..~~khoon e jigar~~..

by HumTum on September 06, 2005, 09:25:01 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5
Print
Author  (Read 5844 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: September 08, 2005, 05:51:55 PM »
good one!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khoon hee khoon hai insaan kaa har taraf, deykho! by abdbundeli in Shayri-E-Dard
Khoon-e-jigar by G1901 in Other Languages
**khoon-e-jigar Pitaa Hoon** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
khoon e jigar ka sauda...... by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
......Khoon-E-Jigar...... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Delicate_Doll
Guest
«Reply #16 on: September 09, 2005, 07:23:06 AM »
good one all  ...again gr8 one humtum janab...!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #17 on: September 09, 2005, 11:24:24 AM »
Choti[/u]

Pleasue vi all mine haiga  !!

Pooja ji [/u]

Shukriyaan ji Shukriyaan , aap ne kuch nhi likha sad5

Murgi Wali [/u]

Thanks a Million .. humm oke billion  !!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #18 on: September 09, 2005, 11:28:37 AM »
Quote from: "Meena"
very nice everyone aur humtum ji jawab bohot acha tha!

lafzo ke bich chupa gum ka saya hai,
apnaaya hai isse yeh kaha mere lyie paraya hai,
kya karti itne gum ka tu "Meena",
bas thosa sa hi apni ghazal me sajaya hai!



Meena -JII ...... gussey mein aap kaffi acha likh lete hai !!!

kuch arz hai jhaanpnaah !!

mehfil-e-shab mein guftugu ab ke hui to yeh khula
batien bhi wo nahin rhi, lehje bhe woh nahin rehey
hulia badal ke rakh diya jaise shab-e-firaaq ne
ankhein bhi woh nhi rhi chehre bhi woh nahi rahey  !!!!  
Logged
HumTum
Guest
«Reply #19 on: September 09, 2005, 11:41:33 AM »
Quote from: "thycreator"
Wah yaar humtum, dil khush kar diya kasam se.....missed ur works all these days mannn!!!!

Few lines i will add to it,

Koi rehta ho din o raat tere yadon mein har pal,
Phir bhi khali lage bistar toh gazal hoti hai.

Haasil ho har ek seh jahan ki phir bhi,
Dil mein tanhai ka ho ghar toh ghazal hoti hai.

Wo nigahein jo dekhti ho bas mehboob ke sapne,
Phir bhi sooni ho wo nazar toh ghazal hoti hai.

Wada karke bhi na aaya jo mehboob e sitamgar,
Aankhen soyi na raat bhar toh ghazal hoti hai...


Thanks a lot Creator ....... for missing My work .... aur kya khoob likha hai .......  waseey ik baat puchey ... chaliye puch hi lete hai ..

Koi rehta ho din o raat tere yadon mein har pal,
Phir bhi khali lage bistar toh gazal hoti hai


hummmmmmm ... hum kuch kuch samjh rhey hai  iss sher ka matlab... Winking
ji baja farmaya ...... bistar khaali ho to gazal hi likhni padti hai;)
khair .. bhut acha likha hai aapne ... kuch arz hai ...


Jab sawan ki bonde dil mein aag lgaye to gazal hoti hai
Jab bin sajni iss dil ka phool murjaye to gazal hoti hai

woh jo har pal har lamha humse karta rhey dillagi goya
phir bhi yeh dil e nadaan uss pe aa jaye to gazal hoti hai

zamane bahar ki thokhroon ke hum nhi hai qahiil
jab Hum rah e ishq mein thokhar khaye to gazal hoti hai !!!

Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #20 on: September 09, 2005, 12:15:07 PM »
wah wah kya baath hai janab....!!!

dil ke jazbaath bhar aate hain...
jab kalam khud bha khud chalne lagte hain...
koi is ko shayri ka naam dete hain...
koi iss ko gazal ka naam dete hain...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #21 on: September 09, 2005, 12:24:47 PM »
hummmm  shi farmaya aapne salma ...... log to waah waah kar ke chale jate hai ...kaun shukhnwaar ke dil mein jank ke dekhta hai ... ke kin gehraiyoon mein ja ke usne apne jazboo ko alfazzon mein dhala hoga ... khair .... bahut acha likha hai !!!


hum kaise karey kisi se haal apna bayaan
hothon par daraarein aa gaye rishton ki tarah!
dil ne kitna samjhaya mat nibhao itni wafa
dost phir bhi milenge tumhe dushman ki tarah!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #22 on: September 09, 2005, 12:46:26 PM »
hai-rabba ...kya mazak kar rahe hain aapki shayari ke saamne humari alfaz kuch bhi nahin :wink: lol but shukriya janab

haan apne bilkul shai farmaya jee


wah wah kya baath hai

Ae-dost agar milenge bhi hum apko dushman ki thara...
Shikayat nahin hone denge agar hum dost an sahin dushman bhi thare...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #23 on: September 09, 2005, 12:52:35 PM »
ban jayegey dost bhi dushaman hamare
yeh to kabhi iss dil ne mere socha na tha
ab to chot kha ke bhi aap haste ho janab
asisa to kabhi "Humtum" ji hota na tha !!!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #24 on: September 09, 2005, 12:59:49 PM »
wah kya baath hai.............!!!

chot dil pe itne ghere lage hain...
lekin hum bina uff kiye jeete hain...
haste huve jeene padta hain...
lekin gum dil pe chupaye baithe hain...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #25 on: September 09, 2005, 01:06:34 PM »
waah waah salma .. bahoot achey !!!

dil mein ab dard ne ghar ker liya hai
humne yeh faisla magar ker liya hai
iss dard ko hi ab hum dawa bnayegey
iss liye aap ko dilbhar kar liya hai !!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #26 on: September 09, 2005, 01:08:58 PM »
Wah salma aur humtum.......kamaal ka likha hai ....!!!!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #27 on: September 09, 2005, 01:25:00 PM »
shukriya nidhi aap bhi kuch arz karein naaaa

shukriya humtum janab n bahut aache...!!!


dard-e-dawa ki kya jarurat hai...
dard ke liye ek muskan hi kafi hai...
dard mein haste huve jeeya karo...
isse badh kar kiya ilaz hai....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #28 on: September 09, 2005, 02:25:46 PM »
Nidhi [/u]

Thanks a million Girly Paly !!!

Salma [/u]

bahut hi khoob !!!!!


dard hadse guzar jaye to fugan hota hai
hashr us shaks ka phir kuchh hum jaise hota hai
khak chhani hai sehrao ki magar woh na mila
hum to sunte the ki zarron mein bhi khuda hota hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #29 on: September 09, 2005, 02:43:36 PM »
wah ji wah bahut khoob Humtum n Salma sis..........

kya batayein dard-e-jigar saha na gaya
baat kuch raz ki thi ek shabd bhi kaha na gaya

seene mein khoon-e-jigar rakhte hain hum
aaj kal sunte hain jiyada aur bolte hain kum
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:41:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer