Khud Ke Liye Maatam Mana Rahi Hu...!!!

by Delicate_Doll on December 21, 2005, 11:59:19 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
Print
Author  (Read 7023 times)
Delicate_Doll
Guest


Apne Nahi,Humein to aksar Gair he Zakhm Diya Karte Hain,
Phir Bhi Chere pe har pal ke liye Tabassum sajaya karte Hain.

Har baar hum to aksar Une hasane Ki Khosis he kiya Karte Hain,
Phir bhi wo humein he aksar kyun gham ka maahol diya karte Hain.

Mana Ke Humein Shabdon Se Khelna ki khosis nahin kiya karte Hain,
Phir bhi jhooti Dosti ke bajaye o ALVIDA kyun nahi keh diya karte Hain.


Hum to Dosti ya dushmani ke kabil nahi,ye soch dil pe laya karte Hain,
Yahan to Humari Jaazbaaton ki kadar koi nahin kiya karte hain "Tabu"

Humko he woh Aksar andheka kar ke kyun Jawab diya karte Hain,
Phir bhi wo ajnabi he sahi,jawab na dena to o baath kyun kiya karte Hain..!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Karke pagal hamko khud ghum ho liye by rajsilky2000 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Hamare liye khud ko meeta rahi hain......... by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
KISI KE LIYE KABHI KHUD KO LUTA KAR TO DEKHO.. by khwahish in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #1 on: December 21, 2005, 12:18:13 PM »
good work salma

mana ki wo tumhe ghum hi ghum diya karte hai
lekin wo apni aankhe bhi numm kiya karte hai

ungliyaan na uthaye zamana tum per is liye
wo humesha apne labo ko siya karte hai

fasana bana leta hai muhabbat ko zamana
isi liye wo zamane se dara karte hai

kaise jataye apne pyaar ko tum per
akser wo aise lamhat talash karte hai
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #2 on: December 21, 2005, 02:17:07 PM »
Good job Salma dear ...
And you too Sam ...


Unse roz milne ko dil chahta hai,
Kuchh sunne ko dil chahta hai,
Kisike manane ka andaaz kuchh aisa hai,
Ki phir ruth jaane ko dil chahta hai ...(nm)
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #3 on: February 22, 2006, 12:41:55 PM »
Thanks Sam n JHL

gr8 sam juz amazing reply

sacha pyar hone par humne zamane ki parva na kiya
har waqt unke he khayalon mein doobte huve khud ko paya
bhool jane ko kehte hain har waqt woh hume
kya bhoolne ke liye unhone humse kyun dil lagaya

not best as u ppl aise he try kiya Puzzled !
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: February 24, 2006, 01:48:27 AM »
Bohat khoob Salma....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: February 24, 2006, 01:55:21 AM »
Apne mann mein doob kar paa jaa suraagh-e zindag
Tu mera nahi banta na ban, apna tau ban...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: February 24, 2006, 01:58:39 AM »
wowowow yaha to sare purane sathi ek ho rakhy hai...
kahan ghum thy app sare..salma, samnoj, JHL and Aryan ji.....

sabhi ne ek se bar ker ek likha hai....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: February 24, 2006, 02:08:30 AM »
wowowow yaha to sare purane sathi ek ho rakhy hai...
kahan ghum thy app sare..salma, samnoj, JHL and Aryan ji.....

sabhi ne ek se bar ker ek likha hai....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: February 24, 2006, 02:59:08 AM »
Thanks Pooja...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #9 on: February 25, 2006, 11:47:15 AM »
Thanks all and Good job too ...


Raste par mat betho hawa tang karegi,
Guzre hue lamho ki sada tang karegi,
Kisiko mat laao dil ke karib,
Uske jaane par uski har ek ada tang karegi ...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #10 on: February 26, 2006, 07:54:34 AM »
Thanku so much POOJA jee ..jhl..n Aryaan.....gr8 JHL ...N ...Aryaan  excellent......

N jhl jee bahut he khoob n bahut sahi farmaya aapna



Taang karne ke liye ab unke yaadein rehgai hai
raat ke anderey mein ab srif aason aajate hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: February 26, 2006, 08:23:03 AM »
raat ka andhera, kali yandein le atta hai
tera payaar, ankhon mai pani le atta hai
duniya ki her baat ko bhulla rakha hai
apne hi ghar mai, khud ka matam mana rakha hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #12 on: February 26, 2006, 10:54:10 AM »
Kya bat hai salma ....ek jamane bad aaye aur apko yahan dekh kar dil khush ho gaya...

Apki yad mein ye dil aaj bhi jinda hai,
Ye dhadkan aaj bhi tumhare geet gati hai,
Aaj bhi hum tanha hote hai raton ko yuhi,
Aaj bhi hame apki wo muhabbat yaad aati hai...

kyu salma ji....yaad hai wo din ;-)
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #13 on: February 26, 2006, 12:36:59 PM »
khud k liye jeeti rahi aab tak khud k liye hi ga rahi hu...
aab bhi akele hi aapna khud hi matam mana rahi hu.....
jeeti bhi kiske liye kisi ne kabhi mujhko aapaya hi nahi ......
sab kerte rahe bati aapni kabhi meri khabar k liye koi aaya hi nahi....
thak chuki thi mai akele hi chalti ja rahi thi ......
band aakho me sapne kisi k bune ja rahi thi......
aab to chali hu duniya se door chali ja rahi hu ,.....
koi bhi na aaya der mere aapna khud hi matam mana rahi hu..........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: February 26, 2006, 05:35:45 PM »
Quote from: "tushar_4u_im"
khud k liye jeeti rahi aab tak khud k liye hi ga rahi hu...
aab bhi akele hi aapna khud hi matam mana rahi hu.....
jeeti bhi kiske liye kisi ne kabhi mujhko aapaya hi nahi ......
sab kerte rahe bati aapni kabhi meri khabar k liye koi aaya hi nahi....
thak chuki thi mai akele hi chalti ja rahi thi ......
band aakho me sapne kisi k bune ja rahi thi......
aab to chali hu duniya se door chali ja rahi hu ,.....
koi bhi na aaya der mere aapna khud hi matam mana rahi hu..........

Simply wonderful Tushar ji!!! bahot hi khoobsoorat Lines likhi hai apne.....bahoot khoob!!

Tanhaai mai beeti her raat yaad aai
Ashaqo se lipti her barsaat yaad aai
Jakhamo ki tarap to bahoot kam thi
khud ke khud per rone ki wo shaam yaad aai
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:36:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer