kayun itna be-dard Zamana hai!!!!

by Pooja on August 29, 2005, 03:45:45 PM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15
Print
Author  (Read 17725 times)
Pooja
Guest
«Reply #180 on: March 21, 2006, 05:42:31 PM »
wah kay abaat likhi hai waheed bahoot khoob and thanks!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hume Mohaabat Ne Itna Dard Diya Dosto, by muneeb in Shayri-E-Dard
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Meri Wafa ko, Itna rulaaty kayun ho... by Pooja in Critics and Review only Forum
Dard itna hai k...... by CoolGirl in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 ... 11 12 »
zamana meray dard may muskarata raha by payar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Pooja
Guest
«Reply #181 on: March 23, 2006, 04:11:01 PM »
good one majid!!!

umind hai, umind thi, umind rahegi
tu nahi tha, tu nahi hai, magar teri tabeer rahegi!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #182 on: March 27, 2006, 03:41:56 PM »
dil ki har khushi ko lutaty dekha
Arman ke her phool ko bikharty dekha
jakhamo se bhari is zindagi mai, kuch bhi nahi
humne til til kar, khud ko hi marty dekha!!!
Logged
kuchtohai
Guest
«Reply #183 on: October 03, 2006, 01:53:57 PM »
Quote from: "Pooja"
jamane se kaya shikawa
jab tune dil dukhaya hai
khata hui mujse bahhot bardi
jo apna dard jamane ko dikhaya hai

hansi hai yah duniya, yaha apna nahi koi
Pooja ko mila koi nahi apna, sara jahan sirf paraya hai!!


Pooja, thode dinon se sirf tumhaari kavitaayein padh rahi hoon. Aur tumse kahe bina raha nahi gaya ke bohot samay baad koi aisa likhta hai, ke padhne ka intezaar rehta hai. Laga tha ke, dard, saralta, bhavnaayein, bohot kam logon mein simat kar reh gayi hain, ya phir ye saari cheezein sirf ek bhram matr hai. Par tumhaari har kavita padhhkar, is bhram mein jeene ka phir se mann karta hain. Tumne Karan singh ke baare mein suna hain? Unki kavitaayein jab bhi padhhti hoon, raungtay khade ho jaate hain. Unke har emotion ko mehsoos kar ke ek nasha sa chha jaata hai. Utna to nahi, par haan aaj tumhaari bohot saari likhi hui kavitaayein, kuch vaisa hi suroor jagati hain.  Shaayad main thoda sa bhavuk ho kar likh rahi hoon par, Pooja main aise hi hoon.  Aur tum bhi kabhi bandh mat karna likhna. Tussi to  mere zahan mein chha gaye ho.  

Bye dear,
Meera.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #184 on: October 03, 2006, 02:39:47 PM »
Meera

Bahut achcha laga aapke vichaar sun kar.

Aap ka Yoindia par swaagat hai !

Enjoy your stay here :D

Rajbir
Logged
Talat
Guest
«Reply #185 on: October 03, 2006, 03:47:44 PM »
Meera ji, Pooja ji is the best poetess of this huge poetry site !!!

Welcome to Yoindia !! Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #186 on: October 03, 2006, 11:11:25 PM »
Quote from: "kuchtohai"
Quote from: "Pooja"
jamane se kaya shikawa
jab tune dil dukhaya hai
khata hui mujse bahhot bardi
jo apna dard jamane ko dikhaya hai

hansi hai yah duniya, yaha apna nahi koi
Pooja ko mila koi nahi apna, sara jahan sirf paraya hai!!


Pooja, thode dinon se sirf tumhaari kavitaayein padh rahi hoon. Aur tumse kahe bina raha nahi gaya ke bohot samay baad koi aisa likhta hai, ke padhne ka intezaar rehta hai. Laga tha ke, dard, saralta, bhavnaayein, bohot kam logon mein simat kar reh gayi hain, ya phir ye saari cheezein sirf ek bhram matr hai. Par tumhaari har kavita padhhkar, is bhram mein jeene ka phir se mann karta hain. Tumne Karan singh ke baare mein suna hain? Unki kavitaayein jab bhi padhhti hoon, raungtay khade ho jaate hain. Unke har emotion ko mehsoos kar ke ek nasha sa chha jaata hai. Utna to nahi, par haan aaj tumhaari bohot saari likhi hui kavitaayein, kuch vaisa hi suroor jagati hain.  Shaayad main thoda sa bhavuk ho kar likh rahi hoon par, Pooja main aise hi hoon.  Aur tum bhi kabhi bandh mat karna likhna. Tussi to  mere zahan mein chha gaye ho.  

Bye dear,
Meera.


Bahoot bahoot shukariya Meera ji... apka yoindia mai sawagat hai...

Dil ke hai jakham, shabdo mai khil jaate hai
mile jo kismat se gum, nagmo mai mehak jaate hai
Dard unse jo mile, jeevan ke her pal mai behak jaate hai
Had is per ki, hum phir bhi nahi Bikhar jaate hai….
Logged
Pooja
Guest
«Reply #187 on: October 03, 2006, 11:41:40 PM »
Quote from: "Talat"
Meera ji, Pooja ji is the best poetess of this huge poetry site !!!

Welcome to Yoindia !! Usual Smile


 :oops: apka hi sharminda karna rah gaya tha... app khud bahoot acha likhati hai Talat. dil se apka shukaria ki apne yah mere liye likha...

Bikhar hi jaati ki anjaane sambhal gaye
kahne ko paraye, per bahoot apna maan gaye
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #188 on: October 04, 2006, 08:07:00 AM »
Quote from: "Pooja"
Quote from: "Talat"
Meera ji, Pooja ji is the best poetess of this huge poetry site !!!

Welcome to Yoindia !! Usual Smile


 :oops: apka hi sharminda karna rah gaya tha... app khud bahoot acha likhati hai Talat. dil se apka shukaria ki apne yah mere liye likha...

Bikhar hi jaati ki anjaane sambhal gaye
kahne ko paraye, per bahoot apna maan gaye


Pooja

Very nice reply =D> =D>

It is so nice to see mutual admiration for each other here.
That's the true quality of Yoindians.

Meera, as Pooja said, Talat bhi Yoindia ki bahut achchi poetess hain. Puzzled !
Logged
Talat
Guest
«Reply #189 on: October 04, 2006, 01:26:17 PM »
Thanks Pooja and Rajbir Usual Smile, lekin Pooja sach main humne aap se bohot seekha hai !! Hume to likhna nahin aata tha jab yeh site join kiya tha..par dheere dheere ab kuch likh lete hain !! :oops:

Ek chota sa diya hoon, hai madhdham si roshni
Kyun aasmaan ki bijli se mujhko milaate ho tum !!!
Logged
kuchtohai
Guest
«Reply #190 on: October 04, 2006, 05:28:06 PM »
Quote from: "Talat"
Thanks Pooja and Rajbir Usual Smile, lekin Pooja sach main humne aap se bohot seekha hai !! Hume to likhna nahin aata tha jab yeh site join kiya tha..par dheere dheere ab kuch likh lete hain !! :oops:

Ek chota sa diya hoon, hai madhdham si roshni
Kyun aasmaan ki bijli se mujhko milaate ho tum !!!



WAH WAH TALAT JI, KYA KHOOB LIKHA HAI.

AAP BOHOT HUMBLE AUR MODEST HAIN. YAHI GUN, BHAGWAAN KAREN AAPKO KAMYAABI KI HAR MANZIL PAR POHONCHAAYE.........
 
 (KUCHTOHAI)
Logged
angel4u
Guest
«Reply #191 on: October 04, 2006, 05:40:10 PM »

Wo Ba-Khabar Hai Kabhi Bekhabar Nahi Hota,
HaMari Baat Ka Jis Par Asar Nahi Hota,

Chirag-E-Hijr Musalsal Jalaye Baithe Hai,
Kabhi Hawa Ka Idhar Se Guzar Nahi Hota,

Khud Apne Des Ki Mitti Mera Thikana Hai,
Kisi Gair Ka Ghar Apna Ghar Nahi Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #192 on: October 04, 2006, 05:41:35 PM »

Jab Yunhi Baithe Baithe,
Kuch Yaad Achanak Aa Jaye,
Har Baat Se Dil Bezaar Sa Ho,
Har Chiz Se Dil Ghabra Jaye,
Karna Bhi Mujhe Kuch Aur Hi Ho
Kuch Aur Hi Mujhse Ho Jaye,
Kuch Aur Hi Sochun Main Dil Mein,
Kuch Aur Hi Honthon Pe Aaye,
Aise Hi Kisi Ek LaMhe Mein,
Chupke Se Kabhi KhaMoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein,
Kuch Beete LaMhe Yaad Aayein,

Us Wakt Teri Yaad Aati Hia,
Jab Chandni Dil Ke Aangan Mein,
Kuch Kehne Mujhse Aa Jaye
Ek Khwabeeda Si Chot Koi,
Ehsaas Pe Mere Chha Jaye,
Kuch Dard Bhi Dil Me Hone Lage,
Aur Saans Bhi Bojhal Ho Jaye,
Aise Hi Kisi Ek LaMhe Mein,
Chupke Se Kabhi KhaMoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein,
Kuch Beete LaMhe Yaad Ayein

Us Waqt Teri Yaad Aati Hai,
Jab ShaaM Dhale Chalte Chalte
Manzil Ka Na Koi NaaM Mile,
Hansta Hua Ek Aagaz Mile,
Rota Hua Ek AnjaaM Mile,
Palkon Ke Larazte Ashkon Se,
Is Dilko Koi PaigaM Mile,
Aur Sari Wafaon Ke Badle,
Mujhko Hi Koi IlzaaM Mile,
Aise Hi Kisi Ek LaMhe Mein,
Chupke Se Kabhi KhaMoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein,
Kuch Beete LaMhe Yaad Aayein

Us Waqt Teri Yaad Aati Hai,
Shiddat Se Teri Yaad Aati Hai...
* * * * *
Logged
Talat
Guest
«Reply #193 on: October 17, 2006, 11:46:00 AM »
Bohot khoob Angel !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #194 on: October 17, 2006, 11:47:05 AM »
Quote from: "kuchtohai"
Quote from: "Talat"
Thanks Pooja and Rajbir Usual Smile, lekin Pooja sach main humne aap se bohot seekha hai !! Hume to likhna nahin aata tha jab yeh site join kiya tha..par dheere dheere ab kuch likh lete hain !! :oops:

Ek chota sa diya hoon, hai madhdham si roshni
Kyun aasmaan ki bijli se mujhko milaate ho tum !!!



WAH WAH TALAT JI, KYA KHOOB LIKHA HAI.

AAP BOHOT HUMBLE AUR MODEST HAIN. YAHI GUN, BHAGWAAN KAREN AAPKO KAMYAABI KI HAR MANZIL PAR POHONCHAAYE.........
 
 (KUCHTOHAI)


Thanks a lot Meera ji....!! :oops:
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:36:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer