kehte hai mujhse

by majid on July 23, 2006, 07:22:14 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Author  (Read 5690 times)
pinky
Guest
«Reply #45 on: December 05, 2006, 09:26:49 AM »
Haathon mein lekar tukde chala karte hain
Iss dil ko kitna samajhaya karte hain..
bas kar aur khwab na dekh wafa ke ae dil
Log mohabbat ke dhokhe mein dil toda karte hain..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuchh Kehte Hai..... by Zainulabedin in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
KEHTE HAIN by nisha00 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Aur Log Kehte Hai Tanhayi Hai... by angel4u in Shayri-E-Dard
Log kehte hai by love_point12321 in Other Languages
Main So Jaaoon Ya Mustafa Kehte Kehte,. by Azeem Azaad in Share:Devotional Poetry « 1 2  All »
pinky
Guest
«Reply #46 on: December 14, 2006, 09:05:06 PM »
Zamana ho chala ke aankhon se muskuraye hum..
umr guzar gayi ke dil ki baat hothon pe laaye hum..
Phir bhi unko shikayat hai humari berukhi se..
Kehte hain kyun na unse khwabon mein milne aaye hum..?
Logged
pinky
Guest
«Reply #47 on: December 17, 2006, 08:15:17 PM »
Bahut khoob majid..
Usual Smile
Logged
pinky
Guest
«Reply #48 on: December 18, 2006, 08:11:03 PM »
Hum rote rahe unki yaad mein raaton ko jag kar
Wo khush the apni mehfilon mein gairon ke saath
Suna tha pyaar mein dil ki sada pahunchti hai
Ek dil se doosre dil tak..
Hum to pukarte rahe unhe lekar dil ka dard
Aur wo Muskurate rahe gairon ke saath..
Logged
pinky
Guest
«Reply #49 on: December 19, 2006, 07:43:18 PM »
Ek dum mind Blowing hai Majid..!!

Kami kuch reh gayi kismat mein hi meri
Ke tera saath mujhe mil na saka

Bahut chaha tujhe dil ki gehrayi se maine
Par shayad meri duaon mein asar kuch kam raha

Teri har khwahish ko dil se lagaya maine
Par Phir bhi mera har khwab adhura raha

Jaane kya khaami reh gayi mere pyaar mein
Jo mera hokar bhi tu mujhse duur raha

Ab kahan lekar jaoon iss toote dil ko
Jo har tukde mein teri tasvir sajata raha..
Logged
pinky
Guest
«Reply #50 on: December 20, 2006, 07:45:54 PM »
Bahut achche..majid!!

Daulat par fida hai har insan
iss khuda ki banayi qudrat mein..
Koi samajhta hi nahi ki
Daulat insaan ke liye bani hai
Insaan daulat ke liye nahi..
Logged
pinky
Guest
«Reply #51 on: December 29, 2006, 09:58:30 AM »
Bahut achche majid.
Itne dino baad yoindia par aayi hu,tumko fir se padh kar achcha laga dost!
Usual Smile
Logged
pinky
Guest
«Reply #52 on: January 01, 2007, 11:27:49 AM »
mujhe to tum jo bhi likhte ho pasand hi aata hai.. Usual Smile

Dard se kuch duur,
Teri panah mein baithi hoon..
Tanhayi se Kuch juda,
Teri mehfil mein aayi hoon..
Beqarari kuch kam hui,
Teri aawaz phir sun kar..
Main duniya saari bhool kar,
Teri Duniya mein aayi hoon..
Logged
paani
Guest
«Reply #53 on: January 03, 2007, 06:31:06 AM »
Bahut surur hai yahan to khub MAJID .. wonderful Pinky ji
Logged
pinky
Guest
«Reply #54 on: January 04, 2007, 07:13:23 AM »
Quote from: "majid"
Quote from: "pinky"
mujhe to tum jo bhi likhte ho pasand hi aata hai.. Usual Smile

Dard se kuch duur,
Teri panah mein baithi hoon..
Tanhayi se Kuch juda,
Teri mehfil mein aayi hoon..
Beqarari kuch kam hui,
Teri aawaz phir sun kar..
Main duniya saari bhool kar,
Teri Duniya mein aayi hoon..


meri suni zindagi ko ek sahaara mil gaya.
be wajah jita tha ab jine ka bahana mil gaya.
be maza be rang thi ye mehfil bhi yahan.
aap aaye to ek ajib se rangat aa gayi yahan..



sorry aaj kuch ban nahi raha
jaise aaya waisa likh diya hai heheh


ek dum mast likha hai dear!!
Usual Smile
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #55 on: January 07, 2007, 01:33:54 PM »
Dard dene ka silsila chalta raha unka ye to naseeb tha,
Nafrat unse hi hui humko jo dil ke sabse kareeb tha ...
Logged
pinky
Guest
«Reply #56 on: January 25, 2007, 07:26:18 PM »
Aapko dhoondti hain nazrein saare jahan mein
Shayad aap hi humse milna nahi chahte..
Yun to kehte hain humein Dost apna..
Par shayad humse kuch aur kehna nahi chahte..
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #57 on: January 28, 2007, 04:17:02 PM »
Humsafar hota koi to baant lete dooriya,
Raah chalte log kya samjhe meri majbooriya,

Muskurate khwaab chunti gun-gunati ye nazar,
Kis tarah samjhe meri qismat ki na-manzooriya,

Haadso ki bhid hai chalta hua ye karawaan,
Zindagi ka naam hai lachariyaan-majbooriya,

Phir kisi ne aaj chheda zikr-e-manzil is tarah,
Dil ke daaman se lipatne aa gayi hai dooriya ...
Logged
pinky
Guest
«Reply #58 on: January 29, 2007, 10:05:53 PM »
Bahut khoob JHL..!!

Quote
Haadso ki bhid hai chalta hua ye karawaan,
Zindagi ka naam hai lachariyaan-majbooriya,


Bahut achchi lines hain!!
Logged
pinky
Guest
«Reply #59 on: January 31, 2007, 06:49:54 PM »
hmm..
janaab aate hain aur tareef karke chale jaate hain..
good hai..!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:52:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer