Khuda ho gaya.....(Ghayel)

by sajid_ghayel on April 11, 2009, 07:28:03 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1165 times)
sajid_ghayel
Guest
Auro ki tarah vo bhi bevafa ho gaya
Aye aasoo tu bhi aakho se juda ho gaya

Sunta nahi hain meri, na ab deta hain dikhayee
Mehboob mere mano, ab khuda ho gaya

Vo jab tak raha ghar me, tha bohat salike se
Jab duniya me hua shamil, behuda ho gaya

Tu itna gira insaa.N, ke girtaa chala gaya
Teri halet pe ab shaitaan bhi, sharminda ho gaya

Makh_tal* par kati jab, kisi haq_parast** ki gardan
Murda pade logho ka, dil zinda ho gaya

Jam me duboya khudko, har waqt rahi madhoshi
GHAYEL aadmi bhala hain, khoon magar ganda ho gaya

-Sajid Ghayel-


* Place where Guilty are beheaded.

** Worshipper of Truth
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda ho Gaya Woh Shaks......! by sharmaarunkumar in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
Jal gaya nasheman mera.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
Khuda kehte hain.......( Ghayel ) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Khuda bohat hai......( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Mandir ki masjidoN ki khabar le ke aa gaya.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals « 1 2  All »
k.shael
Guest
«Reply #1 on: April 11, 2009, 07:34:55 AM »
 Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley
Beautiful Ghazal Sajid_Ghayel Ji...

Shally.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #2 on: April 11, 2009, 08:28:59 AM »
Auro ki tarah vo bhi bevafa ho gaya
Aye aasoo tu bhi aakho se juda ho gaya

Sunta nahi hain meri, na ab deta hain dikhayee
Mehboob mere mano, ab khuda ho gaya

Vo jab tak raha ghar me, tha bohat salike se
Jab duniya me hua shamil, behuda ho gaya

Tu itna gira insaa.N, ke girtaa chala gaya
Teri halet pe ab shaitaan bhi, sharminda ho gaya

Makh_tal* par kati jab, kisi haq_parast** ki gardan
Murda pade logho ka, dil zinda ho gaya

Jam me duboya khudko, har waqt rahi madhoshi
GHAYEL aadmi bhala hain, khoon magar ganda ho gaya

-Sajid Ghayel-

* Place where Guilty are beheaded.

** Worshipper of Truth

sajid bhai ek behtareen aur nayaab peshkash kise kehte hain yeh aapko pad kar maloom hota hai


meri maut par  aana toh yoon jhoomte huye
kii shehar-e- khamosha main ho mehfil saji huyi
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: April 11, 2009, 02:23:35 PM »
Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley
Beautiful Ghazal Sajid_Ghayel Ji...

Shally.

Bohat bohat shukriyaan Shally jo tumne apna waqt diya....
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #4 on: April 11, 2009, 03:38:18 PM »
Bahut khoob

Ghayal sb Maqta kia sach aur khoob kaha hai aapne


Dad qubool ho




javed
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: April 12, 2009, 06:26:29 AM »
sajid bhai ek behtareen aur nayaab peshkash kise kehte hain yeh aapko pad kar maloom hota hai

meri maut par  aana toh yoon jhoomte huye
kii shehar-e- khamosha main ho mehfil saji huyi

Bohat bohat shukriyaan salil itni kam dad dekhkar waise dil mayus to bohat hua tha, par tumhari bato ne phir se hausla diya hain. Bohat bohat shukriyaan mere dost apni is tareef aur pyaare sher ke liye....jab tak tum jaise kadardaan hain hum jasie mamuli shayro ki bhi zindagi hain.....
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: April 12, 2009, 06:27:49 AM »
Bahut khoob

Ghayal sb Maqta kia sach aur khoob kaha hai aapne


Dad qubool ho


javed

Javed bhai aapne mera kalam padha kya yeh kam badi baat hain mere liye, aapse tareef pana to mere liye Bonus hain.....bohat bohat shukriyaa
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 12, 2009, 07:12:23 AM »
Bahut bahut Khoob Sajidbhai..Har Ek Sher La ajawab!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: April 13, 2009, 06:22:21 AM »
Bahut bahut Khoob Sajidbhai..Har Ek Sher La ajawab!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohat bohat shukriyaan Khwaish jo tumne mere kalam ko waqt diya....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #9 on: April 13, 2009, 06:43:36 AM »
bahoot khoob Sajid Ji. keep writing....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #10 on: April 13, 2009, 07:09:01 AM »
Auro ki tarah vo bhi bevafa ho gaya
Aye aasoo tu bhi aakho se juda ho gaya

Sunta nahi hain meri, na ab deta hain dikhayee
Mehboob mere mano, ab khuda ho gaya

Vo jab tak raha ghar me, tha bohat salike se
Jab duniya me hua shamil, behuda ho gaya

Tu itna gira insaa.N, ke girtaa chala gaya
Teri halet pe ab shaitaan bhi, sharminda ho gaya

Makh_tal* par kati jab, kisi haq_parast** ki gardan
Murda pade logho ka, dil zinda ho gaya

Jam me duboya khudko, har waqt rahi madhoshi
GHAYEL aadmi bhala hain, khoon magar ganda ho gaya

-Sajid Ghayel-

* Place where Guilty are beheaded.

** Worshipper of Truth



 Applause Applause Applause Applause
bahoot hi sadhe aur nape-tule andaaz me kahi aapki har ghazal ka effect masha-alaah hota hai......humesha ki tarah ......
daad kabul karen
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: April 13, 2009, 07:13:02 AM »
bahoot khoob Sajid Ji. keep writing....

Aapne "keep writing" kaha hain to aapki baat manni hi padegi.....thank you so much for your time and comments.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #12 on: April 13, 2009, 04:15:34 PM »

 Applause Applause Applause Applause
bahoot hi sadhe aur nape-tule andaaz me kahi aapki har ghazal ka effect masha-alaah hota hai......humesha ki tarah ......
daad kabul karen

Thank You mere yaar bas isi tarah sachche dil se dad dete rehna aur kabhi kahi galti ho jaye to woh bhi bata dena....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:58:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer