deepak_dux
Guest
|
zindagi jaise tawaqo thi nahi kuch kam hai har ghadi hota hai ahsas kahi kuch kam hai
ghar ki tamir to tasawwur he me ho sakti hai apne nakshe ke mutabik ye jamin kuch kam hai
bichde logo se mulaqat kabhi fir hogi dil me ummeed to hai yaki kuch kam hai
ab to lagta hai ki is duniya me kahi kuch chiz jyaada to kahi kuch kam hai
aaj bhi hai teri duri hi udasi ka sabab ye alag baat hai pehli si nahi kuch kam hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Naya_Daur
Guest
|
|
«Reply #1 on: September 05, 2006, 03:44:58 PM » |
|
Achha Likha Deepak ji... welcome to YoIndia!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
deepak_dux
Guest
|
|
«Reply #2 on: September 06, 2006, 04:07:10 AM » |
|
Thx desire this is a begining
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Naya_Daur
Guest
|
|
«Reply #3 on: September 06, 2006, 05:00:29 AM » |
|
abhi toh agaaz huya hai dost sham dhalna baki hai.... Paimana abhi toh honth se chua hai Botal ka Nasha hona abhi baki hai ....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
«Reply #4 on: September 06, 2006, 01:57:09 PM » |
|
Bahoot Khoob Deepak Bhai And Jeet Bhai Acchi Mehfil Jamaai Hai ..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Naya_Daur
Guest
|
|
«Reply #5 on: September 06, 2006, 02:47:57 PM » |
|
Azzem Dost....
Jis jagah baith jatein hain kuch lamhon ko yaad karte hain Na dhalti hai sakoon se zindagi ki sham aor mehfil mein Jam pe Jam Chalakte hain....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
«Reply #6 on: September 06, 2006, 02:52:01 PM » |
|
Azzem Dost....
Jis jagah baith jatein hain kuch lamhon ko yaad karte hain Na dhalti hai sakoon se zindagi ki sham aor mehfil mein Jam pe Jam Chalakte hain....
Nice One Again Bhai,..
Tumne Dekha Hai Mehfil Mein Chalakte Jaamo Ko,.. Humne To Bujhti Hui Shama Aur Tadapte Hue Parwaane Ko Dekha Hai,. Kehte Ho Tum Hume Ke Doston Par Yakheen Kar Lo,.. Humne To Yaar Aazmaane Is Zamaane KO Dekha Hai..
______________________________-Jaanasheen-
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Naya_Daur
Guest
|
|
«Reply #7 on: September 06, 2006, 02:57:18 PM » |
|
Rangat wahi hai mehfil mein par andaz-e-byaan hai kuch alag sa dil-e-taradap wahi hai,dost par dard-e-nazar hai kuch alag sa....!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
deepak_dux
Guest
|
|
«Reply #8 on: September 07, 2006, 05:57:08 AM » |
|
apne naseeb ki lakeeron ko kaise chupaoge humse dur ab kaise ja paoge hum to khusbu ki tarah teri saanson main hai base dur jaane ke liye humse,apni saanson ko kaise mitaoge
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roshni246
Guest
|
|
«Reply #9 on: September 07, 2006, 01:35:39 PM » |
|
bohot khoob deepak ji...janasheen and jeet..
jal gaye the aaj hum jazbon ki aag se alfaaz dar rahe hai aaj ye kis khayaal se
zakhmo ke saath hum yun paidal hi chal gaye pochein pata tera hum apne hi aap se
dard ka yeh safar hume le jaiyega kahan? laot ayenge fir bhi khali haath tere daar se
khwaab main bhi hum dhondte the chehra jiska dekh ke woh choop gaya paas ki diwaar se
maangte hi reh gaye pyaar ka iqraar unse woh milne aye the aaj kisi aur yaar se
ret ke pairo ke nisha denge tujhko mera pata tum milne ajana kabhi apne beete pyaar se....
~roshni~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
deepak_dux
Guest
|
|
«Reply #10 on: September 07, 2006, 03:08:35 PM » |
|
wakai aapki baat mere dil ko chu gayi hai aur aapke agle nagme ka intejaar karunga. Thx for this wonderful share of your heart.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roshni246
Guest
|
|
«Reply #11 on: September 07, 2006, 03:12:12 PM » |
|
wakai aapki baat mere dil ko chu gayi hai aur aapke agle nagme ka intejaar karunga. Thx for this wonderful share of your heart. aap kiske nagme ki baat karrahe ho???
|
|
|
Logged
|
|
|
|
deepak_dux
Guest
|
|
«Reply #12 on: September 07, 2006, 03:33:20 PM » |
|
aapke nagme ki roshni ji hosh me nahi hun na hi be hosh hun main Be wajah nahi per ha khamosh hun main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roshni246
Guest
|
|
«Reply #13 on: September 08, 2006, 12:34:18 PM » |
|
aapke nagme ki roshni ji hosh me nahi hun na hi be hosh hun main Be wajah nahi per ha khamosh hun main yeh maine apni ek saheli k saath likhi hai...! unhe mere dil ki awaaz suna de khuda mujhko meri mohabbat dila de main hun ab akeli woh hogaye juda kyu? mere maliq mujhe mera pyaar dila de unhe mere dil ki tadapti pukaar suna de
tuta mera dil kyu mere sanam se meri wafa ki laaj bachale door mujhse kyu mera pyaar hawa hai khuda tu hi jane hai ye pyaar hai sacha mere moala tu unhe ye ehsaas dila de main kab tak yuhi rooz rooz marungi bina unke main ab kaise jiyungi rahem mujhpe kar allah koi raasta dikhade unhe mere dil ki awaaz suna de
ye dil ki ghutan meri na ab sahoon main ho bimaar unki...unhise dawa dila de jo kerte the pyaar woh kyu aaj dil ko dukhate hain?? woh mudat se humko kyu na milpate hain?? unhe mere paas tu wapis bula de
mere rab meri mohabbat se tu na juda kar rahem karne wala hai tu rahem bas itna dikhade meri khushi meri zindagi hai jo un khushiyon se mujhko rabba milade
tujhpe aqida hai tu mera khuda hai ye gum ke saye allah ab hatade main kisse kahun jo dard mujhe hota hai bina unke har aanso mujhe chubta hai unhe bas ey khuda phir mera banade
tu hai karishme wala tu hai harsu mujhe ye karishma tu allah dikhade unhe mere dil ki awaaz suna de khuda mujhko meri mohbbat lautade
~roshni&neeti
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|