khud hat gaye manzer se hum

by samnoj on July 11, 2005, 01:43:12 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1205 times)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
ek tamasha ban gaye the bheed me baher se hum
is liye behter hua khud hat gaye manzer se hum

takleefo ki taza aandhia ur ek sukha shajer
khud ko dhaanp lete hai ek fati chader se hum

jane kya matlab nikale log apne tareeke per
her ek se khulke ab milte nahi is der se hum

shaam itni jaldi kaise raasto me ghir gayi
subah ki pahli kiran le ker chale the gher se hum

kis ke derwaze pe aakhir dastake dete hai log
shor hai baher bahut, khamosh hai ander se hum

aage peeche sirf apne dost hi to hai samnoj
sach to ye hai, lad rahe hai apne hi lashker se hum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Haseen Manzer by Roja in Miscellaneous Shayri
** Khud Jal Gaye** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
Manzer... by faisal314 in Ghazals
VO KHUD AA GAYE SAAMNE ........MKV by mkv in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
KHUD SE BEGANE HO GAYE....SOUDAGAR by soudagar in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
sanya310
Guest
«Reply #1 on: July 11, 2005, 01:50:31 PM »
wahh sam bohot hi achha likha hai...i esp liked these lines...

Quote
takleefo ki taza aandhia ur ek sukha shajer
khud ko dhaanp lete hai ek fati chader se hum


kis ke derwaze pe aakhir dastake dete hai log
shor hai baher bahut, khamosh hai ander se hum


very nice!!!


kya pata tujhe kitni badi saza tune di hai
tujhe bhool jaane ki ek kasam aaj li hai
par kuch nahi samajhta ab dil e nadaan
tujhe dekhkar dil machalta mera aaj bhi hai
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #2 on: July 11, 2005, 01:57:57 PM »
thanx sanya
aur tumne bhia cha likha hai

khud ko zinda rakhe ya gher ki nigahdari kare
ek diya kab tak bhala, her ek ki dildari kare

aa gaya bezaar apni is adaakari se wo
kab hase, kab chahre pe sanjeedgi taari kare

shaher me jeena hai, chalna do rukhi talwar per
aadmi kis se bache, kiski tarafdari kare

shaher ka azaar hum ko lagna tha lag hi gaya
ab to apne saath jo bhi gandi bimari kare

her kisi ko jaise ek lamba safer derpesh hai
raat hi se subah ko chalne ki tyari kare
Logged
sanya310
Guest
«Reply #3 on: July 11, 2005, 02:13:29 PM »
Quote from: "samnoj"
thanx sanya
aur tumne bhia cha likha hai

khud ko zinda rakhe ya gher ki nigahdari kare
ek diya kab tak bhala, her ek ki dildari kare

aa gaya bezaar apni is adaakari se wo
kab hase, kab chahre pe sanjeedgi taari kare

shaher me jeena hai, chalna do rukhi talwar per
aadmi kis se bache, kiski tarafdari kare

shaher ka azaar hum ko lagna tha lag hi gaya
ab to apne saath jo bhi gandi bimari kare

her kisi ko jaise ek lamba safer derpesh hai
raat hi se subah ko chalne ki tyari kare
wah wah sam...bohot hi khoob!!! jawab nahi!
thanx btw


jeene ki ab toh har aas hi toot gayi
aise tanha hogayi jaise zindagi rooth gayi
iss tarah tedha hogaya duniya ka rasta hai
baadal bhi ab mere ghar par hi barasta hai
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #4 on: July 11, 2005, 02:19:07 PM »
wow both nice one.............hmmmmmmmmmm itna dard bahar.............gr8888888..............!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: July 11, 2005, 03:51:09 PM »
wah wah samnoj jiiii....

"kis ke derwaze pe aakhir dastake dete hai log
shor hai baher bahut, khamosh hai ander se hum "


yeh lines to bohot achi lagi mujhe!!!

 :D
Logged
pandit
Guest
«Reply #6 on: July 11, 2005, 03:58:24 PM »
dard ka samandar hai baahoon me mere,
utth raha hai sailaab ab seene me mere,
mit jayegi hasti ye jaanta hoo main,
phir bhi iss dil me mohabbat hai teri.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #7 on: July 12, 2005, 05:45:06 AM »
Khudko mitha ke bhi main tujhe jinda rakhungi khud main
ki tuhi hai dil main  tuhi hai athma tuhi hai jaan meri
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #8 on: July 13, 2005, 07:44:34 AM »
thanx sanya, salma n meena
good work sanya, pandit n sandhaya

kawish ko hakayat sunata hu main
phir fikr ki kandeel jalata hu main
yu ghum kada-e-dil ko roshan ker ke
ehsaas ko aayina dikhata hu main

nm
Logged
bond
Guest
«Reply #9 on: July 13, 2005, 02:14:57 PM »
Quote from: "samnoj"
ek tamasha ban gaye the bheed me baher se hum
is liye behter hua khud hat gaye manzer se hum

takleefo ki taza aandhia ur ek sukha shajer
khud ko dhaanp lete hai ek fati chader se hum

jane kya matlab nikale log apne tareeke per
her ek se khulke ab milte nahi is der se hum

shaam itni jaldi kaise raasto me ghir gayi
subah ki pahli kiran le ker chale the gher se hum

kis ke derwaze pe aakhir dastake dete hai log
shor hai baher bahut, khamosh hai ander se hum

aage peeche sirf apne dost hi to hai samnoj
sach to ye hai, lad rahe hai apne hi lashker se hum


waah sammy.......................

kal tak jisko lagte they khusbudaar phool...
aaj usko hi kaanta lagney lagey hai hum.....
naa chubhe kisi ko, na aur dard de aab RAJ...
issliye gulistaan chor kar chale gaye hum...
i
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #10 on: July 14, 2005, 11:06:17 AM »
thanx n good one raj

baghbaan ne lagadi aag jab aashiyane ko mere
jin pe takya tha wohi patte hawa dene lage

nm
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: July 17, 2005, 07:29:42 AM »
Very Nice Sam.... and alll .............. !!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #12 on: July 18, 2005, 11:34:08 AM »
thanx talat............................................ ..................
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:29:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer