Kaun Se Raahon

by Ravi_Dave on September 17, 2007, 01:13:32 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 997 times)
Ravi_Dave
Guest
Kaun se rahoon mein chalne lage jis par pata nahi milta,
Mar kar bhi humein khuda nahi milta,

Main kaun hoon mera wajood kya hain,
Kyun mujhe khushi ka jahaan nahi milta,

Kya bhool hogayi mujhse is duniya mein aa kar,
Koi ghum se mera naam juda nahi milta,

Hain laakhon is duniya mein,
Lekin ek bhi apna sa nahi milta,

Khwaishein kahin hain dil mein mere,
Ek bhi sahi tarika nahi milta,

Kho gaya 'Ravi' undhero mein,
Ujaalon mein bhi raasta nahi milta,
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zindagi Ki Raahon Mein by sarafz in Shayri-E-Dard
jindagi ki raahon mein.. by Pundreek in Shayri for Dard -e- Judai
Teri Raahon Mein......... by kismis in Shayri-E-Dard
zindagi ki raahon mai by majid in Shairi - E - Zindagi
----anjaan raahon ka raahi---- **KB** by killbill in Shayri-E-Dard
Talat
Guest
«Reply #1 on: September 17, 2007, 03:04:44 PM »
Very nice Ravi !

Jo door kare dilon ke andheron ko,
Is jahan main aisa diya nahin milta

Kis se kahen hum haal-e-dil apna,
Koi humraaz, humnawa nahin milta !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: September 17, 2007, 05:17:17 PM »
BAHUT KHOOB RAVIJI...MAINE AAPKI FIRST TIME SHAYARI PADI HAI..BAHUT ACHA LIKHTE HO...TALATJI AAP NE BHI BAHUT ACHA LIKHA HAI.. =D>  =D>

DUNIYA KI IS BHEED MEIN
AAJ KOI HASTA HUA NAHI MILTA
KAHAN JAAYE AAJ MUSAFIR BHI AAKHIR,
JAB KOI RAASTA HI NAHI MILTA

KASHTIYAN LEHRO SE LADKAR
PAHUNCH JAATI MANZIL PAR,
PAR KYA KARTI KASHTIYAN BHI?
KINAARA HI NAHI MILTA...

RISHTO KI EHMIYAT KO
JO SAMAJ PAAYE AAJ KI DUNIYA MEIN,
AISA KOI FARISHTA NAHI MILTA

DUNIYA KI BHEED MEIN
AAJ KOI HASTA HUA NAHI MILTA.....
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: September 17, 2007, 05:21:38 PM »
Shukriya Khwaish, aap ne bhi bohot achcha likha is theme par Usual Smile
Logged
SHONA
Guest
«Reply #4 on: September 18, 2007, 05:47:25 PM »
wow..too godd ravig..too good talatji..too good khwaish...
 
Koi Bhi Dil Dard Se Juda Nahi Milta
Dhoondne Par Bhi Khuda Nahi Milta
kya kahe haal-e-dil kisi se
chiraag haathon mein lekar.
nikli hoon dar badar...
par koi apna nahi milta..
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #5 on: September 18, 2007, 08:42:28 PM »
Shukhriya Doston and Beautifully Written Talat, Khwaish, Shona!

Har arzoo milti hain dil ko,
Lekin koi dilbaraa nahi milta,

Phool har moorjaaye hue mile,
Ho jo dil-e-gulzaar-o-mausam-e-bahaar phool aisa khila nahi milta,

Zaalim-e-hayaat khushi nauchaawar karte hain unpe,
Jo tanha nahi milta,

Bethe hain tanha,
Koi aur humse zyaada tanhai mein dooba nahi milta!
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: September 18, 2007, 11:13:31 PM »
Thanks Shona n Ravi....good ones Usual Smile

Ghum ki raat kat ti nahin, aur subah hoti nahin
Kashmakash chalti hai aur koi sira nahin milta

Muskura ke milte hain, haath main liye khanjar
Dost mil jaate hain par humsaaya nahin milta
Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #7 on: September 19, 2007, 04:01:33 PM »
bahut khoob raviji,talat,khwaish,shona...sab ne bahut acha likha hai... =D>  =D>  =D>
Logged
hitler
Guest
«Reply #8 on: September 19, 2007, 04:56:42 PM »
ravi ji,talat ji,aur khawishhh ji ap sab ne bahit acha likha hai....

kashmokash ke sath karwate badalte hue rath yunhi guzar jati hai,
tere yaadon ke baseera ko sath liye zindagi jeelete bhi hai

taqdeer ne tanhaiya ka sath jod diya hai iskadhar
jaise saagar ke sath hamesha kinara hota hai
sagar to kabhi na kabhi kinara tak ahi jata hai,
per is tanha dil ko kabhi iska kinara nahi pata hai

zindagi to hai sukh dukh ka mela
per hamari zindagi may hai sirf ghumo ka mela...

           SARA
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: September 19, 2007, 07:41:31 PM »
Ishpreet and Sara, aap ka bohot bohot shukriya ! Usual Smile

Sara, aapne bohot achcha likha hai...keep it up !
Logged
SHONA
Guest
«Reply #10 on: September 20, 2007, 11:45:31 AM »
Quote from: "Ravi_Dave"
Shukhriya Doston and Beautifully Written Talat, Khwaish, Shona!

Har arzoo milti hain dil ko,
Lekin koi dilbaraa nahi milta,

Phool har moorjaaye hue mile,
Ho jo dil-e-gulzaar-o-mausam-e-bahaar phool aisa khila nahi milta,

Zaalim-e-hayaat khushi nauchaawar karte hain unpe,
Jo tanha nahi milta,

Bethe hain tanha,
Koi aur humse zyaada tanhai mein dooba nahi milta!


NICE ONE AGAIN RAVIJI...SARA AAP NE BI ACHA LIKHA HAI..GOOD GO =D> ING
Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #11 on: September 23, 2007, 07:33:12 PM »
Kya Baat hai..sab ne bahut acha likha hai...

Hai martaba har ek shaks ka juda juda
kismat juda juda,hai naseeb juda juda
khali nahi hai jahan mein,
Tammana se koi dil..
har ek dil mein hai tamanna juda juda
manzil sab ki ek hi hai raah mein
par raaste har ek ke juda juda
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:16:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer