- Khud Ko Tanha Pate Hai -

by Meena is back on September 24, 2006, 10:33:17 AM
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Author  (Read 4494 times)
Meena is back
Guest
«Reply #15 on: September 24, 2006, 10:59:23 AM »
waheed bhai...thanks a lot and nice as well! :D

nikki... thik kehti hoon tum kuddiye, somehow its not like in the old days... i really miss those days! sad5

jhl... nice nice

sauda meri wafaon ka kar gaya woh,
meri nigahon ko ashkon sebhar gaya woh,
sila yehi mila mohabbat ka mujhe,
ke ban kar dard mere dil me teher gaya woh!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tanha Khud se Baat karoon..... by sharmaarunkumar in Ghazals
aaj khud ko tanha paaya................................. by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
~~~Na Kar Tu Khud Ko Tanha~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Tere Hone Par Bhi Khud Ko Tanha Samjhoon? by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Himmat Nahi Kar Pate by nishi gahlaut in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #16 on: September 24, 2006, 11:00:37 AM »
Thaka thaka sa har bashar dikhaai deta hai,
Maatam mein dooba mera sheher dikhaai deta hai,
Main apni maut dekh raha hoon ab har lamha,
Khwaabo mein bhi yahi manzar dikhaai deta hai,
Meri barbaadi ke aasaar nazar aate hai mujhe,
Is saajhish mein shaamil mera rehbar dikhaai deta hai,
Woh jo mera gum nahi tha kal talak 'Naazmi'
Phool bhi uske haatho mein patthar dikhaai deta hai ...
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #17 on: September 24, 2006, 11:03:25 AM »
Quote from: "nikki"
thanx JHL n Meena sis...too good Meena sis...

intzaar se humein koi gila nahi
magar itne intzaar ke baad bhi... jisse chaha woh humein mila nahi
kya meri mohabbat mein koi kami hai
ya fir mera usse mil paana khuda ka faisla nahi


thanx..gud one!!!

shikwa nahin Khuda se ke woh hume mila nahin,
ke bahar ane par bhi woh gul khila nahin!
Logged
nikki
Guest
«Reply #18 on: September 24, 2006, 11:03:57 AM »
thanx Waheed..n very nice Meena sis...

khud ko sambhalana asaan na tha
aise haalat mein mujhse bichad gaya woh

bahut mohabbat hai usse mujhse kaha karta tha
magar itna pyar dil mein liye..jane kahan, kidhar gaya woh

usse dhondti hun diwano ki tarah
mere dil ke tukde-2 kar gaya woh
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #19 on: September 24, 2006, 11:05:26 AM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Thaka thaka sa har bashar dikhaai deta hai,
Maatam mein dooba mera sheher dikhaai deta hai,
Main apni maut dekh raha hoon ab har lamha,
Khwaabo mein bhi yahi manzar dikhaai deta hai,
Meri barbaadi ke aasaar nazar aate hai mujhe,
Is saajhish mein shaamil mera rehbar dikhaai deta hai,
Woh jo mera gum nahi tha kal talak 'Naazmi'
Phool bhi uske haatho mein patthar dikhaai deta hai ...


wah wah nice one!!!!

 :D
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #20 on: September 24, 2006, 11:07:24 AM »
Thanks a lot Meena ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #21 on: September 24, 2006, 11:08:17 AM »
thanx sis...n winderfull sis n JHL...
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #22 on: September 24, 2006, 11:09:57 AM »
Quote from: "nikki"
thanx Waheed..n very nice Meena sis...

khud ko sambhalana asaan na tha
aise haalat mein mujhse bichad gaya woh

bahut mohabbat hai usse mujhse kaha karta tha
magar itna pyar dil mein liye..jane kahan, kidhar gaya woh

usse dhondti hun diwano ki tarah
mere dil ke tukde-2 kar gaya woh


wah wah!!!!

koi bula do usko ke hum tanha hai,
jane kiya humne aisa kaunsa gunah hai,
sachi dil se pukaro to Khuda bhi milta hai,
humne aksar se buzurgo se suna hai!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #23 on: September 24, 2006, 11:10:28 AM »
Thanks  Nikki ...
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #24 on: September 29, 2006, 06:36:45 PM »
tanhaiyo ke alam me ro ro ke pukara karte hai,
aab to yuhi apni zindagani ka guzara karte hai!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #25 on: October 01, 2006, 05:21:44 PM »

Koi Kaisa HuMsafar Hai Ye Abhi Se Mat Batao
Abhi Kya Pata Kisika Ke Chali Nahi Hai Naav,

Ye Zaroori To Nahi Hai Ke Sada Rahein MarasiM,
Ye Safar Ki Dosti Hai Ise Rog Mat Banao,

Mere Charagur Bahut Hai Ye Khalish Magar Hai Dil Mein,
Kio Aisa Ho Ke Jisko Ho Azeez Mere Ghaav,

TuMhein Aaina Gari Mein Hai Bahut KaMaal Haasil,
Mera Dil Hai Kirchi Kirchi Ise Jod Kar Dikhao,

Mujhe Kya Padi Hai Ke Parayi Aag Maangun,
Main Gazal Ki Aadi Hoon, Mere Apne Hai Ye Ghaav...
* * * * *
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #26 on: October 03, 2006, 06:21:58 AM »
Zinda hoon main par mujhme zindagi nahi,
Dil bhi dhadak raha hai par usme saanse nahi,
Sawaal bhi puchhne se hum ghabraate hai,
Darr lagta hai uski haan se, naa se nahi ...
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #27 on: October 28, 2006, 05:42:35 PM »
dhadkano ko sanson se juda karna,
bewafa zamane me wafa na karna,
pyar kar par yeh yaad rakh aye dost,
kisi bhi insan ko Khuda na karna!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: October 29, 2006, 12:10:09 AM »
Quote from: "Meena is back"
bohot dino ke baad ayi hoon aur phirse ek koshish apni pesh karna chahati hoon:


Manzile pa kar bhi ankhon me ashk hum basate hai,
Kyu sab kuch pas hote hue bhi khud ko tanha pate hai,

Zakhmo ka dard itna gehra nahin jitna ke hai tanhai ka saath,
Nazar nahin ate joh ,who tanhai ke sholey hume jalate hai,

Har waqt, har pal, har lamha is aag ne gehra hai hume par,
Chehre pe muskan ke moti uska nam-o-nishan mitate hai,

Par aisa nahin hai ke gumsum sa jeeti hai “Meena” yaha,
Sun sakhe koi to Kamoshi ke lafz humari kahani sunate hai!


Kamal ka likha hai meena, angle, JHL ji and nikki too gooooood job by all of you...... good post good work by all.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: October 29, 2006, 12:12:02 AM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Thaka thaka sa har bashar dikhaai deta hai,
Maatam mein dooba mera sheher dikhaai deta hai,
Main apni maut dekh raha hoon ab har lamha,
Khwaabo mein bhi yahi manzar dikhaai deta hai,
Meri barbaadi ke aasaar nazar aate hai mujhe,
Is saajhish mein shaamil mera rehbar dikhaai deta hai,
Woh jo mera gum nahi tha kal talak 'Naazmi'
Phool bhi uske haatho mein patthar dikhaai deta hai ...


bahoot khoob JHL JI... ek ek line kamal ki likhi hai....

dekh kar khud ka haal, sara jahan veerana lage
hansta hai jab bhi koi, kyun wo jhoota sa lage....
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 11:48:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer