Khayal

by Pooja on June 14, 2006, 04:27:09 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
Print
Author  (Read 5661 times)
Naya_Daur
Guest
«Reply #60 on: June 15, 2006, 03:42:40 AM »
rehne do mujhe appni uljhano mein
na puch abb mere dil ka haal

kya naam bataun iss mehfil mein apne qatil ka
kiya hai jisne ajj mujhe be-haal ...!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek khayal .... ( Divya) by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
aaj koi khayal aaye na by saahill in Miscellaneous Shayri
Khayal ki Titli by dksaxenabsnl in Share Poetry You Like
Khayal..... by satish-Aman in Ghazals
Khayal by Lovely-Prince in Shayri for Dard -e- Judai
Naya_Daur
Guest
«Reply #61 on: June 15, 2006, 04:01:22 AM »
khud khoon ke ansu de kar
phir aapne anchal se ponchte ho

door karke mujhe ko appne app se
piche se pukarte ho

kuch toh kiya karo khayal tum mera
insaan hu main,jisse dard hota hai,koi khilona nahi

jab chahe hassa kar,jab chahe manna kar
appne liye sajaa lete ho.. !!!
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #62 on: June 15, 2006, 04:50:58 AM »
bahoot khoob Ranju and Jeet!!! bahoot acha likha hai app dono ne!!

Tujh bin jee na payegy, hum to sanam mar jayegy
Tu dhadkan hai is dil ki, na hona dil se juda......

Tu jaye to jaan bhi jaaye, tu to jaan hai meri
tujh bin kon pahchane mujko, Tu pahchan hai meri
hum to jahan bhi jayegy, tere hi kahalyegy
Tu dhadkan hai is dil ki, na hona dil se Juda
Tujh bin jee na payegy, hum to sanam mar jayegy...... (NM)
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #63 on: June 15, 2006, 05:12:27 AM »
jo chahte ho hume itna
toh kyun takrar karte ho

lagan hai jo mujhse itni
toh kyun dil par var karte ho

jee nahi sakte tujh bin hum bhi
yeh tum ko bhi khabar hai

toh phir kyun humko eh sanam
ashkon ki sughaat dete ho ....!!! :cry:  :cry:
Logged
ranjana
Guest
«Reply #64 on: June 15, 2006, 11:03:23 AM »
chora thaa daman hamne na fir kuch  mere haath aaya
yeh na puch ab mohabbat mein hamne kya khoya  aur  kya paaya
ab hai meri tanhai ka hai woh alam,
aaya tho bas baar baar tera hi khayal aaya

sapne na mere tute na sach hue
bas teri yaad mein aksar hamne khud ko paaya
ek aas hai jo tutati nahi ab bhi .......
per na tune kabhi hame apne pass roka aur na kabhi bulaya.............
Logged
imsujal
Guest
«Reply #65 on: June 15, 2006, 01:57:37 PM »
Nice one ranjana......................

Phirte hein mere woh khayalon mein abhi tak
Tadapte hue jo mujhko yahan chor gaye they
Har taraf mayusiyon ka aaalam hai abhi tak
Ghum aisa woh mujhko yahan deke gaye they
Sabr bhi mujhko na aya hai abhi tak
Saza aashiqui ki mujhko who yahan deke gaye they
Jeena nahi aaya hai bina unke abhi tak
Jaane kiske sahare mujhe yahan chod gaye they
Logged
Pooja
Guest
«Reply #66 on: June 15, 2006, 07:52:45 PM »
Khayalo se khud ko bahlaya nahi jaata
Ahsaas tera kahi dubaya nahi jaata
Dard ki nagari hai, dard bhara her ghar lagta hai
Khayalo mai bhi, tera aks dhundhala lagta hai

Khushi ke naam per her taraf andhera najar atta hai
Kis se karu baat, her koi khushi ka bheekhari najar atta hai
Khayal bhi ab, kisi kadar samjh nahi paaty
Tanhaai mai, tera wo aks nahi dikhlaaty!!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #67 on: October 09, 2006, 09:05:13 AM »
bahut khoob POOJA JI aur RANJANA.....

Khayaal hi wo jannat hai, jahan tujhse milta hoon,
ehasaas tera karta hoon, aur mohabbat karta hoon......

khushiyon bhara yeh pal us pal bahut tadpata hai,
khyaalon se bahar aa jab dard ka deedar karta hoon.....

phir se wahi tanhai aur phir se wahi yaadon ka silsila,
kuch der yunhi tadap ke phir tere khayaalon ka intzaar karta hoon.........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #68 on: October 20, 2006, 05:49:25 AM »
khayalo mai bhi ab dhoka khaya nahi jaata
kisi tarah se tere aitbaar per aitbaar nahi atta

her wada tera jhootha, her baat teri jhoothi
insaan ki insaaniyat per, kayun thehraaw nahi atta

tanha zindagi main, tanhai ka sath hai
bhir kayun uska khayal, is dil se chala nahi jaata
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #69 on: November 07, 2006, 05:57:37 AM »
bahut khoob POOJA JI.. humesha ki tarah A1

Hai yakin mujhe kabhi to mohabbat par aitbaar hoga,
khayal me sahi, wo kabhi to hum pe meharban hoga.........

ek isi aas me saanson se apni, nata jode baitha hoon,
ki kabhi to unhen meri chahaton ka ehasaas to hoga.........

thak gaya hoon main AKELA, apni tanha hi zindgi se,
kabhi to in tanhaiyon me mehfilon ka agaaz bhi hoga............
Logged
Pooja
Guest
«Reply #70 on: November 26, 2006, 10:09:34 AM »
Shukaria and bahoot khoob Vicky ji...

jis pal ka tha intzaar
ajj wo pal acha nahi laga
usne manaya bahoot mujko
na jaane kayun wo sucha nahi laga
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #71 on: November 26, 2006, 12:22:49 PM »
aaj unko hamare ekrar pe etraz hai
na jane unke dil me aisa kya raz hai
nazar jukake katl karne ka bhi gazab andaz hai
phir bhi ye banda unki ek zalak ka motaz hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #72 on: November 27, 2006, 08:08:40 AM »
nice lines Niraj ji
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #73 on: November 27, 2006, 08:35:28 AM »
Kasam khuda ki jaan-e-wafa, tu bahut yaad aati hai,
aur kuch is kadar mujhe, andheri raat tadpa jati hai......

jab-jab dekhta hoon main, chand me teri soorat ko,
ek choti se badli aakar, mere armaano ko tod jati hai......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #74 on: November 29, 2006, 05:27:43 AM »
shukaria majid ji
bahoot khoob Vicky ji

Chand ke sath dushmani si ho gai
sitaro ke sath narajagi si ho gai
deti rahti hu sath mai unka raat bhar
din mai jaise unko bhi mujse bewafai si ho gai
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 08:26:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer