- Khud Ko Tanha Pate Hai -

by Meena is back on September 24, 2006, 10:33:17 AM
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Author  (Read 4468 times)
Meena is back
Guest
«Reply #30 on: October 29, 2006, 09:48:49 AM »
shukriya ji shukriya!!!

 :D
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tanha Khud se Baat karoon..... by sharmaarunkumar in Ghazals
aaj khud ko tanha paaya................................. by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
~~~Na Kar Tu Khud Ko Tanha~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Tere Hone Par Bhi Khud Ko Tanha Samjhoon? by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Himmat Nahi Kar Pate by nishi gahlaut in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
HumTum is back
Guest
«Reply #31 on: October 30, 2006, 09:40:02 AM »
Quote from: "Meena is back"
bohot dino ke baad ayi hoon aur phirse ek koshish apni pesh karna chahati hoon:


Manzile pa kar bhi ankhon me ashk hum basate hai,
Kyu sab kuch pas hote hue bhi khud ko tanha pate hai,

Zakhmo ka dard itna gehra nahin jitna ke hai tanhai ka saath,
Nazar nahin ate joh ,who tanhai ke sholey hume jalate hai,

Har waqt, har pal, har lamha is aag ne gehra hai hume par,
Chehre pe muskan ke moti uska nam-o-nishan mitate hai,

Par aisa nahin hai ke gumsum sa jeeti hai “Meena” yaha,
Sun sakhe koi to Kamoshi ke lafz humari kahani sunate hai!



waah waah Meena - JI ...... subhanallah ..... !!

Der se aaye hai woh kahir koi baat nahin
Sath apne mehfil-e-tohfa to laye hai;)

Hamesha ki trah aap ik baar phir se chaa gaye ho Meena -JI...... waseey mein bhi kaafi der ke baad hi aaya hoon  glasses2  aur shayri bhi ab tak to bhuul hi chuka hoon ....  more or less ... well more   Shocked   lekin adat se majboor hoon ... aap ki Gazal pe to jawab dena hi padega!!


Kaseey yeh kahe hum ke khud ko tanha pate hai
Jha bhi jate hai janab aap ki yaad sath le jate hai;)

Karte hai jab bhi tera zikr hawaayoN se hum goya
Har ik hawwa ke jonke mein teri khushbu pate hai

PaniyooN mein bhi dekha kiye hai tere hi aqs ko
Vasl nhi Firaaq hi shi apne dil ko magar samjate hai

Humne aaj bhi teri umeed ka ik diya rakha hai jla ke
Kaun kehta hai roshan diye tufaNo mein bhuj jate hai !!


HumTum
[/color]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #32 on: October 30, 2006, 09:48:38 AM »
Good work everyone !

HumTum

lagta hai tumhari keyboard theek ho gayi hai :evil:

Last 2 lines are excellent ! =D>

Rajbir
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #33 on: October 30, 2006, 10:01:00 AM »
Shukriya veer ji ....

kya btaye iss keyboard ke bare mein hum
ik "L" hai jo karab hai ik "J" hai jo dabta nahin !!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #34 on: October 30, 2006, 03:12:59 PM »
wah wah humtum ji...its nice to c u here again after such a long time aur aate hi kamal ka likha apne...

jaise aa nahin jakhti kushboo kagaz ke phoolon se,
waise khat nahin sakhti puri zindagi yaadon ke sahare,
kabhi rulati hai yaad to kabhi kar jati hai tanha,
aise saathi ke bolo hum kaise apni zindagi guzare!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #35 on: October 30, 2006, 03:30:11 PM »
Shukriya Meena - JI;)


Zindgi guzar hi jati hai yaadooN ke sath
Ishq ke buland dil mein housloN ke sath
Jaruuri nhi ke har premiyoN ka milan ho
Judai aa hi jati hai MuhoobatooN ke baad !!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #36 on: October 30, 2006, 03:45:42 PM »
bohot ache!!!

dafna do mohabbat ko agar katam hua pyar ka fasana,
bahaoge do anson judai me to sunega sara zamana,
katam nahin hoti rah-e-zindagi ek hi maud pe dost,
phir karo kisi se mohabat, phir apno kahani tum dohorana!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #37 on: October 30, 2006, 04:01:24 PM »
shukriya!!

 :D
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #38 on: November 05, 2006, 08:37:15 AM »
Inkaar wo karte hai ikraar ke liye,
Nafrat bhi karte hai to pyaar ke liye,
Ulti hi chaal chalte hai deewane yaha,
Aankhon ko bandh karte hai deedar ke liye ...
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #39 on: November 07, 2006, 11:57:34 AM »
nice JHL aur majid ji...

 :D
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #40 on: November 07, 2006, 12:12:46 PM »
nice one majid bhai

Taqdeer-e-tamaasha likh raha hoon kalam ki lakiron se,
tu na sahi paas to kya hai, dil bahalata hoon teri tasveero se....!!!!!!!!!!!!!!1
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #41 on: November 20, 2006, 05:42:29 PM »
Shaam aayi teri yaad ke sitaare nikle,
Rang hi gum ke nahi naksh bhi pyaare nikle,
Raks jinka hame saahil se baha laya tha,
Wo bhanwar aankh tak aaye to kinare nikle ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #42 on: November 26, 2006, 04:55:57 PM »
Aankhen aakhir dil ke haalaat bayaan kar hi deti hai,
Aaj humne jaana ki hum akele nahi is mushkil bhare safar mein ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: November 27, 2006, 07:20:32 AM »
her koi hai tanha
her koi akela
kayun kahte hai log
her taraf laga hai logo ka mela
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #44 on: November 29, 2006, 05:47:58 PM »
nice JHL , pooja didi aur majid ji...

tanha hoon mai, mere saathi ko mujhe lauta do,
dil-e-patjad ko bahar ke mausam se mila do,
bohot anson baha liya hai humne aye Khuda,
in ashkon ka karz aye Khuda aab to tum utar do!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:19:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer