...~~khawab toot'te hain seeshon ki tarah~~...

by HumTum on May 25, 2005, 06:11:48 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 985 times)
HumTum
Guest
DostooN ...... kuch tottey huye khawab le ke phir ik baar aap ki bazm mein hajir hua hoon ... !! dil ne ik kafir se waffa ki aur badley mein kya paya .... apni yeh halaat aapke samney bayaaN karna chahta hoon !!

dil ne chaha toh bahot, daud ke chale aane ko,
kadam tham se gaye, ruki hui dhadkan ki tarah!

hum kaise karein kisi se, haal apna bayaan,
hothon par daraarein aa gayee, rishton ki tarah!

dil ne kitna samjhaya, mat nibhao itni wafa,
dost phir bhi milenge tumhe, dushman ki tarah!

kabhi aankhon se, kabhi ishaaron se bayaan kiya,
woh chup chaap hi raha, kisi patthar ki tarah!

raah mein rukna aadat nahin, laut jaana fitrat nahin,
chalte rehte hain hum, kisi behte dariya ki tarah!

kya socha kya hua, kyun socha kyun khoya,
jaante nahin the, khawab toot'te hain seeshon ki tarah!!

HumTum

Logged
Meena
Guest
«Reply #1 on: May 25, 2005, 06:17:31 PM »
wah humtum ji!!!!! brillient!!!!!!!!!!!!! ek ek lafz dil ko chu gaya, i cant even tell ke yeh poem kitni pasand ayi mujhe!!! its beautifull!!!!!!!!!

(jawab socha tha, gum hogaya sad5  phir koi mielga to likhongi  :D )
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #2 on: May 26, 2005, 06:07:57 AM »
wah wah nice HumTum.........i agree w/ meena ji........ek ek line touched the heart.......ek dam true

Well trying to reply to uor shayer.......i am not at all good in replying tho sad5 ......anyways still and it dont rhyme etc..

Khaab tootna ke liya hota hai
Insaan beechadna ke liya hota hai
Khaab aur insaan main bas itna farak hai
donoo ba-waqt samundar ke tufaan tarha aata hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: May 26, 2005, 09:52:18 AM »
Quote from: "Meena"
wah humtum ji!!!!! brillient!!!!!!!!!!!!! ek ek lafz dil ko chu gaya, i cant even tell ke yeh poem kitni pasand ayi mujhe!!! its beautifull!!!!!!!!!

(jawab socha tha, gum hogaya sad5  phir koi mielga to likhongi  :D )


lafz nhi hai mere pass aap ka shukriya adaa karney ke liye kya kru sad5

kuch arz karta hoon !!!

ikraar naa kiya naa sahi is baat ka gham nahi ..
inkaar bhi to nahi kiya yeh bhi kam nahi
ek umeed hai dil mein ki woh izhaar karenge
yeh umeed hai to hum hain warna hum nahi

Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: May 26, 2005, 09:55:23 AM »
Quote from: "isha_verma7"
wah wah nice HumTum.........i agree w/ meena ji........ek ek line touched the heart.......ek dam true

Well trying to reply to uor shayer.......i am not at all good in replying tho sad5 ......anyways still and it dont rhyme etc..

Khaab tootna ke liya hota hai
Insaan beechadna ke liya hota hai
Khaab aur insaan main bas itna farak hai
donoo ba-waqt samundar ke tufaan tarha aata hai



Shukriya Isha ji Shukriya ... Apney bhi khoob likha hai !!

"HumTum" mat jaana aise safar main bina kisi pukar ke
abas to ye silsile hain aate jate bahar ke
kyoon roote ho yun game zindagi main ulajh ker
cahle jaoge kisi sab apne din gujar ke !!

Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: May 26, 2005, 11:29:39 AM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Meena"
wah humtum ji!!!!! brillient!!!!!!!!!!!!! ek ek lafz dil ko chu gaya, i cant even tell ke yeh poem kitni pasand ayi mujhe!!! its beautifull!!!!!!!!!

(jawab socha tha, gum hogaya sad5  phir koi mielga to likhongi  :D )


lafz nhi hai mere pass aap ka shukriya adaa karney ke liye kya kru sad5

kuch arz karta hoon !!!

ikraar naa kiya naa sahi is baat ka gham nahi ..
inkaar bhi to nahi kiya yeh bhi kam nahi
ek umeed hai dil mein ki woh izhaar karenge
yeh umeed hai to hum hain warna hum nahi



bohot ache!!!

umeedon ke tinko kaha mahal na bana "humtum"
hawaon ke rukh kabhi bhi badal sakhte hai!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: May 26, 2005, 11:31:49 AM »
Bohot khoob Humtum....... Meena ....... and Isha...
Logged
Meena
Guest
«Reply #7 on: May 26, 2005, 11:37:10 AM »
Quote from: "Talat"
Bohot khoob Humtum....... Meena ....... and Isha...


thank u!

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: May 26, 2005, 11:58:47 AM »
Quote from: "Meena"
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Meena"
wah humtum ji!!!!! brillient!!!!!!!!!!!!! ek ek lafz dil ko chu gaya, i cant even tell ke yeh poem kitni pasand ayi mujhe!!! its beautifull!!!!!!!!!

(jawab socha tha, gum hogaya sad5  phir koi mielga to likhongi  :D )


lafz nhi hai mere pass aap ka shukriya adaa karney ke liye kya kru sad5

kuch arz karta hoon !!!

ikraar naa kiya naa sahi is baat ka gham nahi ..
inkaar bhi to nahi kiya yeh bhi kam nahi
ek umeed hai dil mein ki woh izhaar karenge
yeh umeed hai to hum hain warna hum nahi



bohot ache!!!

umeedon ke tinko kaha mahal na bana "humtum"
hawaon ke rukh kabhi bhi badal sakhte hai!!!


Shukriya Talat ji ....

badal bhi jaye hawaayoOn ke rukh gham nhi "Meena"
ishq karney waley kab toofanoo se dra kertey hai!!
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #9 on: May 26, 2005, 05:38:41 PM »
wah wah humtum and meena ji..really WOW.......and talat ji thanks for appreciating even tho it wasnt worth appreciating
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #10 on: May 26, 2005, 10:09:45 PM »
koun raktha hai yaad naam ko,
log to chere bhool jatain hain.
log baat kertain hain samunder ki,
log to aankhon main doob jatein hai.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:37:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer