KAYAL DUNIYA HAI, MERI TUJH JAISE, KADRA-DANO KI

by sunildehgawani on May 26, 2013, 11:05:29 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1911 times)
sunildehgawani
Guest
YOINDIA KE SABHI DOSTON KO MERA AADAAB
KAHANI KAREEB DO SAAL PURANI AUR ANKHON DEKHI HAI.MERE GAON KE KAREEB
EK GAON MEIN EK BUDHI MAHILA RAHTI THI,PARIVAR AMIR NAHI THA TO KHANE
KI KAMI BHI NAHI THI,US BUDHI MAA KI DARIYADILI KE CHAR-CHE DUR-DUR TAK
THEY,MAIN DELHI SE GAON GAYA THA USI DIN BUDHI MAA NE DUNIA KO ALVIDA KAH
DIYA ZIKRA CHAL RAHA THHA KI,PAAS KE GAON MEIN AAJ EK BUDHI AURAT KA
NIDHAN HO GAYA BECHARI GAREEBON,YATIMON KA BHAGWAN THI,BHIKHARI KO
BHIKH DENE SE PAHILE BITHAKAR KHANA KHILATI THI,KABHI KOI CHOR PAKDA JATA
TO SHIKAYAT KARNE WALON KO HI DAAT DETI,KAHTI THI KI BECHARE KE GHAR
KHANE KE KUCH NAHI BACHA HOGA ISILIYE USNE CHORI KI HAI,USSE GHAR BULAKAR
ANAAJ AUR PAISE DETI THI, MUJH SE NA RUKA GAYA AUR MEIN BAHAN KE LIYE CHAL
PADA,ADMI TO SARI DUNIYA HAI,MAGAR INSAAN KUCH HI,WOH EK HEERA THA JO MIT KE
BHI APNI CHAMAK CHOR GAYA,KUCH LOG MARKE MITTI MEIN MIL JATE HEIN AUR KUCH
LOG MITTI KO AMAR KAR JATE HAIN,MERI ANKHEN KHUL CHUKI THI,MEIN KAYAL THA US MAA
KI ARTHI KE SAAMNE,JAHAN HAZAROO ANKHEN NAM THI,AADMI TO DUR ARTHI KE PAAS BAITHE
KUTTE IS KADAR RO RAHE THHE, KI KALEZA MUH KO AA RAHA THA,BHIKHARION KA HAZUM
JHOLIYAN FAILA KAR BHEEKH NAHI USS SAKHSIYAT KO MAAG RAHA THHA JO KHUDA
NE CHHIN LI,AAZ AADMI MATALAB PARAST HAI,KISI KO KISI SE MATALAB NAHI MAGAR
KUCH LOG HAIN JINKI DUNIYA AUR KHUSI DUSRON MEIN HAI,MAINE USS MAA KI PRASANSA
MEIN KUCH LAFZ LIKHNE KI KOSHISH KI HAI,JO AAPKI NAZAR KARTA HOON.



CHARCHA TERI RAHNUMAI KA SAR-E-AAM KAROON.
AA AJNABI PARINDE TUJHE SALAAM KAROON.
BAKHS DUN KALAM SE,TUJHE,MUKAMMAL JAHAN TERA
AADMI HONE KE NAATE, YEH NEK KAAM KAROON.

HAM NA REHE ISS JAHAN MEIN,TUJH JAISE RAHEN,
JAMEE,PAR NEKI AUR DARIYADILI, KAA-YAM RAHE.
MEINE KURBA TUJH PE, YEH ZINDAGI SAARI KI,
JIYUN JAB TALAK CHARCHA TERA SUBAH-SHAM KAROON

LOG FARISHTE KI TARAH TUJHE JANTE HAIN,
GARIB TERI BASTI KE TUJHE PAHICHANTE HAIN.
SABAB TERA,JO AADMI KO INSAAN BANA DETA HAI
AA YEH AUH-DA MASI-HAI KA TERE NAAM KAROON.

TAN MAILA SAHI,MAN KI KHUBSURATI JARURI HAI,
KHAYAL BUJURGON KA,INSA MEIN INSA-NIYAT JARURI HAI.
TUJH JAISE LOGON PE HI TIKA HAI SHAYAD YE AASMA SARA  
AA SAR JHUKAUN TERE KADMON MEIN TUJHE SALAAM KAROON
 
         
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: May 26, 2013, 12:00:40 PM »
Nice dedication to the great lady. May her soul rest in peace.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: May 26, 2013, 01:28:48 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
beautifully expressed and nice dedication sunilji.
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #3 on: May 26, 2013, 03:17:34 PM »
gud 1.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #4 on: May 26, 2013, 05:02:42 PM »
Aapki bhaavbheenee shraddhhanjali waqayee man ko chhoo gayi hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: May 26, 2013, 06:07:01 PM »
YOINDIA KE SABHI DOSTON KO MERA AADAAB
KAHANI KAREEB DO SAAL PURANI AUR ANKHON DEKHI HAI.MERE GAON KE KAREEB
EK GAON MEIN EK BUDHI MAHILA RAHTI THI,PARIVAR AMIR NAHI THA TO KHANE
KI KAMI BHI NAHI THI,US BUDHI MAA KI DARIYADILI KE CHAR-CHE DUR-DUR TAK
THEY,MAIN DELHI SE GAON GAYA THA USI DIN BUDHI MAA NE DUNIA KO ALVIDA KAH
DIYA ZIKRA CHAL RAHA THHA KI,PAAS KE GAON MEIN AAJ EK BUDHI AURAT KA
NIDHAN HO GAYA BECHARI GAREEBON,YATIMON KA BHAGWAN THI,BHIKHARI KO
BHIKH DENE SE PAHILE BITHAKAR KHANA KHILATI THI,KABHI KOI CHOR PAKDA JATA
TO SHIKAYAT KARNE WALON KO HI DAAT DETI,KAHTI THI KI BECHARE KE GHAR
KHANE KE KUCH NAHI BACHA HOGA ISILIYE USNE CHORI KI HAI,USSE GHAR BULAKAR
ANAAJ AUR PAISE DETI THI, MUJH SE NA RUKA GAYA AUR MEIN BAHAN KE LIYE CHAL
PADA,ADMI TO SARI DUNIYA HAI,MAGAR INSAAN KUCH HI,WOH EK HEERA THA JO MIT KE
BHI APNI CHAMAK CHOR GAYA,KUCH LOG MARKE MITTI MEIN MIL JATE HEIN AUR KUCH
LOG MITTI KO AMAR KAR JATE HAIN,MERI ANKHEN KHUL CHUKI THI,MEIN KAYAL THA US MAA
KI ARTHI KE SAAMNE,JAHAN HAZAROO ANKHEN NAM THI,AADMI TO DUR ARTHI KE PAAS BAITHE
KUTTE IS KADAR RO RAHE THHE, KI KALEZA MUH KO AA RAHA THA,BHIKHARION KA HAZUM
JHOLIYAN FAILA KAR BHEEKH NAHI USS SAKHSIYAT KO MAAG RAHA THHA JO KHUDA
NE CHHIN LI,AAZ AADMI MATALAB PARAST HAI,KISI KO KISI SE MATALAB NAHI MAGAR
KUCH LOG HAIN JINKI DUNIYA AUR KHUSI DUSRON MEIN HAI,MAINE USS MAA KI PRASANSA
MEIN KUCH LAFZ LIKHNE KI KOSHISH KI HAI,JO AAPKI NAZAR KARTA HOON.



CHARCHA TERI RAHNUMAI KA SAR-E-AAM KAROON.
AA AJNABI PARINDE TUJHE SALAAM KAROON.
BAKHS DUN KALAM SE,TUJHE,MUKAMMAL JAHAN TERA
AADMI HONE KE NAATE, YEH NEK KAAM KAROON.

HAM NA REHE ISS JAHAN MEIN,TUJH JAISE RAHEN,
JAMEE,PAR NEKI AUR DARIYADILI, KAA-YAM RAHE.
MEINE KURBA TUJH PE, YEH ZINDAGI SAARI KI,
JIYUN JAB TALAK CHARCHA TERA SUBAH-SHAM KAROON

LOG FARISHTE KI TARAH TUJHE JANTE HAIN,
GARIB TERI BASTI KE TUJHE PAHICHANTE HAIN.
SABAB TERA,JO AADMI KO INSAAN BANA DETA HAI
AA YEH AUH-DA MASI-HAI KA TERE NAAM KAROON.

TAN MAILA SAHI,MAN KI KHUBSURATI JARURI HAI,
KHAYAL BUJURGON KA,INSA MEIN INSA-NIYAT JARURI HAI.
TUJH JAISE LOGON PE HI TIKA HAI SHAYAD YE AASMA SARA 
AA SAR JHUKAUN TERE KADMON MEIN TUJHE SALAAM KAROON
 
         



Jitni Mann Ki Khoobsurat Woh Aurat Thi Utni Hi Khoobsurat Aapki yeh Shrrdanjali Unke Liye..Dil Ko Chhute Hue Lafz...

Bahut Bahut Khoooob..!!!!!!

Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #6 on: May 27, 2013, 10:25:54 PM »
siddiqui sahab aapka bahu bahut shukriya
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #7 on: May 27, 2013, 10:28:58 PM »
AAPKA BAHUT BAHUT SHUKRIYA AQSH JI YUH HI HAUSLA FARMATE RAHIYE
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #8 on: May 27, 2013, 10:32:49 PM »
 Thankyou ! RAVI JI
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:10:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer