ka dorr pahle hi bahoot tha bhari
Kash tujko itna to samjh mai ayya hota

Fidrat teri mai wafa kabhi najar na aai
Kash meri wafa se khud ko kuch to sikhaya hota

Badya tha jo tune hath, kash wo na badaya hota
Tham liya kayun maine, khud se dhoka na khaya hota
Logged
imsujal
Guest
«Reply #5 on: June 15, 2006, 07:57:40 PM »
Nice shayari by all of u...........................

Aey kaash tu meri zindagi mein aya na hota
Na yeh dil khote aur apna chain ganvaya na hota
Zindagi ki raah mein dhoodte they ek rakeeb
Kaash k tujhko mehboob banaya na hota
Socha tha k ek din kehdenge tujhse
Jo tune rukh humko aisa dikhaya na hota
Dard ka kiya hai woh to sub ko milte hein
Naseeb hi tha hamara  warna aaj yahan mein aya na hota
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: June 15, 2006, 08:05:30 PM »
Wahkay abaat hai bahoot khoob likha apne imsujal!!!

Mana milta hai dukh her kisi ko
Naam tera hi dukh sung ayya na hota
Milta jo sath tera mujko
Is kadar zindagi se ghabraya na hota
Diya hai jo dukh to yah bhi bata do
Kaya hua tha, jo hua na hota
Galat hua ya hua wo sahi
Anjaam-e-judai is tarah ayya na hota!!!!
Logged
imsujal
Guest
«Reply #7 on: June 15, 2006, 08:17:31 PM »
bohot khoob pooja......yahan to sub bohot hi khoob likhte hein mein to abhi likhne ki koshish kerta hoon.

Shikwa rahega khuda se ek
Jo naseeb mein na tha us se milaya na hota

Kaash k woh meri zindagi mein aya na hota
Juda kerna hi tha jub Khuda fir milaya na hota
Chala gaya hai bohot door ab woh
To fir uski yaad ko yahan laya na hota
Kaash k woh meri zindagi mein aya na hota
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: June 15, 2006, 08:27:15 PM »
Shukariya Imsujal, here is one more try....

Ayya hai jo zindagi mai ek din chala jayega
Kisi aor se kaya shikwa, khud Tu bhi yahi kar jayega
Badlega jab jab yah jeevan ka cholla
Her apne ko tanha kar jayega
Ayya hai jo zindagi mai ek din chala jayega
Kisi aor se kaya shikwa, khud Tu bhi yahi kar jayega
Logged
imsujal
Guest
«Reply #9 on: June 15, 2006, 08:48:34 PM »
bohot achi try..........here is some more

Kiya kahein ab kisi se.............
Kise haal-e-dil bayan karein....
Hum bhi kehlaate zinda wajood
Jo woh zindagi se gaya na hota
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: June 15, 2006, 09:10:39 PM »
Ja chuka hai jo kayun usko ab hai bulata
Waha jakar na dekha koi bhi bhi lout kar atta
Mitana khud ko uske liye, khud per zulam hai
Jiska nahi koi ab vajood dunia mai,
usse dhondana phir kayun tera muqadar hai
Logged
imsujal
Guest
«Reply #11 on: June 15, 2006, 09:41:55 PM »
Piyar apna pehla bhulaya nahi jaata

Piyar apna pehla bhulaya nahi jaata
Sabr aisa hai k ab aya nahi jaata
Jaan se bhi badh ker tha jo
Bhula use aey Khudaya nahi jaata
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #12 on: June 16, 2006, 04:25:31 AM »
nice lines
Logged
Blue_angel
Guest
«Reply #13 on: June 16, 2006, 09:05:08 AM »
Quote from: "imsujal"
Piyar apna pehla bhulaya nahi jaata

Piyar apna pehla bhulaya nahi jaata
Sabr aisa hai k ab aya nahi jaata
Jaan se bhi badh ker tha jo
Bhula use aey Khudaya nahi jaata[/q]

bhula na saken ge hum unko
kaise tor saken ge hum unke aetbaar ko
chate han hum unhe dil-o-jan se bhi zaida
lekin tarpaya bhi bohat hai unho ne humko...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: June 16, 2006, 02:22:00 PM »
kar ke payaar bhulaya nahi jaata
bewafa ko kayun yah bataya nahi jaata
mil kar de gaya jo umarbhar ki judai
kis liye, usko bhulaya nahi jaata
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:05:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer