..~~khoon e jigar~~..

by HumTum on September 06, 2005, 09:25:01 AM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 5727 times)
HumTum
Guest
Adaab Dostoon
........

kissi azeez ne humse pucha ke janab HumTum ...yeh sher o shayri .. yeh  gazalein .. log kiss trah se likh lete hai ..... bas un janab ke sawaal pe kuch likh diya .... pesh e nazar hai !!

 
dard ka dil se guzar ho to ghazal hoti hai
Ishq mein gham ka asar ho to ghazal hoti hai

chaaho alfaaz ka jitna bhi sahaara le lo
sher mein khoon-e-jigar ho to ghazal hoti hai

mehz ulfat hi nahin kaafi tafakkur ke liye
sabhi jazbon pe nazar ho to ghazal hoti hai

aaj bhi qais ke taptey huey dasht-e-dil mein
kisi laila ka guzar ho to ghazal hoti hai

aaj bhi heer ki khaatir kisi jungle mein agar
raat raanjhey ki basar ho to ghazal hoti hai

jaan lo phir ke siyaahi ki zaroorat hi nahin
jo qalam khoon mein tar ho to ghazal hoti hai

kis ko maaloom hai gar mere sukhan mein unkey?
sheereen lehjey ka asar ho, to ghazal hoti hai;)

is zamaaney mein nahin koi kisi ka bhi "HumTum"
aisi baaton ki khabar ho to ghazal hoti hai !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khoon hee khoon hai insaan kaa har taraf, deykho! by abdbundeli in Shayri-E-Dard
Khoon-e-jigar by G1901 in Other Languages
**khoon-e-jigar Pitaa Hoon** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
khoon e jigar ka sauda...... by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
......Khoon-E-Jigar...... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Delicate_Doll
Guest
«Reply #1 on: September 06, 2005, 01:59:05 PM »
WAH wah HUMTUM ji aap ka jawab nahin ..bahut laajawab likhte hain aap Usual Smile hamesha ki thara bahut khoob Usual Smile
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: September 06, 2005, 04:21:38 PM »
Wah humtum,bohat khoob Usual Smile .

Ye lines mujhe sabse zyada pasand aayin:-
"jaan lo phir ke siyaahi ki zaroorat hi nahin
jo qalam khoon mein tar ho to ghazal hoti hai ."

Very nice.
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: September 06, 2005, 04:54:37 PM »
very very beautifull Humtum............

kis ko maaloom hai gar mere sukhan mein unkey?
sheereen lehjey ka asar ho, to ghazal hoti hai;)

yeh lines sar ke uper se guzar gayi.....Time mile to explain plsssss.
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #4 on: September 06, 2005, 05:40:00 PM »
"aaj bhi heer ki khaatir kisi jungle mein agar
raat raanjhey ki basar ho to ghazal hoti hai

jaan lo phir ke siyaahi ki zaroorat hi nahin
jo qalam khoon mein tar ho to ghazal hoti hai "

wow these lines r the best......good one!!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: September 07, 2005, 04:25:36 PM »
"chaaho alfaaz ka jitna bhi sahaara le lo
sher mein khoon-e-jigar ho to ghazal hoti hai

is zamaaney mein nahin koi kisi ka bhi "HumTum"
aisi baaton ki khabar ho to ghazal hoti hai !!! "


wah humtum jiyeh lines to ....bohot hi achi hai

kuch lafzo ko apne zakhmo ke khoon me duba kar,
pesh kiya hai apna dard ek ghazal bana kar!!
Logged
sanya310
Guest
«Reply #6 on: September 07, 2005, 04:49:49 PM »
bohot hi achhhhhhhhhhhheeee humtum, wonderful...u too Meena sis...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: September 08, 2005, 12:36:58 PM »
Salma[/u]

Thanks very much buddy !!!


Nidhi[/u]

Shukriya ji ... aap ne kuch nhi likha sad5

Choti[/u]

Thanks a million !!!

kis ko maaloom hai gar mere sukhan mein unkey?
sheereen lehjey ka asar ho, to ghazal hoti hai;)


Matlab .....  yeh kissi ko nhi pta hai ke agar meri sukhan ( soch ) mein unke ( be-loved )  sheereen lahjey ( madhosh ker dene wali adaa )  ka asar ho to gazal hoti hai  !!!  

Isha[/u]

Shukriya ji  

Sanya[/u]

Hunslaafzai ka Shukriya

Meena -JII[/u]

Shukriya Jahaanpnaah ...aur kya khoob likha hai .. kuch arz hai ....

humne to usko dil mein chupa ke rakha tha
aur woh tadpta rha uss qaid se rihaai ke liye
na samjho ke hai "HumTum" sataya zamane ka
woh to gazal kehta hai faqt waah waahi ke liye !!  
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #8 on: September 08, 2005, 12:44:38 PM »
bahot khooob hum tumji...... fantastic job ..... good
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: September 08, 2005, 12:48:40 PM »
Thanks a million .. dear Stranger !!!

 aap bhi acha likhti hai .. likha kijiye !!

yeh sher o shyri hum kya jane
kya jane gazal kya cheez hai
nakaam e ishq ke staye hai
bas dard hi mera azeez hai !!!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #10 on: September 08, 2005, 12:53:19 PM »
shukriya Humtum janab n bahut khoob  alll...!!! again gr88888 Humtum Janab Usual Smile
Logged
HumTum
Guest
«Reply #11 on: September 08, 2005, 01:01:01 PM »
aap bhi kuch likh dijiye !!!!

zamane mein kami kya hai nazaron ki
her su jannat hai humare dil ke siwa
mil jayenge hamdam nazar uthao to shi
woh kuch bhi nhi ek parchaai ke siwa !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #12 on: September 08, 2005, 02:26:45 PM »
wah ji wah bahut khoob Humtum n thanx haiga....mention not de naal...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #13 on: September 08, 2005, 03:11:24 PM »
Wah yaar humtum, dil khush kar diya kasam se.....missed ur works all these days mannn!!!!

Few lines i will add to it,

Koi rehta ho din o raat tere yadon mein har pal,
Phir bhi khali lage bistar toh gazal hoti hai.

Haasil ho har ek seh jahan ki phir bhi,
Dil mein tanhai ka ho ghar toh ghazal hoti hai.

Wo nigahein jo dekhti ho bas mehboob ke sapne,
Phir bhi sooni ho wo nazar toh ghazal hoti hai.

Wada karke bhi na aaya jo mehboob e sitamgar,
Aankhen soyi na raat bhar toh ghazal hoti hai...
Logged
Meena
Guest
«Reply #14 on: September 08, 2005, 05:07:35 PM »
very nice everyone aur humtum ji jawab bohot acha tha!

lafzo ke bich chupa gum ka saya hai,
apnaaya hai isse yeh kaha mere lyie paraya hai,
kya karti itne gum ka tu "Meena",
bas thosa sa hi apni ghazal me sajaya hai!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:58:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer