khaamoshi aur garjna

by Prateek Mardia on April 29, 2008, 07:32:50 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2345 times)
syednaami
Guest
«Reply #15 on: May 03, 2008, 01:50:22 PM »
Buhat, achha kaha Sonia baba, tum har baat sach kehti ho. Good.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #16 on: May 05, 2008, 04:19:17 PM »
Shrimati Pooja, aap ne badhiya kavita likh uttar saral bhasha se diya.
Badhai
  icon_thumleft

Shukaria SyednaaMI JI!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: May 05, 2008, 04:20:31 PM »
Arre bhaiya, Pooja didi ko pata hai mujh jaise log bi
shayri padne ka shauk rakhte hai. Poora vakiya shudda
hindi (urdu) pe likha to dictionary ko refer karke
samajne main waqt lagjata hai...

Hands off pooja di...

Thanks Dear Sonia!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #18 on: May 05, 2008, 04:21:25 PM »
Teinku ji  tongue3
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #19 on: May 06, 2008, 08:25:07 PM »
Prateek ji, apki kavita ko samjhne mai kuch waqat lag gaya... magar jab samjh mai aai to shabd nahi bayan karne ke liye ki kaise mehsoos hua... bahoot hi gahari vedna hai apki is kavita main... ussi vedna ko najar mai rakhte hue ek koshish meri taraf se.. app jitna gahra likhna nahi atta.. so apne sadharan shabdo se likh rahi hu.

Raho her pal mere hi sung, itna hi to chaha tha
Kyun mere ansuo main, tujhe, apni tasveer, najar nahi aai
[/color]

Kuch koshish kar raha hu,samay lagega..

Kaise dhoondta tere ashkon mein apni he tasveer
maine dua maangi teri khushiyon ki hurdum
aur tu nirantar bahaati rahi neer!

Prateek


Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: May 06, 2008, 08:30:35 PM »

Kaise dhoondta tere ashkon mein apni he tasveer
maine dua maangi teri khushiyon ki hurdum
aur tu nirantar bahaati rahi neer!

Prateek

wah wah wah .... kitne asaani se app kitana gahra likh gaye. Such main Prateek ji apse bahoot sikhne ko mil raha hai... bahoot gahari soch ke sath app bahoot acha likhte hai. Apki kavitao ka intzaar rahta hai!!

Meri khushia hai tumse, kaise yah samjhau
shabd lagne lage jab mere khokhle tumhe,
To neer sung, apne dil ki peera sunaau!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #21 on: May 06, 2008, 08:57:41 PM »
Kuch koshish kar raha hu,samay lagega..

Kaise dhoondta tere ashkon mein apni he tasveer
maine dua maangi teri khushiyon ki hurdum
aur tu nirantar bahaati rahi neer!

Prateek

Ashru ke bhitar bhi ek vishesh katha arpit, -
Prarthana se hi paaya uska hardik sahachaar, -
Kyunkar nain banaun neer jab priya man samarpit. -



(Syed Naami)
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #22 on: May 06, 2008, 09:04:59 PM »
Meri khushia hai tumse, kaise yah samjhau
shabd lagne lage jab mere khokhle tumhe,
To neer sung, apne dil ki peera sunaau!!!

sadev samjhaane ki chaahat
 aur kabhi na samjhne ki aadat
kaise koi peera jhalkayegi
kabhi shareek ho kar dekh
 meri choti choti khushiyon mein
teri peera bhee gungunayegi!

Prateek
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: May 06, 2008, 09:05:37 PM »
Ashru ke bhitar bhi ek vishesh katha arpit, -
Prarthana se hi paaya uska hardik sahachaar, -
Kyunkar nain banaun neer jab priya man samarpit. -



(Syed Naami)

wowow yah hui na baat.. shudh hindi ka jawab ati shudh hindi se..

Mujh jaise nirbudhi praani yah gayan kaha se laaye
Jaise bhi ban paaye mujhse, waise hi likh jaaye tongue3
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: May 06, 2008, 09:16:40 PM »
Wah kaya baat hai.. dil ko chu rahe hai apke likhe yah shabd!!! Jitna likhna acha lag raha hai.. utna hi ek dar bhi..

Meri peera jo samjhte, to aise chup na rahte
Kabhi to sunte meri, kabhi to meri sahte
Bhukhi hogi main, yah jaan kar bhi khana baher na khate
Mujhe dekh intzaar main, kahin aor jakar na so jaate!!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #25 on: May 06, 2008, 09:22:13 PM »
sadev samjhaane ki chaahat
 aur kabhi na samjhne ki aadat
kaise koi peera jhalkayegi
kabhi shareek ho kar dekh
 meri choti choti khushiyon mein
teri peera bhee gungunayegi!



Teri chaahat bani mera saahas, -
Tu samjhaaye to mile mujhe aathat, -
Meri peeda ka tu hi hai aushadh, -
Teri sangat mere man ki raahat, -
Tere men paas rahun har kshan, -
Tera sneh bane meri poojan. -

(Syed Naami)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: May 06, 2008, 09:24:45 PM »
wow kaya baat hai...
man itna shrminda ho raha hai app dono ki shudh hindi pard pard kar ki yaha likhna he chord du...

magar adat se majboor hu.. quit karna kabhi sikh nahi paai..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #27 on: May 06, 2008, 09:28:46 PM »
wow kaya baat hai...
man itna shrminda ho raha hai app dono ki shudh hindi pard pard kar ki yaha likhna he chord du...

magar adat se majboor hu.. quit karna kabhi sikh nahi paai..

Aap hi ka aadha reply copy paste karta hun.

magar adat se majboor hu.. quit karna kabhi sikh nahi paaya..
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #28 on: July 09, 2008, 07:20:29 PM »
wah ji wah .......mai durbhagy-wash ye nahi padh paya....par atyant hardik sukh ke sath sabhi logon ko dhanywad......
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #29 on: July 09, 2008, 07:35:02 PM »
bekarar ji,

samay lagaane ka tahedil se shukriya.durbhagya un kavitaon ka hein jo aap tuk nahi pahuchi,yadi kavita mein  goonj hoti to jahaan sunta aur gungunaata.ek chota sa prayaas tha...aur chunki khud ka janma shishu har kisi ko priy hota hein,isliye aap ko show-off kur raha tha!

Prateek
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 04:07:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer