..~~khoon e jigar~~..

by HumTum on September 06, 2005, 09:25:01 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 5794 times)
HumTum
Guest
«Reply #30 on: September 09, 2005, 02:53:03 PM »
waah waah Choti ... too gud  buddy !!!!

Ek to hasrat barasti hai na jaane kis liye
Us pe rota aasman bhi hai na jaane kis liye
Haale-dil akl ki aataa samajh men kya bhala
Phir mera dewanapan bhi hai na jaane kis liye !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khoon hee khoon hai insaan kaa har taraf, deykho! by abdbundeli in Shayri-E-Dard
Khoon-e-jigar by G1901 in Other Languages
**khoon-e-jigar Pitaa Hoon** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
khoon e jigar ka sauda...... by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
......Khoon-E-Jigar...... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
nikki
Guest
«Reply #31 on: September 09, 2005, 02:59:19 PM »
wowww too gud hai....thanx bhi hai..

woh jisse samajhte rahe humdard barson
woh aaj dil ka dard bankar saamne aaya hai
jo choot sadiyon paheli khaayi thi
uska ghaav aaj nazar mein aaya hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #32 on: September 09, 2005, 03:05:07 PM »
M de naal not ve le lo !!

Ek hum hi akele nahin, tere mehkhane mein saaqi
Mehfil mein aaj, kuch tanha jaam bhi the
Manzil pe khade soch raha hoon
Safar mein kuch isse hasin mukaam bhi the !!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #33 on: September 10, 2005, 09:22:14 AM »
Quote from: "HumTum"
Koi rehta ho din o raat tere yadon mein har pal,
Phir bhi khali lage bistar toh gazal hoti hai


hummmmmmm ... hum kuch kuch samjh rhey hai  iss sher ka matlab... Winking
ji baja farmaya ...... bistar khaali ho to gazal hi likhni padti hai;)
khair .. bhut acha likha hai aapne ... kuch arz hai ...



Ha ha ha..............kya yaar Hum Tum.......har bat mein badmashi......
 :wink:  :lol:

Wo ghazal suni hai Ashok Khosla ki..........mile kissi se nazar toh samjho..

Mehboob ki har bat har ada ki hai kasam,
Ek nigah bhi mile toh ghazal hoti hai....

Kaise keh de ki unn labo mein kashish kya hai,
Ek muskan bhi khile toh ghazal hoti hai...

Yu toh sunte hai hum kalaam sari dunia ke,
Wo uff bhi gar karein toh ghazal hoti hai....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #34 on: September 10, 2005, 10:35:11 AM »
Haa haha ....... are yaar kha badmashi ki .. bas sher ka matlab samjha;)
haan ... woh gazal hai mere pass ... bahut achi wordings hai .. too good .......


ghum ka sagar dil mein jab bhar jaye to gazal hoti hai
sitamgar hi aa ke jab marham lagaye to gazal hoti hai

tadpane ko to zamana tadpata hai bahut , lekin
jab shab e firaaq dil ko tadpaye to gazal hoti hai

jisko chaha ho shid'dat se, pooja ki ho jiski "HumTum"
woh jab gairoon ki bahoon mein muskuraye to gazal hoti hai !!!  
Logged
thycreator
Guest
«Reply #35 on: September 10, 2005, 10:37:54 AM »
Wah wah wah...............

Gazal ki bat aati hai toh dil mayoos hota hai,
Wo katl karke muskaye toh ghazal hoti hai... ;-)
Logged
HumTum
Guest
«Reply #36 on: September 10, 2005, 10:48:57 AM »
hummmmmmmmm  kafir pe hi dil kyun aata hai miyaan !!!

mayussiyaan se sjaya hai is dil ka ashiyaan
woh jab bhi iss ghar mein aaye to gazal hoti hai

uski har ik adaa ka qahiil hoon mien "Humtum"
woh lagaavaat mein bhi muskuraye to gazal hoti hai !!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #37 on: September 10, 2005, 10:53:05 AM »
Ha ha ha,

Dil dekh kar bhala kab kispe aata hai aye mere dost,
Jab bhi aajaye magar ye toh ghazal hoti hai....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #38 on: September 10, 2005, 10:57:43 AM »
yeh bhi shi hai .....


kissi ko jab yeh dil tadap ke pukare to gazal hoti hai
kissi  ki ankhoon ke dekhu nazare to gazal hoti hai;)

uski sadki ke sadke, uski adaayoon ke sadke
haye, woh kre jo ankhoon se ishare to gazal hoti hai;)
Logged
thycreator
Guest
«Reply #39 on: September 10, 2005, 11:04:15 AM »
ha ha ha......kisse takra gaye the miyan...;-)

Ab toh aalam ye muhabbat mein ho gaya hai mere dost,
Ki uske sapne bhi aaye toh ghazal hoti hai...

Kabhi toh uske bhi dil mein bhi ek toofan jagega,
Muhabbat mein wo bhi tadap jaye toh ghazal hoti hai...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #40 on: September 10, 2005, 11:10:01 AM »
kya bataye bhai ... thi woh ik kamsin si haseena ....  nazuk si kali ...... bal kahti bel .... chand ka noor ..... gulaab ka phool .... raat ki chandni ... khair ...


jisko dekha kiye hai shab o roz khwaab mein
wah samne jo kabhi aa jaye to gazal hoti hai

ghum ko dil mein smaye ankhoon se muskuraye
jab "Humtum" mehkade mein jaye to gazal hoti hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #41 on: September 10, 2005, 11:14:16 AM »
Ha ha ha.............

Maykade ki mai jo pee tumne toh kya piya aye dost
Wo jab nazar se pilaye toh ghazal hoti hai.......;-)
Logged
HumTum
Guest
«Reply #42 on: September 10, 2005, 11:17:47 AM »
hummmm   ankhoon se mehkhashi ka to lutf hi kuch aur hai;)

uske lab jab mere laboo ko chu jaye to gazal hoti hai
woh nazaroon ke jab dil pe baan chalaye to gazal hoti hai;)

jab chod jaye rah e ishq mein tanhaa thokre kahne ko
jab mazdaar mein koi safina dubo ke jaye to gazal hoti hai:(
Logged
thycreator
Guest
«Reply #43 on: September 10, 2005, 11:21:53 AM »
wah wah.........sahi kaha........

Behte hai yu toh sab hi iss daria e ishq mein,
koi isme doob kar jaye toh ghazal hoti hai....

Yu toh ishq ke parwan ki seema nahi hoti,
Wo iss lahoo mein bas jaye toh ghazal hoti hai...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #44 on: September 10, 2005, 11:26:25 AM »
hummmm  bahoot khoob

shab o roz jab tanhaai nagin si das jaye to gazal hoti hai
kangar e judai jab dil mein bas jaye to gazal hoti hai

hum yeh shar o shayri kya jane hum shayar to nhi lekin
jab qalam khoon mein ras jaye to gazal hoti hai:(
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:47:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer