Khud Se Ladti Mussafir Hu Mai

by Nikhaar on October 10, 2009, 06:32:48 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1967 times)
Nikhaar
Guest
 Kya kahu kisi se khuch aur kya khud ko samjhau mai
Parde k pichhe chipe chehron ko kyu ab tak dekh na paayi mai

Jitna khud ko galat theraaya utna mujhe ronda sabne
Kaun mera apna,kaun praaya ye jaan hi na paayi mai

Jwaab dete ye log khud ko sahi tehraate hai
Sach ko talaashti ek bejaan murat ban gayi mai

Aajaad panchi ki tarah udna chaha maine bhi aasmaan mein
Apno ki izzat ki khaatir majbur si ho gayi mai

 Har mod par bura thehraaya inhi logon ne mujhe
 isliye bewafa k naam se mashoor ho gayi mai

 Wo khush nahi tha saath mere to uski khushi ki dua maangi
 Usse uski khushi k hawaale kiya to gunahgaar hui mai

 Uss raah par chalne ki izzazat mere sanskaaro ne na di mujhe
 Galat kahe to kahe duniya 'Pooja' ko....
 Khud se hi ladti khud ko talashti hui mussafir  hu mai
[/size]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khud ko by Nino in Shayri-E-Dard
khud khushi jo khud ki khushi sai nahin hoti......... by sunny_bunny in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
khud hi ko ker by tushar_4u_im in Shayari-e-Parastish
Khud he khud main by Pooja in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
KHUD KO KHUD SE JUDA KARTI CHALI GAI by deepika_divya in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #1 on: October 10, 2009, 07:18:26 PM »
Nice excellent Applause Applause Applause
Logged
smardia
Guest
«Reply #2 on: October 10, 2009, 08:05:04 PM »
Achhee rachna hai Nikaarji aapki...
Ek bebasi jhalakti hai bhavo mai...
Ek sanghash hai Sanskaron aur khud ki aazadi k beech ... Applause Applause Applause

Apne sanskaro aur chahto k beech uljhi tu
Dil aur deemaag ki ladayee mai uljhee tu
Khud he khud se har pal ladti rahee tu
Samaaj-parivaar-izzat ki khatir ruki tu

Jo nahi tha khush tere sang,uske liye tu
Kyu gunehgaar huee,kyu khud se ladee tu



Kya kahu kisi se khuch aur kya khud ko samjhau mai
Parde k pichhe chipe chehron ko kyu ab tak dekh na paayi mai

Jitna khud ko galat theraaya utna mujhe ronda sabne
Kaun mera apna,kaun praaya ye jaan hi na paayi mai

Jwaab dete ye log khud ko sahi tehraate hai
Sach ko talaashti ek bejaan murat ban gayi mai

Aajaad panchi ki tarah udna chaha maine bhi aasmaan mein
Apno ki izzat ki khaatir majbur si ho gayi mai

 Har mod par bura thehraaya inhi logon ne mujhe
 isliye bewafa k naam se mashoor ho gayi mai

 Wo khush nahi tha saath mere to uski khushi ki dua maangi
 Usse uski khushi k hawaale kiya to gunahgaar hui mai

 Uss raah par chalne ki izzazat mere sanskaaro ne na di mujhe
 Galat kahe to kahe duniya 'Pooja' ko....
 Khud se hi ladti khud ko talashti hui mussafir  hu mai
[/size]

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: October 10, 2009, 11:05:24 PM »
Very touching creation Nikhaar ji,bahut bahut khoob,marvelous.Smardia ji aapne bhi bahut khoob likha,excellent. icon_thumleft Applause  Applause Applause Applause :clap:keep it up.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: October 11, 2009, 05:43:12 AM »
Kya kahu kisi se khuch aur kya khud ko samjhau mai
Parde k pichhe chipe chehron ko kyu ab tak dekh na paayi mai

Jitna khud ko galat theraaya utna mujhe ronda sabne
Kaun mera apna,kaun praaya ye jaan hi na paayi mai

Jwaab dete ye log khud ko sahi tehraate hai
Sach ko talaashti ek bejaan murat ban gayi mai

Aajaad panchi ki tarah udna chaha maine bhi aasmaan mein
Apno ki izzat ki khaatir majbur si ho gayi mai

 Har mod par bura thehraaya inhi logon ne mujhe
 isliye bewafa k naam se mashoor ho gayi mai

 Wo khush nahi tha saath mere to uski khushi ki dua maangi
 Usse uski khushi k hawaale kiya to gunahgaar hui mai

 Uss raah par chalne ki izzazat mere sanskaaro ne na di mujhe
 Galat kahe to kahe duniya 'Pooja' ko....
 Khud se hi ladti khud ko talashti hui mussafir  hu mai
[/size]


Bahut Bahut Khooob Pooja...

Bahut Hi jazbaati Aur Dil Ko Chune Wali Poetry Likhi Hai Aapne...

Har Ek Lafz Kuch Kehta Hai...

Bahut Ache Mere Dost!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kuch Likhe Bina Yaha Se Jaana, Khud Se Beimaani Hogi..

Ek Koshish Aapke Poetry Mein ki gayi Baaton Ke jawaab Mein kuch likhne Ki..

Kaun Padhta Hai yahan Kisi Aur Ke Zindagi Ki Kitaab Ko
Yeh Duniya Hi kuch Aisi Hai!!
Yahan Insaan Bhoola Baitha Hai Apne Aap Ko....

Apno Ko Jaane Mein Umar Kat Jaati hai Eh Dost!!!
Kaun maanta Hai Yahan Ab Jhoote Rishto Ki Thaap Ko...

Udhte Panchi Ko Dekh kar Naa Soch Ke Woh Azaad Hai!!!
Har Ek Ki Apni-Apni Mushkile Hai!!
Yahan To Samundar Ki Lehrein Bhi Bekarar Rehti Hai
Kinaare Ke Milaap Ko...

Logon Ka Kaam Hai Ke Woh Bas Auro Ko Kuch kehte Rahe!!
Himmat Rakh!! Khuda Bhi Saath Deta Hai Uss Shaks Ka,
Jo Tufaano Mein Bhi Sambhaal leta Hai Apne Aap Ko...

Kyon Udaas Rehte Ho uss Shaks Ke Liye Jo kabhi Tera Tha Hi Nahi!!!
Jaanta Hoon Mushkil Hai!! Par Muskuraakar Mita Do,
Zindagi Se, Gham Ke Iss Chaap Ko...

Khud Se Ladta Hua Khud Ko Talaashta Hua Musafir Hi,
Manzil tak Pahunchta Hai "Pooja"
"Khwaish" Kehta Hai Nikaal Phenko Chehre Se,
Maauysi Ke Is Naqaab Ko....

               ~~~~~Khwaish~~~~~


Logged
poppoetry
Guest
«Reply #5 on: October 11, 2009, 08:21:05 AM »
So Sad

Pooja Ji Har Baar Ki Tarah
Is Baar Bhi Aapne Dil Ke Dard Ko
Khoob Lafzon Mein Peeroya Hai...
Har Line Apne Mein Kuch Kehti Hai
Par Ye Line To Kamaal Ki Likh Di Aapne.
Good Job Ji....

Bahut bahut shukriya Shihab ji....agar aap bhi khuch likhte to accha lagta....
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: October 11, 2009, 08:23:00 AM »
Nice excellent Applause Applause Applause
Shukriya Rishi ji,aapne yha apna waqt diya
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #7 on: October 11, 2009, 08:49:30 AM »
Achhee rachna hai Nikaarji aapki...
Ek bebasi jhalakti hai bhavo mai...
Ek sanghash hai Sanskaron aur khud ki aazadi k beech ... Applause Applause Applause

Apne sanskaro aur chahto k beech uljhi tu
Dil aur deemaag ki ladayee mai uljhee tu
Khud he khud se har pal ladti rahee tu
Samaaj-parivaar-izzat ki khatir ruki tu

Jo nahi tha khush tere sang,uske liye tu
Kyu gunehgaar huee,kyu khud se ladee tu



Teh dil se shukriya Smardia ji..aapne iss rachna ki bhawnao ko bakhubi samjha....aur aankhiri do lines mein to aapne bahut khuch likh diya....
bahut khoob mardia ji....

Hui khuch galtiyaan mujhse bhi Insaan hu mai khuda to nahi
Gunaahgaar bnaaya usne,usse jo vichaar apne mile nahi
Usse khona bhi na tha aur apni simaa mein bhi rehna tha
Jo chalti uski bnaayi raah par toh khud se karti mai ladai nahi
Logged
baadal102
Guest
«Reply #8 on: October 11, 2009, 09:13:50 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut khoob pooja ji, bahut aache se har ahsaas
ko piroya hai har sabdo mai,
dard ka bahut aache se ahsaas karane ke liye sukria

bahut khoob  Clapping Smiley

Baadal
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: October 11, 2009, 12:21:07 PM »
bahut bahut khoob pooja dil ke dard ko aur badati huyi jo kashish aapne di hai uske liye kya kahoon
bahut bahut khoob


beshak main tera gunaahgaar sahi
magar mujhe sazaa dene ka haq tera nahin
ae khuda yeh jaan le tu mera tera banda hoon
magar mujh par haq tera nahin
khud talaashi hai apni manzil maine tufaano main
woh raaste kya thay iski mujhe parvaah nahin
musafir tha main , aaj bhi ek musafir hoon main
manzil toh pa li par phir bhi lage manzil nahin
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: October 11, 2009, 01:35:14 PM »
Kya kahu kisi se khuch aur kya khud ko samjhau mai
Parde k pichhe chipe chehron ko kyu ab tak dekh na paayi mai

Jitna khud ko galat theraaya utna mujhe ronda sabne
Kaun mera apna,kaun praaya ye jaan hi na paayi mai

Jwaab dete ye log khud ko sahi tehraate hai
Sach ko talaashti ek bejaan murat ban gayi mai

Aajaad panchi ki tarah udna chaha maine bhi aasmaan mein
Apno ki izzat ki khaatir majbur si ho gayi mai

 Har mod par bura thehraaya inhi logon ne mujhe
 isliye bewafa k naam se mashoor ho gayi mai

 Wo khush nahi tha saath mere to uski khushi ki dua maangi
 Usse uski khushi k hawaale kiya to gunahgaar hui mai

 Uss raah par chalne ki izzazat mere sanskaaro ne na di mujhe
 Galat kahe to kahe duniya 'Pooja' ko....
 Khud se hi ladti khud ko talashti hui mussafir  hu mai
[/size]


Poooooooja Dear.. Har Lafz Dil Tak Utar gaya.. Behad Touching..Aur Lajawab Rachna Pesh Ki hai Pooja.. Dil Ka Haal Bayan karte Yeh Alfaaz Jhinjod gaye Yaaar.. Bahut Khoooob.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
cara
Guest
«Reply #11 on: October 11, 2009, 02:52:02 PM »
Kya kahu kisi se khuch aur kya khud ko samjhau mai
Parde k pichhe chipe chehron ko kyu ab tak dekh na paayi mai

Jitna khud ko galat theraaya utna mujhe ronda sabne
Kaun mera apna,kaun praaya ye jaan hi na paayi mai

Jwaab dete ye log khud ko sahi tehraate hai
Sach ko talaashti ek bejaan murat ban gayi mai

Aajaad panchi ki tarah udna chaha maine bhi aasmaan mein
Apno ki izzat ki khaatir majbur si ho gayi mai

 Har mod par bura thehraaya inhi logon ne mujhe
 isliye bewafa k naam se mashoor ho gayi mai

 Wo khush nahi tha saath mere to uski khushi ki dua maangi
 Usse uski khushi k hawaale kiya to gunahgaar hui mai

 Uss raah par chalne ki izzazat mere sanskaaro ne na di mujhe
 Galat kahe to kahe duniya 'Pooja' ko....
 Khud se hi ladti khud ko talashti hui mussafir  hu mai
[/size]

KYA BAAT HAI  NIKHAAR JI.....

KHUD SE LADTI MUSAAFIR HAI TU,
APNA BURA-BALA KHUB SAMAJHTI HAI TU.

APNO KI IZZAT KI, AGAR MAAN RAKHTI HAI TU,
SAMJHO KHUD BHI IZZAT PAAYEGI TU.

KYUN AASMAAN MEIN UDNA CHAHTI HAI AAZAD PANCHI KI TARAH TU,
KYUN NAHIN PAER ZAMIN PAR RAKHKAR CHALNA SIKHTI HAI TU.

US RAHA PAR KYUN  CHALNA CHAHTI HAI TU,
JIS RAHA PAR APNE SANSKAARON KI IZZAZAT NAHIN PATI HAI TU.

BEWAFA TOH WO THA,JISKE WAJAH SE BEWAFA MAHSHOOR HOGAYI TU,
JO TERE KHUSHI MEIN KHUSH NAHIN THA,KAB TAK USKE SAATH JEETI TU.

USKE BANDAN MEIN PADNE SE PEHELE HI USKO SAMAJH GAYI HAI TU,
JO TERA THA HI NAHIN,USKI FIKAR KYUN KARTI HAI TU.

BAHUT KUCH SAMAJH GAYI HAI AB ZINDAGI MAIN TU,
CHAL NIKAL PAR RAHA MEIN,NAYA RASTA KHUD TAY KARLE TU.














Logged
smardia
Guest
«Reply #12 on: October 11, 2009, 06:32:06 PM »
Thank you Madhuweshjee......

Very touching creation Nikhaar ji,bahut bahut khoob,marvelous.Smardia ji aapne bhi bahut khoob likha,excellent. icon_thumleft Applause  Applause Applause Applause :clap:keep it up.
Logged
smardia
Guest
«Reply #13 on: October 11, 2009, 06:52:09 PM »

Nikhaarji dhanyawaad aapko meri lines pasand aayee...

Hum abhi bhi confused hain....aapke soch par....

Wo shaksh Jo nahi tha khush tere sang
Uski rah par chalne ko kyu thee tu aatur
Izzat aur sanskaro ki chadha k bali
Kaise tu Khush reh paati us k sang
Gunehgaar banaya tha tujhe jisne
Use khone ka kyu tha dard tujhe
Ye kaisa virodhabhass tha soch mai teri ?

Teh dil se shukriya Smardia ji..aapne iss rachna ki bhawnao ko bakhubi samjha....aur aankhiri do lines mein to aapne bahut khuch likh diya....
bahut khoob mardia ji....

Hui khuch galtiyaan mujhse bhi Insaan hu mai khuda to nahi
Gunaahgaar bnaaya usne,usse jo vichaar apne mile nahi
Usse khona bhi na tha aur apni simaa mein bhi rehna tha
Jo chalti uski bnaayi raah par toh khud se karti mai ladai nahi
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #14 on: October 12, 2009, 02:20:57 AM »
Bahoot Bahoot Khoob Pooja.. Bahoot hi Kamaal ka Likha hai ..

Very Well Written Cera ji, Smardia ji, Shihab, Kwaish ji, Badal and Saahil...

Bahoot Bahoot Khoob!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:18:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer