mohsin akhter
Guest
|
Kaun jane dil ki soorat kaun jane pyar ko Kaun jane tamannao ko aur kaun jane yaar ko Dil tadapta dekhkar hansta raha ye jamana Sab ne samjha nasamajh hai kaun jane aitbaar ko Koi to hai jo kare ab meri baat per Din ka samjha logo ne kaun jane raat ko kya hai chahat kya mohabbat kya hai mahfile kaun jane dard ko aur kaun jane fir dua ko Samajh jao takleef ko hasrate baki nahi Maut hai ab kareeb Zindagi ab baki nahi Lo utha lo hatho ko ek dua ke vaste aur kaho ye jhoot hi jante hai hum tumhi ko jante hai hum tumhi ko
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Gesu
|
|
«Reply #1 on: March 20, 2006, 11:35:52 AM » |
|
bahut sunder mohsin ji bahut khoob....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mohsin akhter
Guest
|
|
«Reply #2 on: March 20, 2006, 11:39:41 AM » |
|
Na karo tareef aise dil ko khauf lagta hai jo mili hai khusi apse unko khauf lagta hai bethain rahe isi mahfil main Gesu Ji ab to jane se bhi dar lagta hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Gesu
|
|
«Reply #3 on: March 20, 2006, 11:43:11 AM » |
|
Kabhi kabhi kuch shaks aise mil jaate hain, Dil jo ibaadatt ka mandir hai use woh todh jaate hain, Tum na karo gum ke aise log jahaan mein mil hi jaate hain, Shikwaa karne se kuch na milega jinhone todna ho woh to naata todh jaate hain, Matt jalao koi chiraag unki yaad yaan unki aane ki umeed ka Kuch aise bewafa hotey hai jo wafai ki parchhai ka rukh modh jaate hain, Khud ko na kaho badkismatt tum yeh socho ke khushnaseebi se bewafa ka daaman chootha hai...
gesu's koshish!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mohsin akhter
Guest
|
|
«Reply #4 on: March 20, 2006, 11:48:10 AM » |
|
bahoot bahoot sukriya Gesu Ji
Kosise jo aap ki ho wo kamyaab ho hi jati hai Har Muskilo main tujh se hi ummeed nazar aati hai tere deedar se har baat ban jati hai Tum hi to hai jisse Gesu har mahfil saj jati hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Gesu
|
|
«Reply #5 on: March 20, 2006, 12:24:38 PM » |
|
ho thanks mohsin ji...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rockindia
Guest
|
|
«Reply #6 on: March 20, 2006, 01:00:16 PM » |
|
u hv written very good Mohsin............Its Rocking "Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi Sath reh kar bhi us ko na pana kesa lagta hai Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain Phool samjh kar kantoon per chalna kesa lagta hai
Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai Gham chupa kar mehfil ko sajana kesa lagta hai Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain Tanhai main gham k ansoo bahana kesa lagta hai
Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil Us ki yaad main ratoon ko jaagna kesa lagta hai Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay Zakham kha kar bhi muskurana kesa lagta hai
Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se Tab apnay ansoon ko chupana kesa lagta hai Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin Phir bhi khud ko ameer batana kesa lagta hai
Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand Phir bhi baymool bik jana kesa lagta hai Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay Phir bhi is ko chahna kesa lagta hai
Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi Phir bhi safer kartay rehna kesa lagta hai Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain Phir bhi is ka intazar kartay rehna kesa lagta hai ................................................. ............................................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Gesu
|
|
«Reply #7 on: March 20, 2006, 01:04:02 PM » |
|
wowwwwwwwwwwwww bahut sunder likha.. such mein lavz nahi ke kitni sunder shayari ki aapne rockindia ji ... keep writing..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mohsin akhter
Guest
|
|
«Reply #8 on: March 22, 2006, 10:34:52 AM » |
|
thanks all shayar
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #9 on: March 22, 2006, 02:42:54 PM » |
|
Very Nice all of you !!!! This poetry is not exactly for the section meant for Ishq !! The poetry has pain, pain for love !!! I am moving it to the section of Shayari-e-dard!!! Moved by Yoindia Monitor Talat
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mohsin akhter
Guest
|
|
«Reply #10 on: March 23, 2006, 01:35:23 PM » |
|
ye talat tu a gaya meri mahfil sajane ko ab chand bhi ek ayega mahfil main roshni lane ko
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mohsin akhter
Guest
|
|
«Reply #11 on: March 29, 2006, 01:24:19 PM » |
|
kya bhool humse ho gai jo tum humko hi bhool gaye dekho akar is manjar main tanha mohsin rah gaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mohsin akhter
Guest
|
|
«Reply #12 on: April 01, 2006, 06:10:25 AM » |
|
koi hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #13 on: April 01, 2006, 06:59:23 AM » |
|
wonderful Mohsin bhai.........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mohsin akhter
Guest
|
|
«Reply #14 on: April 01, 2006, 07:24:32 AM » |
|
sukriya janab
sukriya meri mahfil main tasreef lane ka ek sama ko mere liye jalane ka
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|