::Khamosh thhi,khamosh hi reh jayegi ye mohabbat::

by nidhi_yadein on September 27, 2005, 05:18:28 PM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 6160 times)
TOUCHY
Guest
«Reply #30 on: October 08, 2005, 11:16:09 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "nidhi_yadein"
"Na ye chahat rakhi thi kabhi ki tum sirf mere hi bano,
 main to hamesha bas tujhe chaahti rahi thhi,

 na ye arzoo ki kabhi ki mere pyaar ka jawaab do,
 sirf pyaar hi pyaar se main dekhti tujhe rahi,

 ek ehsaas tha dil me jo tujhe dekh jaag uthta tha,
 us ehsaas ko khamoshi se mehsoos karti gayi,

 teri hi rahon me thi,bas tere kareeb rehne ko,
 tu dekh na sake mujhe,chup chup tujhe nihaarti rahi,

 guzar gaye din,guzar gaye kai saal aise hi,
 tere hi khwaab aankhon me sajaati rahi,

 na chaha kabhi ye khwab tum aakar poore karo,
 dil ke armaan dil me paida kar wahin todti rahi,

 khamosh lafz,khamosh aankhein,khamosh zindagani,
 is tarah waqt ke saath main jeeti gayi,

 jaanti thhi tootenge ye pyaar ke khwab ek din,
 isliye inhe khud bun khud hi main bikherti gayi,

 tu hai aaj kisi aur ka,lekin main hun sirf teri,
 apni pyaar bhari duniya me tujhe basaati gai main,

 na tujhe kal khabar thhi,na aaj khabar hai ye,
 muskuraahat me har ek ashq peeti gayi main,

 meri chahat thhi bas yahi ki tujhe chaahti rahoon,
 teri khushiyon ko tere kareeb rehke nihaarti rahun,

 jaanti thhi agar maine ikraar kar diya mohabbat ka,
 na koi rishta reh paayega phir tere kareeb rehne ko,

 ek maamooli dost bankar hi sahi,manzoor tha mujhe,
 bas teri zindagi me rehne ko pyaar dabaati rahi,

 teri awaaz sun sakoon,tujhse baat kar sakoon,
 is khaatir nigaahon ko apni khamosh karaati gayi,

 jo tujhe pata chal jaata kitni mohabbat hai tumse,
 jaanti hun,phir na koi apna rishta reh paata,

 chup chup ke sahi ye pyaar nibhaaungi zindagi bhar,
 khamosh thhi,khamosh hi reh jaayegi ab ye mohabbat."


wow   wow  wow  amazing  yaar  Nidhi......   poori  dil  ki  kitaab  tumne khol  kar  rakh  diya,,,,........    nice  work  all  friends........   keep  it  up..


WOW!!! WONDERFULL NIDHI VERY NICE........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ek khamosh mohabbat.......... by diya786 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Meri Khamosh mohabbat by amarjawed in Shayeri for Dard -e- Bewafai
*****''khamoshi''******** by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
khamosh! by K.H.U.S.H.I in SMS , mobile & JOKES
!!__-KhaMosh-__!! by khamosh.larka in Shayri for Khumar -e- Ishq
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #31 on: October 08, 2005, 05:43:01 PM »
Quote from: "Aryaan"
Kya baat hai Nidhi....

Woh mila tau sadiyon baad bhi mere lab pe koi gilaa na tha
Usey meri chup ne rulaa diya jise guftugo mein kamaal tha
Mujh se mil kar woh ro diya, faqat itna hi woh keh saka
Jise jaanta tha main zindagi, woh tau sirf weham-o-khayaal tha


Thanx Pooja ji,bond,waheed,touchy and aryaan Usual Smile .And bohat khoob Aryaan.

"Aaj is pal me use wehem-o-khayaal na karaar do,
      zindagi bita di hai tumne usi ke to pyaar me,
      bhoolta nahi kabhi koi pyaar ko apne jaante ho tum,
      phir kyun behla rahe ho khud ko,zindagi ke intezar me."
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #32 on: October 08, 2005, 06:00:53 PM »
very  nice  Nidhi....Aryan...

na chahte  hue  bhi  woh bahot yaad aata hai
mere labon   ko woh  khamosh kar jaata hai
tanhaiyon  mein  bhi woh  aakar mujhe daraata hai
phir bhi na jaane kyon  mera  dil  use  bulaata hai..
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #33 on: December 21, 2009, 01:36:34 AM »
Wah wah Nidhi ji,great creation mujhe bahut pasand aayee aapke ye kavita.excellent.lovely lines by Pooja ji,Sanya ji,Aryaan ji,Waheed ji.Musafir ji.aap sabhi ne kamaal ke likha. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:00:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer