Khud Se Ladti Mussafir Hu Mai

by Nikhaar on October 10, 2009, 06:32:48 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1968 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: October 12, 2009, 02:50:28 AM »
Kya kahu kisi se khuch aur kya khud ko samjhau mai
Parde k pichhe chipe chehron ko kyu ab tak dekh na paayi mai

Jitna khud ko galat theraaya utna mujhe ronda sabne
Kaun mera apna,kaun praaya ye jaan hi na paayi mai

Jwaab dete ye log khud ko sahi tehraate hai
Sach ko talaashti ek bejaan murat ban gayi mai

Aajaad panchi ki tarah udna chaha maine bhi aasmaan mein
Apno ki izzat ki khaatir majbur si ho gayi mai

 Har mod par bura thehraaya inhi logon ne mujhe
 isliye bewafa k naam se mashoor ho gayi mai

 Wo khush nahi tha saath mere to uski khushi ki dua maangi
 Usse uski khushi k hawaale kiya to gunahgaar hui mai

 Uss raah par chalne ki izzazat mere sanskaaro ne na di mujhe
 Galat kahe to kahe duniya 'Pooja' ko....
 Khud se hi ladti khud ko talashti hui mussafir  hu mai
[/size]

Wah wah kya baat hai Pooja dear bahut bahut accha likha hai aapne  Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khud ko by Nino in Shayri-E-Dard
khud khushi jo khud ki khushi sai nahin hoti......... by sunny_bunny in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
khud hi ko ker by tushar_4u_im in Shayari-e-Parastish
Khud he khud main by Pooja in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
KHUD KO KHUD SE JUDA KARTI CHALI GAI by deepika_divya in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Roja
Guest
«Reply #16 on: October 12, 2009, 02:52:12 AM »
Wah bahut khoob Cara ji, Smardia ji and dear Saahil .. aap sab ne bahut accha saat diya hai. Daad kabul kijiyega  Usual Smile
Logged
smardia
Guest
«Reply #17 on: October 12, 2009, 09:05:40 AM »

 Aapka Shukriya Sophiji

Bahoot Bahoot Khoob Pooja.. Bahoot hi Kamaal ka Likha hai ..

Very Well Written Cera ji, Smardia ji, Shihab, Kwaish ji, Badal and Saahil...

Bahoot Bahoot Khoob!
Logged
smardia
Guest
«Reply #18 on: October 12, 2009, 09:12:45 AM »
Thank you Rojajee.......

Wah bahut khoob Cara ji, Smardia ji and dear Saahil .. aap sab ne bahut accha saat diya hai. Daad kabul kijiyega  Usual Smile

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #19 on: October 12, 2009, 06:31:15 PM »
Di ye kaisi ladai hai....koi khud se bhi ladta hai....
Sochti hu Sapna hai ya haquikat ?
Aysi duvidha wali kavita kyon, kyon di ?

Kya kahu kisi se khuch aur kya khud ko samjhau mai
Parde k pichhe chipe chehron ko kyu ab tak dekh na paayi mai

Jitna khud ko galat theraaya utna mujhe ronda sabne
Kaun mera apna,kaun praaya ye jaan hi na paayi mai

Jwaab dete ye log khud ko sahi tehraate hai
Sach ko talaashti ek bejaan murat ban gayi mai

Aajaad panchi ki tarah udna chaha maine bhi aasmaan mein
Apno ki izzat ki khaatir majbur si ho gayi mai

 Har mod par bura thehraaya inhi logon ne mujhe
 isliye bewafa k naam se mashoor ho gayi mai

 Wo khush nahi tha saath mere to uski khushi ki dua maangi
 Usse uski khushi k hawaale kiya to gunahgaar hui mai

 Uss raah par chalne ki izzazat mere sanskaaro ne na di mujhe
 Galat kahe to kahe duniya 'Pooja' ko....
 Khud se hi ladti khud ko talashti hui mussafir  hu mai
[/size]

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #20 on: October 13, 2009, 03:49:59 AM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut khoob pooja ji, bahut aache se har ahsaas
ko piroya hai har sabdo mai,
dard ka bahut aache se ahsaas karane ke liye sukria

bahut khoob  Clapping Smiley

Baadal

bahut bahut shukriya baadal ji...khushi hui aapne yha apna waqt diya
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #21 on: October 13, 2009, 04:30:19 AM »
Bahoot Bahoot Khoob Pooja.. Bahoot hi Kamaal ka Likha hai ..

Very Well Written Cera ji, Smardia ji, Shihab, Kwaish ji, Badal and Saahil...

Bahoot Bahoot Khoob!
Wah wah kya baat hai Pooja dear bahut bahut accha likha hai aapne  Applause Applause
Bahoot bahoot shukriya Sophi ji & Roja ji...khushi hui aapko ye rachna pasand aayi
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #22 on: October 14, 2009, 01:30:03 PM »
Bahut Bahut Khooob Pooja...

Bahut Hi jazbaati Aur Dil Ko Chune Wali Poetry Likhi Hai Aapne...

Har Ek Lafz Kuch Kehta Hai...

Bahut Ache Mere Dost!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kuch Likhe Bina Yaha Se Jaana, Khud Se Beimaani Hogi..

Ek Koshish Aapke Poetry Mein ki gayi Baaton Ke jawaab Mein kuch likhne Ki..

Kaun Padhta Hai yahan Kisi Aur Ke Zindagi Ki Kitaab Ko
Yeh Duniya Hi kuch Aisi Hai!!
Yahan Insaan Bhoola Baitha Hai Apne Aap Ko....

Apno Ko Jaane Mein Umar Kat Jaati hai Eh Dost!!!
Kaun maanta Hai Yahan Ab Jhoote Rishto Ki Thaap Ko...

Udhte Panchi Ko Dekh kar Naa Soch Ke Woh Azaad Hai!!!
Har Ek Ki Apni-Apni Mushkile Hai!!
Yahan To Samundar Ki Lehrein Bhi Bekarar Rehti Hai
Kinaare Ke Milaap Ko...

Logon Ka Kaam Hai Ke Woh Bas Auro Ko Kuch kehte Rahe!!
Himmat Rakh!! Khuda Bhi Saath Deta Hai Uss Shaks Ka,
Jo Tufaano Mein Bhi Sambhaal leta Hai Apne Aap Ko...

Kyon Udaas Rehte Ho uss Shaks Ke Liye Jo kabhi Tera Tha Hi Nahi!!!
Jaanta Hoon Mushkil Hai!! Par Muskuraakar Mita Do,
Zindagi Se, Gham Ke Iss Chaap Ko...

Khud Se Ladta Hua Khud Ko Talaashta Hua Musafir Hi,
Manzil tak Pahunchta Hai "Pooja"
"Khwaish" Kehta Hai Nikaal Phenko Chehre Se,
Maauysi Ke Is Naqaab Ko....

               ~~~~~Khwaish~~~~~

Waah waah ...bahoot hi khoob khwaish ji..... Applause Applause Applause
ek loshish meri taraf se bhi....

Khuch log aise bhi hai duniya mein
jinhe dusron k gamon se parhej hai
Dusro k ghamo dekhkar wo apne ghamon ko bhool jaate hai

Such kha tumne yha koi bhi khush nahi hai khud se
Hote hai khuch hi aise jinke hotho par
dard mein bhi muskaan sajti hai

Udhte panchi,chalti hawaon ko pasand kiya hai maine
Jha chahe jaa sakte hai phir bhi simaon ka paalan karte hai

Tamaam umar hi ladna padta hai insaan ko
kabhi khud se toh kabhi auron se
Manzil ko talashta , raaste banata har koi hai

Ghamon ki ye acchai hai k wo ek din beet jata hai
Bas baaki reh jaate hai khuch nishaa

Mayusiyat kabhi kabhi chha hi jaati hai aise mein "Khwaish"
Phir chidta hai ek yudh mann mein vicharon ka
Jisme hum bhi shaamil hai aur tum bhi

aankhir iss zindagi mein khud se ladte aage badhte
tum bhi musaafir ho,hum bhi musaafir hai

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #23 on: October 14, 2009, 03:10:23 PM »

Teh Dil Se Shukriya Dost!!! Par jawaab bahut Der Baad Aaya, Aisa Kyon??

Aur Bahut Bahut Khoob Pooja..

bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Jo Nishaan Sirf Dard Dena Jaane,
Uss Nishaan Ko mita Bhi Do...

Jo Shaks Sirf matlab ke Liye Saath De
Uss Shaks Ko Ab Bhoola Bhi Do....

Bahut Ho chuka Khud Ko Yuh Jhooti Tasalli Dene Ka Yeh Silsila!!
Ab Aankhon Se Jhoot Ka Pardah Utha Bhi Do...

Khud Ki Tamannao Ko qaid Kar, Kab tak Jee Paaoge??
Zindagi Waise Hi Itni Mushkil Hai
Aur Upar Se Khud Ko Yuh Saza Bhi Do...

Zaroori nahi ke Har Baat Par Aansu Bahe
Inn Aankhon Se "Pooja"!!!
Kabhi Inn Aansuon Se Ladkar Muskura Bhi Do....

Aakhir kab tak Apne Hi Khwaisho Ka Qatl Karte Rahenge Hum!!!
Inn Ankhon Mein Ab Ek nayi Khwaish Jaga Bhi Do.....
Logged
Roja
Guest
«Reply #24 on: October 14, 2009, 03:28:54 PM »
Lovely  Applause Applause
Good going Bhaiya  Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #25 on: October 14, 2009, 04:58:05 PM »
Lovely  Applause Applause
Good going Bhaiya  Usual Smile

Bahoot Bahoot Khoob Pooja.. Bahoot hi Kamaal ka Likha hai ..

Very Well Written Cera ji, Smardia ji, Shihab, Kwaish ji, Badal and Saahil...

Bahoot Bahoot Khoob!

Bahut Bahut Shukriya Behna..Thanks A Lot For Always Appreciating.. icon_flower

Thankyou Soooooo Much Sophi Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #26 on: October 14, 2009, 05:15:46 PM »
BOhat KHoob Khwaish Bhai, Aur Nikhaar Ji,.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #27 on: November 14, 2009, 09:06:41 AM »
bahut bahut khoob pooja dil ke dard ko aur badati huyi jo kashish aapne di hai uske liye kya kahoon
bahut bahut khoob

beshak main tera gunaahgaar sahi
magar mujhe sazaa dene ka haq tera nahin
ae khuda yeh jaan le tu mera tera banda hoon
magar mujh par haq tera nahin
khud talaashi hai apni manzil maine tufaano main
woh raaste kya thay iski mujhe parvaah nahin
musafir tha main , aaj bhi ek musafir hoon main
manzil toh pa li par phir bhi lage manzil nahin
Waah bahut hi khoob jwaab diya aapne saahil ji...aapki in panktiyon par mai bhi khuch kehna chahugi...[sorry for late reply]

Sach kha tere kiye ki sazaa mai kya dugi tujhe
Uss rab k aage teri aur meri aukaat nahi hai koi

Aaj tu manzil k paas hai par manzil nahi hai paas tere
Iss se badi tere liye kya hogi aur sazaa koi
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #28 on: November 14, 2009, 10:07:49 AM »
Nikhaarji dhanyawaad aapko meri lines pasand aayee...

Hum abhi bhi confused hain....aapke soch par....

Wo shaksh Jo nahi tha khush tere sang
Uski rah par chalne ko kyu thee tu aatur
Izzat aur sanskaro ki chadha k bali
Kaise tu Khush reh paati us k sang
Gunehgaar banaya tha tujhe jisne
Use khone ka kyu tha dard tujhe
Ye kaisa virodhabhass tha soch mai teri ?

Der se reply k liye maafi chahugi...aapki confusion par do lines kehna chahugi....

Ishq mohabbat k bhi apne khuch usul hote hai
Ye baat aur hai k mohabbat ne is kadar andha kar diya
K hum sahi galat ko taraazu mein tol na paaye

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #29 on: November 14, 2009, 10:09:16 AM »
BOhat KHoob Khwaish Bhai, Aur Nikhaar Ji,.
bahut bahut shukriya Azeem ji
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:13:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer