KASH

by rajrishi on August 20, 2007, 09:59:46 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2040 times)
rajrishi
Guest
AE KASH KE TU BHI MERE KARIB HOTA,
 NA HOTA GILA KISI SE AISA NASIB HOTA.

 SAB KUCH MILA JAHAN SE PAR PYAR JUTA NA PAYA,
 IS SE TO ACHA THA KE MAIN BHI GARIB HOTA.

 JIS JIS PE KIYA EITBAR DE GAYE DAGA WOH YAAR,
 NA HOTA KOI YAAR MERA PAR KOI ACHA RAKIB HOTA.

 MILTA AGAR JAHAN MEIN TO PUCH LETA MAIN KHUDA SE,
 HAR SHAKSH JAHAN MEIN TERE KYON ITNA AJEEB HOTA.
 
 KISMAT KE IS KHEL MEIN 'RAJ' HARA HAR BAAR TU,
 KYON NAHIN TU ACHA ITNA KE KISI KO AJEEJ HOTA.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ay kash by muneeb in Shayri-E-Dard
Kash by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
kash by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 8 9 »
KASH**** by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
KASH!!!!!! by Munahil Ali in Shayri for Dard -e- Judai
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: August 21, 2007, 09:57:00 AM »
Bahut achha likha hai Raj aapne... =D>

Aapke yeh do sher bahut hi pasand aaye...

Quote

 SAB KUCH MILA JAHAN SE PAR PYAR JUTA NA PAYA,
 IS SE TO ACHA THA KE MAIN BHI GARIB HOTA.

 MILTA AGAR JAHAN MEIN TO PUCH LETA MAIN KHUDA SE,
 HAR SHAKSH JAHAN MEIN TERE KYON ITNA AJEEB HOTA.


Likhte Rahiyega... Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: August 21, 2007, 12:17:42 PM »
Wah wah... bahoot khoob raj  ji
behad khoburati se dard e dil ki dasta ko bayan kiya hai bahoot khoob

keep writing

Divya
Logged
rajrishi
Guest
«Reply #3 on: August 22, 2007, 02:09:21 PM »
Thanks deepika ji and shikha ji,

        is nacheej ka prayas aapko pasand aaya. iske liye shukriya.
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #4 on: August 23, 2007, 02:48:10 AM »
kash meri zindgi ka tu hi nasib hota ...
hota mere pass sab kuch chahe fir mai garib hota ....

teri milkiyat me reh kar mai ye ikkrar karta hu...
tere sath mai na sahi magar tujhi se mai pyar karta hu...
tu hai juda to bhi gum hai nahi mujhko ....
tu hai meri dharkan ..tujhe mai dil k paas rakhta hu.....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: August 23, 2007, 09:46:17 AM »
Bahoot Khoob Likha hai Rajrishi Ji Aur Tushaar Ji,..
Yunhi Likhte rahiyo,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 23, 2007, 09:49:29 AM »
Kaash Ke Is Duniya Mein Kaash Na Hota,..
To Zindagi Mein Kisi Ki Kashmakash Na Hoti,..
Meharbaan Hoti Zindagi Har Ek Pe,..
Na Yun Ye Aahein Bharti Aur Na Roti,..

__________________________-Jaanasheen-
____________-Azeem--_______________
Logged
rajrishi
Guest
«Reply #7 on: August 23, 2007, 01:19:27 PM »
Bahut khoob tushar ji aur jansheen, kya khoobsurat andaj hai aapka.
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: August 23, 2007, 01:32:16 PM »
Very Nice ones... Tushar and Azeem...
Logged
sanya310
Guest
«Reply #9 on: August 23, 2007, 05:10:51 PM »
boht ache rajrishi..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: August 23, 2007, 06:29:09 PM »
Quote from: "rajrishi"
AE KASH KE TU BHI MERE KARIB HOTA,
 NA HOTA GILA KISI SE AISA NASIB HOTA.

 SAB KUCH MILA JAHAN SE PAR PYAR JUTA NA PAYA,
 IS SE TO ACHA THA KE MAIN BHI GARIB HOTA.

 JIS JIS PE KIYA EITBAR DE GAYE DAGA WOH YAAR,
 NA HOTA KOI YAAR MERA PAR KOI ACHA RAKIB HOTA.

 MILTA AGAR JAHAN MEIN TO PUCH LETA MAIN KHUDA SE,
 HAR SHAKSH JAHAN MEIN TERE KYON ITNA AJEEB HOTA.
 
 KISMAT KE IS KHEL MEIN 'RAJ' HARA HAR BAAR TU,
 KYON NAHIN TU ACHA ITNA KE KISI KO AJEEJ HOTA.


BAHOOT KHOOB RAJRISHI

KAASH ZINDAGI MEIN HAR CHEEZ
MAANGNE PE MIL JAATI
TO KOI GHUM NA HOTA
DOOR HO JAATI SAB KI MUSHKILE
AANKHON MEIN NAMI KA MAUSAM NA HOTA
HAAR AUR JEET TO ZINDAGI KE
 DO PEHLU HAI "KHWAISH"
EK HAAR SE KOI GAREEB AUR
EK JEET SE KOI SIKANDER NAHI HOTA
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: August 23, 2007, 06:41:52 PM »
good one Rajrishi, Tushar and Jaanasheen!!
Logged
rajrishi
Guest
«Reply #12 on: August 24, 2007, 10:10:09 AM »
Thanks Pooja ji, Khwaish, sanya. aur khwaish ji apne acha likha hai bahut umda. thanks to all for read me and reply.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: August 24, 2007, 01:33:07 PM »
Shukriya Shikha Sis Rajshri Ji Aur Pooja Sis,..
And Nice One Khwaish Ji,,.
Yunhi Likhte Rahiye,..
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: August 27, 2007, 05:24:08 PM »
Rajrishi, Tushar, Azeem and Khwaish...bohot khoob =D>
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:16:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer