::Khamosh thhi,khamosh hi reh jayegi ye mohabbat::

by nidhi_yadein on September 27, 2005, 05:18:28 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 6172 times)
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
"Na ye chahat rakhi thi kabhi ki tum sirf mere hi bano,
 main to hamesha bas tujhe chaahti rahi thhi,

 na ye arzoo ki kabhi ki mere pyaar ka jawaab do,
 sirf pyaar hi pyaar se main dekhti tujhe rahi,

 ek ehsaas tha dil me jo tujhe dekh jaag uthta tha,
 us ehsaas ko khamoshi se mehsoos karti gayi,

 teri hi rahon me thi,bas tere kareeb rehne ko,
 tu dekh na sake mujhe,chup chup tujhe nihaarti rahi,

 guzar gaye din,guzar gaye kai saal aise hi,
 tere hi khwaab aankhon me sajaati rahi,

 na chaha kabhi ye khwab tum aakar poore karo,
 dil ke armaan dil me paida kar wahin todti rahi,

 khamosh lafz,khamosh aankhein,khamosh zindagani,
 is tarah waqt ke saath main jeeti gayi,

 jaanti thhi tootenge ye pyaar ke khwab ek din,
 isliye inhe khud bun khud hi main bikherti gayi,

 tu hai aaj kisi aur ka,lekin main hun sirf teri,
 apni pyaar bhari duniya me tujhe basaati gai main,

 na tujhe kal khabar thhi,na aaj khabar hai ye,
 muskuraahat me har ek ashq peeti gayi main,

 meri chahat thhi bas yahi ki tujhe chaahti rahoon,
 teri khushiyon ko tere kareeb rehke nihaarti rahun,

 jaanti thhi agar maine ikraar kar diya mohabbat ka,
 na koi rishta reh paayega phir tere kareeb rehne ko,

 ek maamooli dost bankar hi sahi,manzoor tha mujhe,
 bas teri zindagi me rehne ko pyaar dabaati rahi,

 teri awaaz sun sakoon,tujhse baat kar sakoon,
 is khaatir nigaahon ko apni khamosh karaati gayi,

 jo tujhe pata chal jaata kitni mohabbat hai tumse,
 jaanti hun,phir na koi apna rishta reh paata,

 chup chup ke sahi ye pyaar nibhaaungi zindagi bhar,
 khamosh thhi,khamosh hi reh jaayegi ab ye mohabbat."
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ek khamosh mohabbat.......... by diya786 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Meri Khamosh mohabbat by amarjawed in Shayeri for Dard -e- Bewafai
*****''khamoshi''******** by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
khamosh! by K.H.U.S.H.I in SMS , mobile & JOKES
!!__-KhaMosh-__!! by khamosh.larka in Shayri for Khumar -e- Ishq
ajnabi musafir
Guest
«Reply #1 on: September 27, 2005, 05:40:24 PM »
Bhaut khoob Nidhi Ji.... Bade hi Dil si Likha hai.

Pradeep
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: September 27, 2005, 05:48:21 PM »
Bohat khoob Nidhi.... kya baat hai...
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #3 on: September 27, 2005, 05:49:27 PM »
Thanx a lot pradeep ji Usual Smile .Shayri hi to hai jisme poore dil se likh sakte hain;) warna kahan har kaam me dil ki baat maani jaa sakti hai.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #4 on: September 27, 2005, 06:00:28 PM »
Quote from: "Aryaan"
Bohat khoob Nidhi.... kya baat hai...


thanx a lot Aryaan Usual Smile .
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: September 27, 2005, 06:11:15 PM »
wah bahoot khoobsoorat likha hai nidhi!!


Khamoshi meri, meri hi dushaman ban gai
chaha jise, uke aor mere bich ki deewar ban gai
sajhaty rahe, samjhegy wo kabhi to haal-e-dil hamara
issi soch mai, tamam umar, unka haal-e-dil sunati rahi!!!
Logged
Sweetgirl
Guest
«Reply #6 on: September 29, 2005, 01:45:00 PM »
Too good Nidh Ji!!

You made me emotional yaar!!!!



Quote from: "nidhi_yadein"
"Na ye chahat rakhi thi kabhi ki tum sirf mere hi bano,
 main to hamesha bas tujhe chaahti rahi thhi,

 na ye arzoo ki kabhi ki mere pyaar ka jawaab do,
 sirf pyaar hi pyaar se main dekhti tujhe rahi,

 ek ehsaas tha dil me jo tujhe dekh jaag uthta tha,
 us ehsaas ko khamoshi se mehsoos karti gayi,

 teri hi rahon me thi,bas tere kareeb rehne ko,
 tu dekh na sake mujhe,chup chup tujhe nihaarti rahi,

 guzar gaye din,guzar gaye kai saal aise hi,
 tere hi khwaab aankhon me sajaati rahi,

 na chaha kabhi ye khwab tum aakar poore karo,
 dil ke armaan dil me paida kar wahin todti rahi,

 khamosh lafz,khamosh aankhein,khamosh zindagani,
 is tarah waqt ke saath main jeeti gayi,

 jaanti thhi tootenge ye pyaar ke khwab ek din,
 isliye inhe khud bun khud hi main bikherti gayi,

 tu hai aaj kisi aur ka,lekin main hun sirf teri,
 apni pyaar bhari duniya me tujhe basaati gai main,

 na tujhe kal khabar thhi,na aaj khabar hai ye,
 muskuraahat me har ek ashq peeti gayi main,

 meri chahat thhi bas yahi ki tujhe chaahti rahoon,
 teri khushiyon ko tere kareeb rehke nihaarti rahun,

 jaanti thhi agar maine ikraar kar diya mohabbat ka,
 na koi rishta reh paayega phir tere kareeb rehne ko,

 ek maamooli dost bankar hi sahi,manzoor tha mujhe,
 bas teri zindagi me rehne ko pyaar dabaati rahi,

 teri awaaz sun sakoon,tujhse baat kar sakoon,
 is khaatir nigaahon ko apni khamosh karaati gayi,

 jo tujhe pata chal jaata kitni mohabbat hai tumse,
 jaanti hun,phir na koi apna rishta reh paata,

 chup chup ke sahi ye pyaar nibhaaungi zindagi bhar,
 khamosh thhi,khamosh hi reh jaayegi ab ye mohabbat."
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #7 on: September 29, 2005, 06:13:20 PM »
thanx a lot sweet girl Usual Smile .

Wah pooja ji,bohat acha likha hai aapne Usual Smile and thanx a lot.

"Khamoshiyon ka mere kabhi ho sake to jawaab de jaana,
      maang rahi hun hisaab aaj meri chahaton ka,de jaana,
      aajtak na maanga kuch bhi khuda se maine tere siwa,
      kabhi aakar tu bhi mujhse roobaroo ho jaana."
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: September 29, 2005, 06:14:35 PM »
shukariyan nidhi....

bahoot acha likha hai apne!!!
Logged
sanya310
Guest
«Reply #9 on: September 30, 2005, 12:13:00 PM »
bohot hi achhe nidhi, very nice pooja!!!

toofan se dil mein uthe hain
ek dard jigar mein hota hai
main raaton mein uth kar roti hoon
jab chain se aalam sota hai..

nm
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #10 on: September 30, 2005, 01:53:11 PM »
thanx a lot  pooja ji and sanya,nice one sanya Usual Smile .

"Aaj nazar hai khamosh,kisi ka aks dikhaai diya hai,
      dil me bohat se sawaal hain,koi barson baad dikhai diya hai,
      jise bhool jaane ki itni koshish karti hun main,
      kyun is nayi zindagi me uski parchaai aaj bhi hai."
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #11 on: September 30, 2005, 02:13:52 PM »
gr8 all n ....gr8 one nidhi................!!! wow haan


Dil mein aaj  sawal uth rahe hai
Kya humne pyar kar k khata ki hai
Iss kadar wo durr hogaye hai
Aaj phir dil ke jazbat tod diye hai
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #12 on: September 30, 2005, 05:26:51 PM »
Thanx a lot Salma Usual Smile and very nice written.
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #13 on: September 30, 2005, 07:22:10 PM »
awwwww ..........omg............u all wrote so good........keep it up!!!!!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: September 30, 2005, 07:29:33 PM »
dil-e-nadan ko samjhaye kaise
jo nahi hai, usko wapis laye kaise
kuch palo ki hansi ke badle
jo de gaya, jeevan bhar ka gum
usse hi yah ansoo dikhaye kaise!!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 07:46:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer