kayun itna be-dard Zamana hai!!!!

by Pooja on August 29, 2005, 03:45:45 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 15
Print
Author  (Read 17684 times)
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #90 on: December 21, 2005, 11:15:49 AM »
very nice nirbhay ji and dildaar ji bahut hi khoob lafz nahi hain such mein tareef ke liye... aap logon se hi raunak hai yoindia mein.. bus yoon hi roz aate rahiye....

Tumhari nazar ko taraste hain hum,
Per is nazar mein hai hi nahi dum,
Kabhi to rukegi hamare bhi rukh per,
Shayad kabhi hoga reham yeh tumse sanam,
Dil ki awaaz ko ab sunn nahi paate ho tum,
Hum  wahin hain aur na jaane kahaan khoye ho tum,
 Koi nahi hai is dil ka tabhi to marte hain sirf tum per hum,
Per yeh samajhne ko shayad tayyar nahi tum,
Kya kahoon haale dil kya hai mera,
Sunaaon kisko ke tanha hai mera dil kitna,
Bahar ki goonj to hai per sannatta hai ander,
Kisko kahoon is dil ka haal,
Sab jaante hain ke naaz hai hamein tumhara,
Kaise shikwon ke kissey sunayenge hum,
ab bus ander ghutt ke reh jaayenge hum..........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hume Mohaabat Ne Itna Dard Diya Dosto, by muneeb in Shayri-E-Dard
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Meri Wafa ko, Itna rulaaty kayun ho... by Pooja in Critics and Review only Forum
Dard itna hai k...... by CoolGirl in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 ... 11 12 »
zamana meray dard may muskarata raha by payar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
badnaam_shayar
Guest
«Reply #91 on: December 21, 2005, 12:39:50 PM »
very gus gesu ji......bahut badia........keep it up............
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #92 on: December 21, 2005, 02:13:04 PM »
Thanks a lot Nirbhay and Pooja for appreciation ...
And all of have done very well job ...
Keep it up all ...


Bhool gaye hum apne aapko,
Aaine mein bhi tumko dekha karte hai,
Hansi tere hontho pe dekhkar,
Gum apne bhula diya karte hai,
Nikalte hai ghar se khuda se teri fariyaad karne ko,
Magar jab pahuchte hai mandir to teri khushi ki fariyaad karte hai ...
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #93 on: December 22, 2005, 05:56:37 AM »
Quote from: "sunny.22"
ur gr8 yaar both ur urdu n hindi are gr8 aur shayari ke bare mein kya boloon awesome


Iss tarah na mere jaaley ka Housla afzai kiya karo
Iss Zakmi dil pey samundar ka sailaab aajaata hai
Iss Dard-e-dil ki dastaan ko naa shayari naam diya karo
Iss kalam se bhi fhir aasuon ka sailaab aajaata hai....

Nirbhay..................!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #94 on: December 22, 2005, 06:04:06 AM »
bahut acche shayar-e-neer ...........................very nice words..................
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #95 on: December 22, 2005, 06:14:25 AM »
Quote from: "gesu_kapoor"
Tumhari nazar ko taraste hain hum,
Per is nazar mein hai hi nahi dum,
Kabhi to rukegi hamare bhi rukh per,
Shayad kabhi hoga reham yeh tumse sanam,
Dil ki awaaz ko ab sunn nahi paate ho tum,
Hum  wahin hain aur na jaane kahaan khoye ho tum,
 Koi nahi hai is dil ka tabhi to marte hain sirf tum per hum,
Per yeh samajhne ko shayad tayyar nahi tum,
Kya kahoon haale dil kya hai mera,
Sunaaon kisko ke tanha hai mera dil kitna,
Bahar ki goonj to hai per sannatta hai ander,
Kisko kahoon is dil ka haal,
Sab jaante hain ke naaz hai hamein tumhara,
Kaise shikwon ke kissey sunayenge hum,
ab bus ander ghutt ke reh jaayenge hum..........



Dard-e-muhabaat ke aansun bhi pe jayenge hum
Par koi shikwa na koi gila tujhse famayein ge hum

Na tamana hai ke banto gum humse, na muhabaat ka gul khilaeinge hum
Na koi dilasa tujhse chahiye meri humnakhs, Abb kalam se dil lagayenge hum

Na samjhna mujhe koi aasiqi ki gunj, warna muhabaat ke dariyamein lout aayeinge hum
Aaur aab jo doobe dariya mein, sath lekar tujhe janaat nikal jayeinge hum...!!

Nirbhay...........!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #96 on: December 22, 2005, 11:51:54 AM »
Bahut accha neer bhai........................very gud..........

Jitna tum ko chaaha tha hum nay
Utnaa kisi ko chaah na sakay
Socha tha bhool jaaingay kabhi na kabhi
Lekin najaanay kyoun bhulaa na sakay
Honton nay to chupa liye armaan dil ke
Lekin ankhon say chupa na sakay
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #97 on: December 22, 2005, 11:58:49 AM »
ye aapke liye badnaam shayar.......

Aapse milne ka vada karke
darde-e dil ko hum dena nahi chahte,
Is dil ke berukhaye ko samajhye
hum unke tara bewfafa kehlana nahi chahte
Darte hai humse hi koi galti hui hogi
jo hume is kadar tukhra diya,
ab tho pyaar ya dosti ke raah mein chalke
aur ek baar hum zakhm khana nahi chahte
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #98 on: December 22, 2005, 04:22:33 PM »
thnx urs4evsomdev...........very nice........................aur ye aapke liye............ tongue3

Raat mein khayaalon mein aati ho tum
Kabhi saamne aakar bhi dekho

Hum se baatein tu roz karte ho tum
Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho

Humaari nazar bohat kuch keh deti hai
Kabhi hamein nazaron se samjh kar tu dekho

Humse dosti ka rishta hai tumhaara
Kabhi hum say dil lagaa kar tu dekho

Humaari baton ne tumhaara dil kai baar behlaaya hai
Kabhi apni baton se hamein hasaa kar tu dekho

Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho
Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar tu dekho

Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus
Hum par ik baar eitbaar kar ke tu dekho

Hum tumhein zindagii mein har khushi denge
Bus ek baar humse pyaar kar ke tu dekho

Tumhein apaane ke liye har imtihaan denge hum
Humein kabhi aazmaa kar tu dekho

Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnaa
Ek baar hamein apna banaa kar tu dekho
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #99 on: December 22, 2005, 05:34:52 PM »
Teri aashqi ne is dil ko awara banaa diya,
aasmaan ki hawa ko dhool bana diya,
teri khafa nazron ne,teri bewafi ne
Bahaar ke gulaab ko, pattjhar ka phool bana diya
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #100 on: December 23, 2005, 07:35:14 AM »
Great all ...
What fantastic ones ...
Keep it up all ...


This is for my all yoindia members ...
My friends ...


Friendship is a collection of hearts,
Ready to give, share and understand;
It never fades and never ends,
It only remind us that life is not perfect without  
                   ... FrIeNdS ...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #101 on: December 25, 2005, 06:17:48 AM »
Blkul sahi likha aapne JHL ji........dostoan k bina jindagi adhoori hai..........or jab dost yoindians jaise ho toh baat hee kya hai........ tongue3
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #102 on: December 30, 2005, 02:58:55 PM »
Thanks a lot B.Shayar for appreciation ...


Mana ki teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
Kaise kahe ke tere talabgaar hum nahi,
Jisko sawara humne tamannaao ke khoon se,
Gulshan mein us bahaar ke haqdaar hum nahi ...
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #103 on: December 30, 2005, 05:32:48 PM »
Aab kya karein tujhe fariyaad
Aaur kia tujhe sunana hai
Kya bante tujhse dard-e-judai
Aaur kahan munasib tera loutaana hai

Hai teri bhi majboori aaur par mera bhi ek aashiyana hai
Bass reh jayega gum iss baat ka " Kiu Itna bedard zalim zamana hai "

Nirbhay.......................!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #104 on: January 03, 2006, 07:13:58 PM »
bahoot khoob JHL, BS and Nirbhay!!!
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 15
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:06:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer