KHAT -- ruk na paaunga~~~ Saahil

by salil2002 on May 01, 2009, 06:47:11 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 983 times)
salil2002
Guest
doston yeh ek aise bande k emotions hai jo cancer kii last stage par hai....jiski zindgi kissii bhi pal khatam ho sakti hai.... shayad aap sabko pasand aaye


ekkhat likh raha hoon main tere naam ka
jab na rahoonga main toh pad lena ise
chaha tha tujhko dil se maine har lamha
jab kabhi mohabbat pe na ho aetbar pad lena ise

mere jaane ka matlab nhin kii khatam ho gayi duniya
nhin isk matlab nahin kii tu apni saanson ko rok le
maine kiye thay jo vade, kar na saka unka poora
iska matlab nahin kii tu duniya se mooh mod le

mujhe kya ilm tha kii ab chand lamhon kii jindgani hai
kudrat k aage chali kiski manmaani hai
mujhe bhula kar , ghar basa lena tu
is duniya main jo chala gaya, oose yaad rkhna bemaani hai

is baar nahin ho saka tera , magar agli baar jab aaunga
apne khuda se meri dulhan maang tujhe hi aaunga
tab poore karoonga tere sapne aur teri khwahishe
abhi jaane de, farishte aye hi ab aur ruk na paaunga

is khat ko bhi pad kar jala dena
warna yeh tumhe yaad meri dilaayega
nahin chahta mere baad bhi tu mujhe yaad kar k roye
tera har aansu, "saahil" ko hazaar maut maar jaayega

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Saahil by Azedmeer in Critics and Review only Forum
saahil ki tadap by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
**** HAADSA ****~~~Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
WOH SHARAABI---- SAAHIL by salil2002 in Shayri-E-Dard
Isse Zyada Kuch Nahin Keh Paaunga.......................................Quateel by Quateel Ahmad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
angel4u
Guest
«Reply #1 on: May 01, 2009, 06:51:19 AM »
Beautiful Salil.
Tum har baar ek naya topic laate ho, jisse hum usi situation ko imagne karne lagte hia jis situation ki ye poem hoti hia. and that really counts when you get deeply involved in the poem and start putting yourself in that particular situation. You always do that by your wonderful structure of words and amazing emotions.

Keep writing...
Waiting for the nextpoem by you...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: May 01, 2009, 08:02:06 AM »
doston yeh ek aise bande k emotions hai jo cancer kii last stage par hai....jiski zindgi kissii bhi pal khatam ho sakti hai.... shayad aap sabko pasand aaye


ekkhat likh raha hoon main tere naam ka
jab na rahoonga main toh pad lena ise
chaha tha tujhko dil se maine har lamha
jab kabhi mohabbat pe na ho aetbar pad lena ise

mere jaane ka matlab nhin kii khatam ho gayi duniya
nhin isk matlab nahin kii tu apni saanson ko rok le
maine kiye thay jo vade, kar na saka unka poora
iska matlab nahin kii tu duniya se mooh mod le

mujhe kya ilm tha kii ab chand lamhon kii jindgani hai
kudrat k aage chali kiski manmaani hai
mujhe bhula kar , ghar basa lena tu
is duniya main jo chala gaya, oose yaad rkhna bemaani hai

is baar nahin ho saka tera , magar agli baar jab aaunga
apne khuda se meri dulhan maang tujhe hi aaunga
tab poore karoonga tere sapne aur teri khwahishe
abhi jaane de, farishte aye hi ab aur ruk na paaunga

is khat ko bhi pad kar jala dena
warna yeh tumhe yaad meri dilaayega
nahin chahta mere baad bhi tu mujhe yaad kar k roye
tera har aansu, "saahil" ko hazaar maut maar jaayega
Applause Applause What a marvellous piece this is...beautiful...Its appreciatable and i would like to say that Saahil bro...u must rite more n more...Well done... Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: May 01, 2009, 08:19:36 AM »
Bohat khoob Salil... agar koi ise sachche dil se padhe to jo gile shikwe hain mita kar apno ko gale se laga le.....Bohat khoob. Khuda tumhe khush rakhe....
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #4 on: May 01, 2009, 08:44:20 AM »
Very Nice Salil Bhai Applause Applause Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #5 on: May 01, 2009, 11:42:26 AM »
Bahut kamaal ka likha hai dear bro... so agonizing...

Kyun dard men likh rahe ho devaanavaar,
Kya kisi ne dukh puhunchaya tumken bar bar,
Khush rahne se hi zindagi barhti hai,
Gham men jiyoge to rote rahoge zaron-zar...


Syed

Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: May 01, 2009, 12:25:26 PM »
Beautiful Salil.
Tum har baar ek naya topic laate ho, jisse hum usi situation ko imagne karne lagte hia jis situation ki ye poem hoti hia. and that really counts when you get deeply involved in the poem and start putting yourself in that particular situation. You always do that by your wonderful structure of words and amazing emotions.

Keep writing...
Waiting for the nextpoem by you...


apne toh bahut hi zyda izzat de di mujhe huzen.......koshish kroonga kii pko ge aur bhi behtr padne ko deta rahoon
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: May 01, 2009, 12:26:34 PM »
Applause Applause What a marvellous piece this is...beautiful...Its appreciatable and i would like to say that Saahil bro...u must rite more n more...Well done... Applause


shukriy rahim bhai apko apni thread par dekh kar yekeen aata hai ki sach main maine achcha likha hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: May 01, 2009, 12:34:59 PM »
Bohat khoob Salil... agar koi ise sachche dil se padhe to jo gile shikwe hain mita kar apno ko gale se laga le.....Bohat khoob. Khuda tumhe khush rakhe....
Very Nice Salil Bhai Applause Applause Applause
shukriya sajid bhai jo aapne is kadar baareeki se pada aur saraha mujhe,,,,,,,,,,,

pank bhai aapkii daad ko sar jhuka kar qabool karte hain
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: May 01, 2009, 12:39:07 PM »
Bahut kamaal ka likha hai dear bro... so agonizing...

Kyun dard men likh rahe ho devaanavaar,
Kya kisi ne dukh puhunchaya tumken bar bar,
Khush rahne se hi zindagi barhti hai,
Gham men jiyoge to rote rahoge zaron-zar...


Syed



syed bhai kaise ho aap bahut dino k bad aaye hain meri thread par....bahut hi khoobsurat tareeke se sawaal kiya hai jawaab bhi waise hi dene kii koshish karta hoon



zindgi oosi roz khatam kar di jab hath mohabbt mein nakami aayi
yeh dard jo bayaan karta hoon , yeh mer nahin kissii aur ka hai
apni toh zindgi ko har gham se azaad kar diya maine
ab toh likhta hoon oos dard ko,jo sabki nazar se dikhta hai
Logged
syednaami
Guest
«Reply #10 on: May 01, 2009, 12:45:25 PM »
Bahut khoob javab paish kiya hai...
Arz hai...

Ilaaj kuchh is tarah kar ke dard mite,

Marz ko bayaan karne se dil hi dukhe...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: May 01, 2009, 12:53:20 PM »
jawaab nahin bhai jaan aapka mujhe lajawab kar dete ho par aise hi haar nahin maanoonga
 
     dard ka ilaaj hota, toh har koi yoon na mohtaaj hota
    har heer kisi ki mehbooba, har ranjha kissii ka sartaaj hota
     yahan toh mohabbat ko pesha banaya hai logon ne
    bayaan na karta dard ko , toh deewana aaj bhi rota
Logged
syednaami
Guest
«Reply #12 on: May 01, 2009, 01:14:43 PM »
Aise hi dhava bolte raho, haar aur jeet ka savaal to paida hi nahin hota, main to sath de raha hun dear...

Falsafi baaton se zakhm bhare nahin jaate,
Aashiqon ki misaalon se ilaaj kiye nahin jaate,
Naam-e-muhabbat itna chhota nahin mere yaar,
Hosh kho kar kabhi dard mitaye nahin jaate...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: May 05, 2009, 01:30:28 PM »
Aise hi dhava bolte raho, haar aur jeet ka savaal to paida hi nahin hota, main to sath de raha hun dear...

Falsafi baaton se zakhm bhare nahin jaate,
Aashiqon ki misaalon se ilaaj kiye nahin jaate,
Naam-e-muhabbat itna chhota nahin mere yaar,
Hosh kho kar kabhi dard mitaye nahin jaate...



dard mit jaaye mere dil ka toh hosh main aaun
mit jaaun mohabbat mein toh misaal ban jaun
yoonhi nahin kehta kii duniya mein dard bahut hai
muskurata hoon ek wajah se, tu kahe toh ashq dikhaun
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:26:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.156 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer