Kasti ke musafir ne

by waheed_rose2004 on July 23, 2004, 06:15:07 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Author  (Read 8390 times)
waheed_rose2004
Guest
Ankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha,
Kashti ke musafir ne samandar nahin dekha.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
shikasta kasti... by dev_omu in Shayri-E-Dard
kagaj ki kasti se dariya paar nhi hota by amarhellboy in Shairi - E - Zindagi
kagaj ki kasti by RAVINDRA99 in Shayri-E-Dard
---Doobta hua ik kasti hai--- by killbill in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kasti nahi hai.... mkv by mkv in Shayri for Khumar -e- Ishq
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: July 23, 2004, 06:42:11 AM »
Ankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha,
Kashti ke musafir ne samandar nahin dekha.
Patthar mujhe kehta hai mera chahane waala,
Mai moam hoon usne mujhe chookar nahin dekha.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: July 23, 2004, 11:16:10 PM »
Samne hi raha khara wo, kabhi mujse puch kar to dekhta,
Raha kinare per wo, kabhi mere sath samunder mai doob kar to dekhta,
Muje Pathar kah gaya wo jaane wala,
Mai bhi Insaan hu, kabhi muje chu kar dekhta.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: July 24, 2004, 05:29:26 AM »
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: July 25, 2004, 06:34:46 AM »
muhabat, muje ansoo ka matlab batla gai,
is Jindagi ka sabak sikhala gai,
Usne pucha humse, payar mai kaya paya humne
usee kaya pata , un do palo mai, hum apna khuda pa gai.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: July 25, 2004, 04:26:05 PM »
Saaze dil jab shabe furkat main sada deta hai,
Koi Awaaz main Aawaaz mila deta hai,
Woh mujhe dekh kar nazron ko jhuka dete hai,
Yahi andaaz Mohabbat ka pata deta hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: July 26, 2004, 07:19:32 PM »
bahoot khub waheed:

Saaze dil per ajj gunguna gaya koi,
khayal hi se mujko mahka gaya koi
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: July 27, 2004, 07:57:38 AM »
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi
Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: July 27, 2004, 05:03:55 PM »
ruk gaya dil ajj yah soch kar
ki kahi saanse hi na ruk jai meri
kahty hai sab ajj wo ayegy jaroor
A dil bas ek najar ki izazat de do.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: July 28, 2004, 05:41:53 AM »
Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #10 on: July 31, 2004, 05:48:28 AM »
manzilon pe aake lut-te hain dilon ke karvaan
kashtiyan saahil pe aake dobti hain pyar ki.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: August 02, 2004, 11:17:30 PM »
nice waheed ji.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #12 on: August 03, 2004, 06:06:46 AM »
aa bhi jaao ke zindagi kam hai
tum nahi ho to har khushi kam hai

vaadaa kar ke yeh kaun aaya nahi
shehar mein aaj raushani kam hai

jaane kya ho gaya hai mausam ko
dhuup ziyaada hai chandni kam hai

aa-inaa dehk kar khayaal aya
aaj kal un ki dosti kam hai

tere dam se hi main mukammal hun
ab aa bhi jaao ke zindagi kam hai
Logged
sabreena
Guest
«Reply #13 on: August 03, 2004, 06:22:00 AM »
aye humdam kash meri kashti main sawar hota tu,
meri nazroon ki  takrar main shaamil hota tu,
lekin  tune mujhe samjha kahan  humdam,
jo tu meri dik ki kashti main sawar hota tu
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: August 03, 2004, 07:07:55 AM »
bahot khoob sabreena....
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:45:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer