kayun itna be-dard Zamana hai!!!!

by Pooja on August 29, 2005, 03:45:45 PM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15
Print
Author  (Read 17717 times)
angel4u
Guest
«Reply #195 on: October 17, 2006, 05:28:15 PM »
Thanks Talat ji...

Doob Rahi Hia Saansein Magar Ye GuMaan Baqi Hai,
Kisi Shakhs Ke Aane Ka Abhi IMkaan Baaqi Hai,

Muddat Hui Ek Shakhs Ko Bichhde Lekin,
Aaj Tak Mere Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hia,

Wo HuMnashin Chhin Gaya To Koi GaM Nahi,
Abhi To Mere Sar Pe Ye AasMaan Baaqi Hai,

Kashti Zara Kinare Ke Qareeb Hi Rakhna,
In Pagal Lehron Mein Abhi Toofan Baaqi Hia,

TuMhare Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna,
Abhi To Mere Dukhon Ki Bahut Daastan Baaqi Hai

GaMon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-E-Safar Baandhein,
Ke Abhi To Mere JisM Me Kuch Aur Jaan Baaqi Hai,

Ja Chuke Hai Sab Log KhaMosh Padi Hai Basti,
Magar Kisi Aas Pe Kada Mera Makaan Baaqi Hia,
* * * * *
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hume Mohaabat Ne Itna Dard Diya Dosto, by muneeb in Shayri-E-Dard
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Meri Wafa ko, Itna rulaaty kayun ho... by Pooja in Critics and Review only Forum
Dard itna hai k...... by CoolGirl in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 ... 11 12 »
zamana meray dard may muskarata raha by payar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
waheed_rose2004
Guest
«Reply #196 on: October 17, 2006, 05:52:49 PM »
bahot  khoob  Talat......Angel..........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #197 on: October 19, 2006, 06:08:51 AM »
wah Angle kaya baat hai.... bahoot hi khoobsurat lines hai:

TuMhare Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna,
Abhi To Mere Dukhon Ki Bahut Daastan Baaqi Hai

GaMon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-E-Safar Baandhein,
Ke Abhi To Mere JisM Me Kuch Aur Jaan Baaqi Hai,

Ja Chuke Hai Sab Log KhaMosh Padi Hai Basti,
Magar Kisi Aas Pe Kada Mera Makaan Baaqi Hia,
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #198 on: October 19, 2006, 08:14:32 AM »
very  nice Pooja sis.........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #199 on: October 20, 2006, 05:03:02 AM »
Raah-e-manjil mai, kab fiza aa gai
Hari bhari jameen ko, kab banjar bana gai

Sinchati rahi ansoo se her ek ek kona
Kismet bhir bhi apna kheil dikha gai

Suni najar mai suni suni yah raah
Na jaane kab bhari mang meri suni bana gai

Waqat chalta raha apni chale
Pooja her chaal per apna sir jhuka gai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #200 on: August 27, 2007, 06:14:41 PM »
Tinka tinka jord kar ashiyana ek banaya tha
Jis per kiya bharosa, wo hi dushman ho ayya hai

Na samjhe kuch wo, na main hi samjha paau
Bikhar raha hai tinka tinka, sab khatam hone ko ayya hai

Hansti hai suniya sari, isko apni vijay samjh kar
Kaise apno se, dushmano ka vayvhaar paya hai

Sisak rahi zinndagi ajj, khatam sabkuch ho jaana hai
Sochu bas yahi batí kar, kyun itna bedard jamana hai….
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #201 on: February 17, 2008, 06:11:19 AM »
Thanks Talat ji...

Doob Rahi Hia Saansein Magar Ye GuMaan Baqi Hai,
Kisi Shakhs Ke Aane Ka Abhi IMkaan Baaqi Hai,

Muddat Hui Ek Shakhs Ko Bichhde Lekin,
Aaj Tak Mere Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hia,

Wo HuMnashin Chhin Gaya To Koi GaM Nahi,
Abhi To Mere Sar Pe Ye AasMaan Baaqi Hai,

Kashti Zara Kinare Ke Qareeb Hi Rakhna,
In Pagal Lehron Mein Abhi Toofan Baaqi Hia,

TuMhare Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna,
Abhi To Mere Dukhon Ki Bahut Daastan Baaqi Hai

GaMon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-E-Safar Baandhein,
Ke Abhi To Mere JisM Me Kuch Aur Jaan Baaqi Hai,

Ja Chuke Hai Sab Log KhaMosh Padi Hai Basti,
Magar Kisi Aas Pe Kada Mera Makaan Baaqi Hia,
* * * * *

NICE ONE ANGLE
Logged
Pooja
Guest
«Reply #202 on: December 01, 2008, 03:18:04 AM »
roye ya hanse apne halaat per,
yah samjh nahi atta
aa aa kar karata hai usse yaad,
yah jamana sambhal kyun nahi jaata
Logged
sunny_chris
Guest
«Reply #203 on: November 19, 2009, 08:19:25 PM »
ZAMANAI KI BEDARDI KYA YAAD RAKHOGAI
KHUDA SAE TUM YAI ROZ FARIYAD KAROGE
YA KHUDA NA BHEJNA MUGHE DUBARA YAHA PER
JISSE APNE NA CHAHE USSE KYA ABAAD KAROGE
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #204 on: November 19, 2009, 09:58:25 PM »
Bahut khoob Pooja ji n Sunny ji very beautiful lines.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sunny_chris
Guest
«Reply #205 on: November 20, 2009, 02:36:11 PM »
zamane ko kyu dosh detai ho bedardi ka
dard tau apna hai or diya bhi apno nai hai
apne hi dard ko niilaam kar dala
bhare bazaar mai usko saste mai bech dala
lagta hai dar khuda se ki dard ka ab daur na de
kahi aisa na ho ki khushi ka mai naam bhul jau
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #206 on: November 21, 2009, 10:01:37 AM »
roye ya hanse apne halaat per,
yah samjh nahi atta
aa aa kar karata hai usse yaad,
yah jamana sambhal kyun nahi jaata


bahot khoob pooja ji....

zamana sambhal jayega yeh sochti kiyon ho
bhadao kadam nayi rah per inhe rokti kiyon ho

yaado ko uski khud sanjoya hua hai tumne
baha do in asnuo me itna sochti kiyon ho

hai aur bhi haseen nazare aas paas tumhare
purani yaado ki aag me inhe jhokti kiyon ho


samir"dilse"
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #207 on: November 22, 2009, 02:36:02 AM »
Bahut khoob Samir ji,lovely lines excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #208 on: November 24, 2009, 12:03:19 PM »
Bahut khoob Samir ji,lovely lines excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause


thanks madhu ji...........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #209 on: December 08, 2009, 07:04:49 PM »
bahot khoob pooja ji....

zamana sambhal jayega yeh sochti kiyon ho
bhadao kadam nayi rah per inhe rokti kiyon ho

yaado ko uski khud sanjoya hua hai tumne
baha do in asnuo me itna sochti kiyon ho

hai aur bhi haseen nazare aas paas tumhare
purani yaado ki aag me inhe jhokti kiyon ho


samir"dilse"

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley wah kaya baat hai bahoot khoob Sameer.. bahoot he acha jawab likha hai... aor agge dard mai na kuch likh kar.. maine apki kavita ka jawab de diya Usual Smile

see you in other threads..
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:01:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer